SHAWORDS

main apne saare karb-o-balaa le ke jaaungaa — Anisur Rahman

HomeAnisur RahmanGhazal
"main apne saare karb-o-balaa le ke jaaungaa main jab bhi jaaun apni anaa le ke jaaungaa aankhon ki aabru kaa bhi rakkhungaa main khayaal aankhon mein gar khalaa hai khalaa le ke jaaungaa firaun-e-vaqt se jo karungaa muqaabla main bhi duaa karungaa asaa le ke jaaungaa saare sipaah-o-tir-o-tafang-o-tabar liye ik karbalaa-e-shauq sivaa le ke jaaungaa dil hai ki ek dasht-e-vighaa kyaa karungaa main is dasht-e-be-fazaa ki ataa le ke jaaungaa jab vo chalegaa mamlikat-e-shar mein sar-buland main qarya qarya khunin qabaa le ke jaaungaa be-taur-o-be-tariq jiyaa ab karungaa ye un ke huzur hamd-o-sanaa le ke jaaungaa jab saarbaan utreinge gulzaar-e-hast mein main is zamin se baad-e-sabaa le ke jaaungaa divaar-e-qahqaha ke safiron ko ho khabar divaar-e-qahqaha ki duaa le ke jaaungaa us vaada-e-shafaaat-e-jaan pe jiyo 'anis' un ne kahaa hai teri shifaa le ke jaaungaa"
Urdu

میں اپنے سارے کرب و بلا لے کے جاؤں گا میں جب بھی جاؤں اپنی انا لے کے جاؤں گا آنکھوں کی آبرو کا بھی رکھوں گا میں خیال آنکھوں میں گر خلا ہے خلا لے کے جاؤں گا فرعون وقت سے جو کروں گا مقابلہ میں بھی دعا کروں گا عصا لے کے جاؤں گا سارے سپاہ و تیر و تفنگ و تبر لیے اک کربلائے شوق سوا لے کے جاؤں گا دل ہے کہ ایک دشت وغا کیا کروں گا میں اس دشت بے فضا کی عطا لے کے جاؤں گا جب وہ چلے گا مملکت شر میں سر بلند میں قریہ قریہ خونیں قبا لے کے جاؤں گا بے طور و بے طریق جیا اب کروں گا یہ ان کے حضور حمد و ثنا لے کے جاؤں گا جب ساربان اتریں گے گلزار ہست میں میں اس زمیں سے باد صبا لے کے جاؤں گا دیوار قہقہہ کے سفیروں کو ہو خبر دیوار قہقہہ کی دعا لے کے جاؤں گا اس وعدۂ شفاعت جاں پہ جیو انیسؔ ان نے کہا ہے تیری شفا لے کے جاؤں گا

Hindi

मैं अपने सारे कर्ब-ओ-बला ले के जाऊँगा मैं जब भी जाऊँ अपनी अना ले के जाऊँगा आँखों की आबरू का भी रक्खूँगा मैं ख़याल आँखों में गर ख़ला है ख़ला ले के जाऊँगा फ़िरऔन-ए-वक़्त से जो करूँगा मुक़ाबला मैं भी दुआ करूँगा असा ले के जाऊँगा सारे सिपाह-ओ-तीर-ओ-तफ़ंग-ओ-तबर लिए इक कर्बला-ए-शौक़ सिवा ले के जाऊँगा दिल है कि एक दश्त-ए-विग़ा क्या करूँगा मैं इस दश्त-ए-बे-फ़ज़ा की अता ले के जाऊँगा जब वो चलेगा मम्लिकत-ए-शर में सर-बुलंद मैं क़र्या क़र्या ख़ूनीं क़बा ले के जाऊँगा बे-तौर-ओ-बे-तरीक़ जिया अब करूँगा ये उन के हुज़ूर हम्द-ओ-सना ले के जाऊँगा जब सारबान उतरेंगे गुलज़ार-ए-हस्त में मैं इस ज़मीं से बाद-ए-सबा ले के जाऊँगा दीवार-ए-क़हक़हा के सफ़ीरों को हो ख़बर दीवार-ए-क़हक़हा की दुआ ले के जाऊँगा उस वा'दा-ए-शफ़ाअत-ए-जाँ पे जियो 'अनीस' उन ने कहा है तेरी शिफ़ा ले के जाऊँगा

maiñ apne saare karb-o-balā le ke jā.ūñgā
Anisur Rahman
Anisur Rahman
Anisur Rahman
poet21 quotes

More by Anisur Rahman

View all →
Quote
"meri vahshat mujh se puchhegi to batlaaungaa main svaang jo tum ne sikhaae vo bhi dikhlaaungaa main kis ne divaana banaayaa naam batlaaungaa main dasht-o-dariyaa se bhi aage baat phailaaungaa main khvaab tum dikhlaaoge to khvaab dikhlaaungaa main donon jaanib khvaab ke parcham bhi lahraaungaa main naa-rasaai kaa koi shikva nahin shikva ye hai kyaa khayaal-e-khaam hi se dil ko bahlaaungaa main ai shab-e-furqat tumhein mujh se shikaayat to nahin gar chale jaaoge tum bhi kitnaa ghabraaungaa main ik sumum-e-gard-aasaa chal rahi hai chaar-su chaar-su baarish liye tum dekhnaa aaungaa main ik andheraa chaar jaanib baarishon ke darmiyaan baarishon ke darmiyaan shoala-saa lahraaungaa main paanv hain aamaada-e-sair-o-safar manzil-ba-dast kyaa tumhein lagtaa hai ab bhi lauT kar aaungaa main raaste masdud jab ho jaaeinge khatm-e-safar aakhiri patthar pe apnaa naam likhvaaungaa main raftagaan aaindagaan ke darmiyaan kyaa rabt hai 'mir' saahib se ye puchhungaa to batlaaungaa main"
Anisur RahmanAnisur Rahman
Quote
"raat kaali nahin to kyaa hogi paaemaali nahin to kyaa hogi sher-goyon ki fitrat-e-saada laa-ubaali nahin to kyaa hogi us ki zambil aur miri zambil meri khaali nahin to kyaa hogi lahn ik aur vo bhi vaqt-e-subh vo bilaali nahin to kyaa hogi achchhe insaanon ki tabiat bhi gar sifaali nahin to kyaa hogi shaam ke saae hain zavaal-pazir shab zavaali nahin to kyaa hogi maah-ru maah-ru se milte hain lab pe laali nahin to kyaa hogi khvaaja-e-mir-'dard' ki har baat gar misaali nahin to kyaa hogi"
Anisur RahmanAnisur Rahman
Quote
"hijr se baat ki visaal ke baa'd ab ke aanaa to maah-o-saal ke baa'd jaise aayaa thaa maazi haal ke baa'd kyaa junub aaegaa shumaal ke baa'd baat se baat chalti rahti hai khatm ho jaati hai misaal ke baa'd ik khamoshi hisaar ki maanind pahle aur aakhiri savaal ke baad ek sail-e-malaal har jaanib ik malaal aur ik malaal ke baa'd ik khamoshi ravaan-davaan har-su kyaa khamoshi hai qil-o-qaal ke baa'd us ki surat-gari mein roz-o-shab khvaab ham dekhte khayaal ke baa'd dast-o-baazu mein aasmaan-o-zamin aur kyaa faal nek-faal ke baa'd marg ik maandgi kaa vaqfa hai zindagi ye to ehtimaal ke baa'd"
Anisur RahmanAnisur Rahman
Quote
"hamaari baat mein sun dam kaa ramz haigaa kyaa kisi bhi pech kisi kham kaa ramz haigaa kyaa vo daur aur thaa jab tum ne mujh se puchhaa thaa mohabbaton mein kahin gham kaa ramz haigaa kyaa ye aab-e-saada ye aab-e-ravaan ye aab-e-azal is aab-e-naab mein zamzam kaa ramz haigaa kyaa falak pe abr bhi anjum bhi abr-e-baaraan bhi magar zamin pe jhamaa-jham kaa ramz haigaa kyaa na koi tishna-labi hai na koi sairaabi to mere jaam tire jam kaa ramz haigaa kyaa usi ke dam se baqaa hai usi ke dam se fanaa fanaa-baqaa mein bataa dam kaa ramz haigaa kyaa 'anis' raqs mein tum ho ki raqs hai tum mein ki aakhirash ye damaadam kaa ramz haigaa kyaa"
Anisur RahmanAnisur Rahman
Quote
"vahm se yaa gumaan se uThti hai yaa kahin darmiyaan se uThti hai vo tamanna ki jis pe jiite hain kyaa bataaein kahaan se uThti hai gham-kada hai ye 'mir' saahab kaa ek taabaani yaan se uThti hai kyaa samaavaat mein talaatum hai kyaa fughaan jism-o-jaan se uThti hai mauj jab tah-nashin hoti hai lahr aab-e-ravaan se uThti hai laa-makaani makaan se behtar hai ye zamin-o-zamaan se uThti hai dida-baazi bhi ishq-baazi hai dil ki ye baat jaan se uThti hai jab uThaae na uTh sake ye zamin phir zamin aasmaan se uThti hai ab to kunj-e-butaan se rukhsat hai aashiqi aastaan se uThti hai"
Anisur RahmanAnisur Rahman

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri