SHAWORDS

main dariyaa-e-qanaaat-aashnaa huun — Meer Kallu Arsh

"main dariyaa-e-qanaaat-aashnaa huun main mauj-e-nishaan-e-boriyaa huun main aashiq-e-chashm-e-surma-saa huun gar khaak bhi huun to tutiyaa huun tifli hi se vahshat-aashnaa huun main us daaman-e-dasht mein palaa huun dekhe jo mujhe jahaan ko dekhe main aaina-e-jahaan-numaa huun chal sakte nahin jo baagh tak bhi taaus-sifat adu-e-paa huun divaana jo huun to huun main khaamosh zanjir jo huun to be-sadaa huun taa-gor bhi sifat se na pahunchun bil-farz agar hazaar paa huun sohbat ho baraar kis tarah yaar tu shaah hai aur main gadaa huun har she'r mein zulf ki hai taa'rif is bahr mein mauj-aashnaa huun suntaa nahin ek but miraa haal fariyaadi tujh se ai khudaa huun kahti hai zabaan-e-haal se maut main dard-e-firaaq ki davaa huun kahti hai ye ruuh tan se har-dam tu khaak jo ho to main davaa huun ye tausan-e-umr garm-raftaar kahtaa hai main ab charaagh-paa huun ai 'arsh' ziyaarat ab karungaa main rah-rav-e-dasht-e-karbalaa huun"
Urdu

میں دریائے قناعت آشنا ہوں میں موج نشان بوریا ہوں میں عاشق چشم سرمہ سا ہوں گر خاک بھی ہوں تو توتیا ہوں طفلی ہی سے وحشت آشنا ہوں میں اس دامن‌ دشت میں پلا ہوں دیکھے جو مجھے جہاں کو دیکھے میں آئنۂ جہاں نما ہوں چل سکتے نہیں جو باغ تک بھی طاؤس صفت عدوئے پا ہوں دیوانہ جو ہوں تو ہوں میں خاموش زنجیر جو ہوں تو بے صدا ہوں تا گور بھی صفت سے نہ پہنچوں بالفرض اگر ہزار پا ہوں صحبت ہو برآر کس طرح یار تو شاہ ہے اور میں گدا ہوں ہر شعر میں زلف کی ہے تعریف اس بحر میں موج آشنا ہوں سنتا نہیں ایک بت مرا حال فریادی تجھ سے اے خدا ہوں کہتی ہے زبان حال سے موت میں درد فراق کی دوا ہوں کہتی ہے یہ روح تن سے ہر دم تو خاک جو ہو تو میں دوا ہوں یہ توسن عمر گرم رفتار کہتا ہے میں اب چراغ پا ہوں اے عرشؔ زیارت اب کروں گا میں رہرو دشت کربلا ہوں

Hindi

मैं दरिया-ए-क़नाअ'त-आश्ना हूँ मैं मौज-ए-निशान-ए-बोरिया हूँ मैं आशिक़-ए-चश्म-ए-सुर्मा-सा हूँ गर ख़ाक भी हूँ तो तूतिया हूँ तिफ़्ली ही से वहशत-आश्ना हूँ मैं उस दामन-ए-दश्त में पला हूँ देखे जो मुझे जहाँ को देखे मैं आइना-ए-जहाँ-नुमा हूँ चल सकते नहीं जो बाग़ तक भी ताऊस-सिफ़त अदू-ए-पा हूँ दीवाना जो हूँ तो हूँ मैं ख़ामोश ज़ंजीर जो हूँ तो बे-सदा हूँ ता-गोर भी सिफ़त से न पहुँचूँ बिल-फ़र्ज़ अगर हज़ार पा हूँ सोहबत हो बरआर किस तरह यार तू शाह है और मैं गदा हूँ हर शे'र में ज़ुल्फ़ की है ता'रीफ़ इस बहर में मौज-आश्ना हूँ सुनता नहीं एक बुत मिरा हाल फ़रियादी तुझ से ऐ ख़ुदा हूँ कहती है ज़बान-ए-हाल से मौत मैं दर्द-ए-फ़िराक़ की दवा हूँ कहती है ये रूह तन से हर-दम तू ख़ाक जो हो तो मैं दवा हूँ ये तौसन-ए-उम्र गर्म-रफ़तार कहता है मैं अब चराग़-पा हूँ ऐ 'अर्श' ज़ियारत अब करूँगा मैं रह-रव-ए-दश्त-ए-कर्बला हूँ

maiñ dariyā-e-qanā.at-āshnā huuñ
M
Meer Kallu Arsh
Meer Kallu Arsh
poet41 quotes

More by Meer Kallu Arsh

View all →
Quote
"sun ke furqat chup huaa aisaa ki murdaa ho gayaa puchhtaa hai yaar ro ro kar tujhe kyaa ho gayaa dekh kar chashm-e-siyaah-e-maah-ru vahshat hui chaandni mein us hiran kaa rang kaalaa ho gayaa kar diyaa abru ne do TukDe ba-rang-e-zulfiqaar ek hi talvaar mein saari kaa aadhaa ho gayaa kyaa diyaa bosa lab-e-shirin kaa ho kar tursh-ru munh huaa miThaa to kyaa dil apnaa khaTTaa ho gayaa munh jo us yusuf ne pheraa ho gae be-kaar sab dida-e-yaaqub chaah-e-aaina andhaa ho gayaa dil jo taDpaa daagh se raushan jahaan-e-dil huaa barq jab chamki andhere mein ujaalaa ho gayaa 'arsh' us ki sard-mehri taa-dam-e-aakhir rahi dil huaa ThanDaa na saaraa jism ThanDaa ho gayaa"
M
Meer Kallu Arsh
Quote
"mujh ko masnad pe qalamdaan bakhshaa sher-e-qaalin ko niyastaan bakhshaa pir-e-kanaan ko diyaa daagh-e-firaaq ek zan ko mah-e-kanaan bakhshaa maraz-e-ishq mein maut aati hai tu ne har dard ko darmaan bakhshaa qaabil-e-did hai husn-e-hikmat huur ko rauza-e-rizvaan bakhshaa qatra bhi vusat-e-rahmat se hai bahr chashm ko nuuh kaa tufaan bakhshaa dil-e-naalaan ko diye daagh-e-firaaq ek bulbul ko gulistaan bakhshaa dil-e-be-rahm diyaa zaalim ko jis tarah tiir ko paikaan bakhshaa gul ko pur-zar jo garebaan bakhshaa khaar ko dasht kaa daamaan bakhshaa rahm aayaa jo gunahgaaron par gunah-e-gabr-o-musalmaan bakhshaa aa gayaa kuchh jo karimi kaa khayaal huur ko mulk-e-sulaimaan bakhshaa teri tadbir hai ain-e-taqdir maut ko aalam-e-imkaan bakhshaa surkh-ru ahl-e-karam ko rakkhaa bahr ko panja-e-marjaan bakhshaa lab ki jaa bosa-e-rukhsaar diyaa evaz-e-laal badakhshaan bakhshaa mushaf-e-rukh kaa jo dekhaa koi sher ruh-e-'haafiz' ko bhi quraan bakhshaa us se huun taalib-e-imaan ai 'arsh' jis ne kaafir ko bhi imaan bakhshaa"
M
Meer Kallu Arsh
Quote
"kaun aaegaa jo tu be-sar-o-saamaan hogaa varna hogaa tu na andesha-e-darbaan hogaa qatl ke baad bhi ik aish kaa saamaan hogaa mai-e-gul-rang lahu zakhm namak-daan hogaa baankpan bas ki hai manzur mire qaatil ko gul-e-dastaar bhi ab ghuncha-e-paikaan hogaa ik nazar dekh sakegaa na tiri chashm-e-siyaah sabza-e-khat bhi charaagaah-e-ghazaalaan hogaa tu vahaan bhi jo na ho yaar to phir hai andher roz-e-mahshar pe gumaan-e-shab-e-hijraan hogaa dilbaro dil ke na le jaane mein israar karo tum ko kyaa faaeda hogaa miraa nuqsaan hogaa jaate hain sabr o qaraar o khirad o hosh o havaas jaras-e-qaafila apnaa dil-e-naalaan hogaa mere iisaa se mire dard kaa darmaan hogaa sharbat-e-vasl ilaaj-e-tap-e-hijraan hogaa vaaiz ham ko tu na hangaama-e-mahshar se Daraa apne nazdik vo ik majma-e-yaaraan hogaa aaina dida-e-hairaan tujhe dikhlaaegaa shaana-e-zulf miraa haal-e-pareshaan hogaa dil-e-be-ishq se kaunain mein tu hogaa kharaab barhaman dair mein kaabe mein musalmaan hogaa gar ye hain dast-e-junun aur vo hain khaar-e-junun na to daaman hi rahegaa na garebaan hogaa shaakh-e-gul hai qalam-e-fikr to ashaar hain gul 'arsh' divaan miraa rashk-e-gulistaan hogaa"
M
Meer Kallu Arsh
Quote
"kaan mein naala-e-hazaar aaya muzhda-e-mausam-e-bahaar aaya kyaa khayaal-e-sharaab-khvaar aaya barq saa abr be-qaraar aaya baagh-e-aalam mein thaa main nakhl-e-shama jal gayaa gul na barg-o-baar aaya dekh shatranj-e-dahr ki raftaar ki piyaada gayaa savaar aaya mar gae par bhi shauq-e-vasl rahaa khvaab mein bhi khayaal-e-yaar aaya shisha-e-saaat ik ghaDi mein banaa dil mein jis dam zaraa ghubaar aaya yaar jab ghair ke gale se milaa yaad kyaa sadma-e-fishaar aaya paak-tinat vo thaa ki parvaana shama ban kar sar-e-mazaar aaya shab ko ai gul jo ghair se tu hansaa mujh ko ronaa hazaar baar aaya bakhsh de ab to ai khudaa-e-karim dil-e-maayus umid-vaar aaya ik nazar 'arsh' sair-e-hasti kar kaun jaa kar adam se yaar aaya"
M
Meer Kallu Arsh
Quote
"vufur-e-zof se dil yaar par nahin aataa gham-e-firaaq mein jiinaa nazar nahin aataa nigaah-e-dida-e-dil se nazar nahin aataa khayaal-e-yaar bhi do do pahar nahin aataa visaal-e-dost bhi baad-e-visaal hai shaayad ki jo udhar ko gayaa phir idhar nahin aataa ghubaar-e-chashm bhi hai justuju mein sargardaan havaa mein khaak bhi vo raahbar nahin aataa chaDhaae gor-e-gharibaan pe kaun chaadar-e-gul charaagh le ke koi qabr par nahin aataa ye roz shaam se hai subh tak khud-aaraai ki shab ko aaina bhi apne ghar nahin aataa na shama-ru pe bhi duun jaan misl-e-parvaana ki naam-e-ishq ko badnaam kar nahin aataa main shab ko laa ke use 'arsh' khaak huun ham-khvaab vo shokh khaana-kharaab apne ghar nahin aataa"
M
Meer Kallu Arsh
Quote
"na gul na sarv miyaan-e-bahaar hotaa hai hamaari khaak se paidaa chinaar hotaa hai kabhi jo jalva-e-rukhsaar-e-yaar hotaa hai charaagh-e-tur charaagh-e-mazaar hotaa hai uThaa janaaza jo meraa qazaa lagi kahne ki jo piyaada hai aakhir savaar hotaa hai milaa ke khaak mein tan ko gai bahisht mein ruuh kisi kaa kaun zamaane mein yaar hotaa hai bajaa hai takht-e-sulaimaan pe bhi jo maari laat har ek murgh yahaan taajdaar hotaa hai na apne ghar mein mujhe ghair se milaa ai huur bahisht mein ye azaab-e-fishaar hotaa hai 'uruj 'arsh' jo manzur hai jalaa dil ko ki aag lagti hai jab sard anaar hotaa hai"
M
Meer Kallu Arsh

More on Sad

View all →
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim
Quote
"phir bahaar aai hai phir josh mein saudaa hogaa zakhm-e-derinaa se phir khuun Tapaktaa hogaa biiti baaton ke vo naasur hare phir honge baat niklegi to phir baat ko rakhnaa hogaa yurishein kar ke umanD aaeingi suuni shaamein laakh bhaTkein kisi unvaan na saveraa hogaa ji ko samjhaaeinge matvaali havaa ke jhonke phir koi laakh sambhaale na sambhalnaa hogaa kaisi rut aai havaa chalti hai ji Doltaa hai ab to hansnaa bhi taDapne kaa bahaanaa hogaa TuuT jaaegaa ye laachaari-e-daaem kaa fusun aur is tarah ki jaise koi aataa hogaa dil dhaDakne ki sadaa aaegi sune-pan mein duur baadal kahin parbat pe garajtaa hogaa"
Mukhtar SiddiquiMukhtar Siddiqui