"firaaq-e-yaar tiraa imtidaad Thiik nahin nayaa hai zakhm abhi mustazaad Thiik nahin chale bhi aao ki girya kunaan hai tu hamdam tujhe khabar hai tiraa injimaad Thiik nahin main muntazir huun ki jaldi palaT ke aa jaanaa tumhaari chaal mein ab iqtisaad Thiik nahin kyuun ghaur-o-khauz to jiddat jehd ki gunjaaish usul-e-ishq mein ho ijtihaad Thiik nahin chaDhaa thaa baam pe didaar yaar ki khaatir main niche aauun agar naa-muraad Thiik nahin"
main ne khud ko jo hai kiyaa khaamosh — Irfan Abidi Mantvi
"main ne khud ko jo hai kiyaa khaamosh dard bhi ho gayaa miraa khaamosh jab mire paanv mein thakan na mili ho gayaa meraa raasta khaamosh de rahi thi sadaa mohabbat ki ho gai hai vahi sabaa khaamosh us ko saare javaab milte the main savaalon pe jab rahaa khaamosh zor tufaan ne sab lagaa Daalaa par huaa na miraa diyaa khaamosh bolnaa main bhi chaahtaa thaa magar kuchh zabaanon ne kar diyaa khaamosh maut ki kyaa use zarurat hai ab to 'irfaan' ho gayaa khaamosh"
میں نے خود کو جو ہے کیا خاموش درد بھی ہو گیا مرا خاموش جب مرے پاؤں میں تھکن نہ ملی ہو گیا میرا راستہ خاموش دے رہی تھی صدا محبت کی ہو گئی ہے وہی صبا خاموش اس کو سارے جواب ملتے تھے میں سوالوں پہ جب رہا خاموش زور طوفاں نے سب لگا ڈالا پر ہوا نہ مرا دیا خاموش بولنا میں بھی چاہتا تھا مگر کچھ زبانوں نے کر دیا خاموش موت کی کیا اسے ضرورت ہے اب تو عرفانؔ ہو گیا خاموش
मैं ने ख़ुद को जो है किया ख़ामोश दर्द भी हो गया मिरा ख़ामोश जब मिरे पाँव में थकन न मिली हो गया मेरा रास्ता ख़ामोश दे रही थी सदा मोहब्बत की हो गई है वही सबा ख़ामोश उस को सारे जवाब मिलते थे मैं सवालों पे जब रहा ख़ामोश ज़ोर तूफ़ाँ ने सब लगा डाला पर हुआ न मिरा दिया ख़ामोश बोलना मैं भी चाहता था मगर कुछ ज़बानों ने कर दिया ख़ामोश मौत की क्या उसे ज़रूरत है अब तो 'इरफ़ान' हो गया ख़ामोश

More by Irfan Abidi Mantvi
View all →"ujlaton mein us ne ham se kah diyaa be-fikr huun par hamaari chaah mein shaam-o-sahar rote rahe ashk meri khairiyat lene ki khaatir dam-ba-dam apnaa saahil chhoD kar rukhsaar par bahte rahe kyaa abhi bhi ishq ke qaabil nahin samjhe gae jitne gham tu ne diye hans hans ke ham sahte rahe phuul tu bhi chhoD de khushbu uDaanaa baagh mein khaar tere vaaste zakhmi mujhe karte rahe be-hisi tujh se mujhe shikva hamesha se rahaa ghair ke TukDon pe kyuun ahl-e-qalam palte rahe DhunDh paataa hi nahin mujh ko magar us ke liye khush-nasibi thi zamin par naqsh-e-paa chhapte rahe ai mohabbat imtihaan lenaa hamaaraa chhoD de fail hote ham gae tujh ko buraa kahte rahe maan agar ghar mein rahe ghar bhi miraa jannat lage phir sukun utnaa milaa jaise yahin rahte rahe vaasta main is hukumat se bhalaa kaise rakhun khud-kushi kar li kisaanon ne javaan marte rahe biij ham ne bo diyaa banjar zamin dekhaa nahin phir hukumat se gilaa shikve sabhi karte rahe qatl us ne kar diyaa mujh ko magar achchhaa huaa khuun ke qatre usi ke haath se lipTe rahe chaashni urdu adab ki kam nahin hogi kabhi ham buzurgon ke qalam ko thaam kar likhte rahe"
"shor hai chikh hai sadaa hai ghazal zakhm hai dard hai davaa hai ghazal aarzu shauq chaah chain sukun karb hai zabt hai bukaa hai ghazal hijr mein bhi shab-e-firaaq mein bhi ham-safar bhi hai ham-navaa hai ghazal maah-o-anjum bhi chaand suraj bhi jis mein rahte hain vo samaa hai ghazal main thaa madhosh-e-did-e-chashm-e-ghazaal hosh mein laane ki havaa hai ghazal ashk aankhon ke puchhne ke liye meri chaadar miri ridaa hai ghazal dard jitne chhupe hain pahlu mein raaz saare tumhein pata hai ghazal khubsurat koi nahin dikhtaa meri khaatir jo mah-laqaa hai ghazal mere haalaat ne vafaa na kiyaa gham nahin kyunki baa-vafaa hai ghazal meri tanhaai ki ye saathi hai log kahte hain ki balaa hai ghazal ashk palkon talak na aane diyaa kitni maasum-o-baa-hayaa hai ghazal roab ho khauf yaa pashemaani koi tujh mein nahin dikhaa hai ghazal meri khaamoshiyon ko toDne kaa vo qarin mere aslaha hai ghazal mere dil kaa ishaara jaanti hai is qadar mujh se aashnaa hai ghazal nasr mein khuub aati rahti hai sher mein jaane kyon khafaa hai ghazal mujh se puchhaa gayaa miloge kahaan main ne kaaghaz pe likh diyaa hai ghazal"
"hamaare gaanv ki baatein niraali hi niraali hain kahin Takkar nahin us kaa sukunat mein suhulat mein na sar pe chhat kaa saaya hai na khaane ko koi roTi koi insaan nahin dikhtaa haqiqat mein fazilat mein hue hain faisle jhuTe rahe vaade adhure se bahut badlaav dekhaa hai adaalat mein siyaasat mein faqat do vaqt hai aisaa jahaan maan ro ke kahti hai miraa beTaa rahe mahfuz hijrat mein musibat mein kabhi mazdur se puchho tumhaaraa haal kaisaa hai kahegaa rah gayaa huun bas thakaavaT mein to ghurbat mein badan par qimti kapDe savaari baadshaahon si bahut maghrur saahab hain riyaasat mein hukumat mein sharaabi ko kaho momin sahaabi ko kaho kaafir nahin hai farq koi kyaa najaasat mein tahaarat mein mire vaalid ki kamzori bataati ik haqiqat hai guzar jaati hai saari umr mehnat mein mashaqqat mein jise apne baraadar ki khabar-giri nahin aati na likhnaa naam un kaa rab ukhuvvat mein atufat mein abhi to maafiyaaon ke mazaalim hi baraste the hukumat kyuun muaavin ban gai vahshat mein dahshat mein koi saani nahin 'irfaan' ke haidar kaa duniyaa mein fasaahat mein balaaghat mein kitaabat mein khitaabat mein"
"izzat mujhe mili hai bahut iltijaa ke baad dar pe gayaa na ghair ke rab ki ataa ke baad achchhaa huaa ki aarzu puuri nahin hui nikhri hamaari khvaahishein apni qazaa ke baad karne lageinge raah mein jugnu bhi raushni suraj jo Duub jaaegaa khatm-e-ziyaa ke baad har be-vafaa ne aashiyaan apnaa badal diyaa tanhaa rahaa huun shahr mein zikr-e-vafaa ke baad paani pe main ne maar ke patthar samajh liyaa Dubeinge ahl-e-zulm bhi jaur-o-jafaa ke baad honge hazaar qism ke anjum to kyaa huaa tab bhi falak na chaahiye maan ki ridaa ke baad 'irfaan' vo to khuld mein karne lage safar masjid ki or aae jo farsh-e-azaa ke baad"
"main apne ashk mein khud ko bhigo rahaa huun abhi khataa ko ashk-e-nadaamat se dho rahaa huun abhi mujhe na chaahiye takiya kisi bhi takiye kaa main maan ke haath pe sar rakh ke so rahaa huun abhi mire mizaaj se nafrat rahi hai suraj ko main ham-kalaam jo jugnu se ho rahaa huun abhi kisi bhi haal mein saudaa zamir kaa na karo main arz-e-nau mein yahi biij bo rahaa huun abhi nikal paDaa huun main khud ko talaash karne ko main apne aap mein khud ko hi kho rahaa huun abhi mile jo baar qazaa ke to mein uThaa bhi sakun tabhi hayaat ke har bojh Dho rahaa huun abhi main baarishon mein kabhi dhuup ki haraarat mein gharaundaa ghaur se dekhaa to ro rahaa huun abhi"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"