SHAWORDS

main us se duur rahaa us ki dastaras mein rahaa — Abbas Rizvi

HomeAbbas RizviGhazal
"main us se duur rahaa us ki dastaras mein rahaa vo ek shoale ki surat mire nafas mein rahaa nazar asiir isi chashm-e-mai-fashaan ki rahi miraa badan bhi miri ruuh ke qafas mein rahaa chaman se TuuT gayaa barg-e-zard kaa rishta na aab o gil mein samaayaa na khaar-o-khas mein rahaa tamaam umr ki be-taabiyon kaa haasil thaa vo ek lamha jo sadiyon ke pesh-o-pas mein rahaa vo ek shaaer-e-aashufta-sar ki mujh mein thaa havaa kaa saath na de kar havaa ke bas mein rahaa kisi khayaal ke nashshe mein din guzarte rahe main apni umr ke unnisvein baras mein rahaa"
Urdu

میں اس سے دور رہا اس کی دسترس میں رہا وہ ایک شعلے کی صورت مرے نفس میں رہا نظر اسیر اسی چشم مے فشاں کی رہی مرا بدن بھی مری روح کے قفس میں رہا چمن سے ٹوٹ گیا برگ زرد کا رشتہ نہ آب و گل میں سمایا نہ خار و خس میں رہا تمام عمر کی بے تابیوں کا حاصل تھا وہ ایک لمحہ جو صدیوں کے پیش و پس میں رہا وہ ایک شاعر آشفتہ سر کہ مجھ میں تھا ہوا کا ساتھ نہ دے کر ہوا کے بس میں رہا کسی خیال کے نشے میں دن گزرتے رہے میں اپنی عمر کے انیسویں برس میں رہا

Hindi

मैं उस से दूर रहा उस की दस्तरस में रहा वो एक शोले की सूरत मिरे नफ़स में रहा नज़र असीर इसी चश्म-ए-मय-फ़शाँ की रही मिरा बदन भी मिरी रूह के क़फ़स में रहा चमन से टूट गया बर्ग-ए-ज़र्द का रिश्ता न आब ओ गिल में समाया न ख़ार-ओ-ख़स में रहा तमाम उम्र की बे-ताबियों का हासिल था वो एक लम्हा जो सदियों के पेश-ओ-पस में रहा वो एक शाएर-ए-आशुफ़्ता-सर कि मुझ में था हवा का साथ न दे कर हवा के बस में रहा किसी ख़याल के नश्शे में दिन गुज़रते रहे मैं अपनी उम्र के उन्नीसवें बरस में रहा

maiñ us se duur rahā us kī dastaras meñ rahā
Abbas Rizvi
Abbas Rizvi
Abbas Rizvi
poet20 quotes

More by Abbas Rizvi

View all →
Quote
"guzar gayaa vo zamaana vo zakhm bhar bhi gae safar tamaam huaa aur ham-safar bhi gae usi nazar ke liye be-qaraar rahte the usi nigaah ki be-taabiyon se Dar bhi gae hamaari raah mein saaya kahin nahin thaa magar kisi shajar ne pukaaraa to ham Thahar bhi gae ye sail-e-ashk hai barbaad kar ke chhoDegaa ye ghar na paaoge dariyaa agar utar bhi gae sahar hui to ye uqda bhi taaeron pe khulaa ki aashiyaan hi nahin ab ke baal-o-par bhi gae bahut aziiz thi ye zindagi magar ham log kabhi kabhi to kisi aarzu mein mar bhi gae shajar ke saath koi barg-e-zard bhi na rahaa havaa chali to bahaaron ke nauhagar bhi gae"
Abbas RizviAbbas Rizvi
Quote
"dhuaan saa phail gayaa dil mein shaam Dhalte hi badal gae mire mausam tire badalte hi simaTte phailte saae kalaam karne lage lahu mein khauf kaa pahlaa charaagh jalte hi koi malul si khushbu fazaa mein tair gai kisi khayaal ke harf-o-sadaa mein Dhalte hi vo dost thaa ki adu main ne sirf ye jaanaa ki vo zamin pe aayaa mire sambhalte hi badan ki aag ne lafzon ko phir se zinda kiyaa huruf sabz hue barf ke pighalte hi vo habs thaa ki tarasti thi saans lene ko so ruuh taaza hui jism se nikalte hi"
Abbas RizviAbbas Rizvi
Quote
"jis ko ham samajhte the umr bhar kaa rishta hai ab vo raabta jaise rahguzar kaa rishta hai subh tak ye maujein bhi thak ke so hi jaaeingi chaand kaa samundar hai raat bhar kaa rishta hai ye jo itne saare dil saath hi dhaDakte hain kuchh qalam kaa naata hai kuchh hunar kaa rishta hai tez hain to kyaa gham hai tund hain to shikva kyaa in havaaon se apnaa baal-o-par kaa rishta hai is hasin tasavvur kaa meri surkh aankhon se aab o gil kaa naata hai baam-o-dar kaa rishta hai ek naa-tavaan rishta us se ab bhi baaqi hai jis tarah duaaon kaa aur asar kaa rishta hai"
Abbas RizviAbbas Rizvi
Quote
"ham tire husn-e-jahaan-taab se Dar jaate hain aise muflis hain ki asbaab se Dar jaate hain khauf aisaa hai ki duniyaa ke sataae hue log kabhi mimbar kabhi mehraab se Dar jaate hain raat ke pichhle pahar niind mein chalte hue log khuun hote hue mahtaab se Dar jaate hain shaad rahte hain isi jaama-e-uryaani mein haan magar atlas-o-kamkhvaab se Dar jaate hain kabhi karte hain mubaaraz-e-talabi duniyaa se aur kabhi khvaahish-e-betaab se Dar jaate hain ji to kahtaa hai ki chaliye usi kuche ki taraf ham tiri bazm ke aadaab se Dar jaate hain ham to vo hain ki jinhein raas nahin koi nagar kabhi saahil kabhi girdaab se Dar jaate hain"
Abbas RizviAbbas Rizvi
Quote
"har taraf shor-e-fughaan hai koi suntaa hi nahin qaafila hai ki ravaan hai koi suntaa hi nahin ik sadaa puchhti rahti hai koi zinda hai main kahe jaataa huun haan hai koi suntaa hi nahin main jo chup thaa hama-tan-gosh thi basti saari ab mire munh mein zabaan hai koi suntaa hi nahin dekhne vaale to is shahr mein yuun bhi kam the ab samaaat bhi giraan hai koi suntaa hi nahin ek hangaama ki is dil mein bapaa rahtaa thaa ab karaan-taa-ba-karaan hai koi suntaa hi nahin kyaa sitam hai ki mire shahr mein meri aavaaz jaise aavaaz-e-sagaan hai koi suntaa hi nahin"
Abbas RizviAbbas Rizvi

More on Sad

View all →
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim