"na vo jazbaat ki lahrein na ehsaasaat kaa dariyaa liye phirtaa huun aankhon mein ajab khadshaat kaa dariyaa machalti shokh maujon ko main apne naam kyuun likkhun ki aakhir khushk hogaa mausam-e-barsaat kaa dariyaa kise maalum ye kashti lage kis ghaaT par jaa kar bahaa le jaae kyaa jaane kidhar haalaat kaa dariyaa kahaan is aankh kaa jugnu ki chamke bhi to chhupne ko kahaan ham bekason ki baatini zulmaat kaa dariyaa havaaein chup khalaa viraan fazaa ghamgin safar mushkil ravaan hadd-e-nazar tak jabr ke lamhaat kaa dariyaa zabaan ki khaamushi taqrir ko dafnaa nahin sakti nahin ruktaa 'figaar' alfaaz-o-takhliqaat kaa dariyaa"
majburiyon mein baanT le jo dard kaun hai — Amar Singh Figar
"majburiyon mein baanT le jo dard kaun hai palkon se jhaaDe gul pe jami gard kaun hai shoalon pe nange paanv chalaa jaa rahaa hai jo dekho vo burdbaar javaan-mard kaun hai sahraa sulag rahaa ho to paani bujhaaegaa paani ki aag ko jo kare sard kaun hai in mahvashon ki bhiiD mein khaamosh ik taraf baiThaa hai jo chhupaae rukh-e-zard kaun hai bhule se aa gayaa huun farishton ke des mein kis se pata karun ki yahaan fard kaun hai yaarab mujhe chaDhaa de kisi haadse ki bheinT dekhun ki meraa shahr mein hamdard kaun hai"
مجبوریوں میں بانٹ لے جو درد کون ہے پلکوں سے جھاڑے گل پہ جمی گرد کون ہے شعلوں پہ ننگے پاؤں چلا جا رہا ہے جو دیکھو وہ بردبار جواں مرد کون ہے صحرا سلگ رہا ہو تو پانی بجھائے گا پانی کی آگ کو جو کرے سرد کون ہے ان مہوشوں کی بھیڑ میں خاموش اک طرف بیٹھا ہے جو چھپائے رخ زرد کون ہے بھولے سے آ گیا ہوں فرشتوں کے دیس میں کس سے پتہ کروں کہ یہاں فرد کون ہے یا رب مجھے چڑھا دے کسی حادثے کی بھینٹ دیکھوں کہ میرا شہر میں ہمدرد کون ہے
मजबूरियों में बाँट ले जो दर्द कौन है पलकों से झाड़े गुल पे जमी गर्द कौन है शो'लों पे नंगे पाँव चला जा रहा है जो देखो वो बुर्दबार जवाँ-मर्द कौन है सहरा सुलग रहा हो तो पानी बुझाएगा पानी की आग को जो करे सर्द कौन है इन महवशों की भीड़ में ख़ामोश इक तरफ़ बैठा है जो छुपाए रुख़-ए-ज़र्द कौन है भूले से आ गया हूँ फ़रिश्तों के देस में किस से पता करूँ कि यहाँ फ़र्द कौन है यारब मुझे चढ़ा दे किसी हादसे की भेंट देखूँ कि मेरा शहर में हमदर्द कौन है

More by Amar Singh Figar
View all →"phir koi mushkil javaan hone ko hai doston kaa imtihaan hone ko hai jhonke dam saadhe khaDe hain chaar-su koi hangaama yahaan hone ko hai bhiig jaane par bhi jo bujhtaa na thaa aaj vo shoala dhuaan hone ko hai ye bahaarein aur gul buuTe niDhaal fasl-e-gul daur-e-khizaan hone ko hai zindagi se kijiye ummid kyaa zindagi khud raaegaan hone ko hai zabt kaa had se guzarnaa dekhiye raaz aankhon se bayaan hone ko hai manzil-e-maqsud jab aai nazar raahbar sang-e-garaan hone ko hai"
"kaun kahtaa hai ki tum socho nahin soch mein itne magar Duubo nahin chup hain divaarein to kyaa bahri bhi hain sab hama-tan-gosh hain bolo nahin phuul to kyaa khaar bhi manzur hain be-rukhi se yuun magar pheinko nahin apni hi surat se tum Dar jaaoge aaine mein aaj-kal jhaanko nahin aaj kuchh tum ko ziyaada ho gai jaao so jaao miyaan uljho nahin faasla vo hai ki baDhtaa jaaegaa lams ke khvaabon mein yuun bhaTko nahin main zamin kaa dard huun yaaro mujhe aasmaanon kaa pata puchho nahin"
"baiThaa hai sogvaar sitamgar ke shahr mein kis ko pukaare aaina patthar ke shahr mein bejaa nahin fazaaon kaa hairat mein Dubnaa itnaa sukut aur sukhan-var ke shahr mein is daur mein usi ko hunar-mand maaniye jiinaa nahin paDaa jise mar mar ke shahr mein manzil qarib aai to rasta bhulaa gayaa phirte hain khaak chhaante rahbar ke shahr mein suraj nazar bachaa ke to guzraa na thaa magar utrin nahin shuaaein muqaddar ke shahr mein insaan kahun unhein ki farishton kaa naam duun jo log dard-mand hain be-ghar ke shahr mein shaayad nikal hi aae koi chaaragar 'figaar' ik baar aur dekh sadaa kar ke shahr mein"
"kise khayaal ki ishrat ke baab kitne hain ye pyaas kitni hai is par saraab kitne hain safina ghaaT lagaa dekh ham ye bhuul gae ki vo safine jo hain gharq-e-aab kitne hain tu ye na puchh mire gaanv mein hain ghar kitne ye puchh kaun se ghar mein azaab kitne hain sharik-e-gham use kar to liyaa magar socho ki zimmedaar ke zimme javaab kitne hain baDaa ghurur hai tujh ko aziim lashkar par kabhi to soch tire ham-rikaab kitne hain lachakti shaakh pe kaanTe bhi kam nahin hote yahi na dekhiye kis par gulaab kitne hain"
"jab koi raasta nahin hotaa kaun mahv-e-duaa nahin hotaa log zulmat se yuun hi naalaan hain roz-e-raushan mein kyaa nahin hotaa TuuTe taaron ko chhu ke dekhaa hai saaz-e-dil be-sadaa nahin hotaa har khushi dil se kyuun lagaa baiThein kis mein gham ho pata nahin hotaa aao mil baiTh lo ghaDi-do-ghaDi us ghaDi kaa pata nahin hotaa sard-mehri hamaari aadat hai varna zarre mein kyaa nahin hotaa phir vahi shab vahi tavil safar khatm ye silsila nahin hotaa"
More on Gul
View all →"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
"saanvli dhuup surmai mausam phir vahi ham hain phir vahi mausam khair ho saaebaan-e-gum-gashta jhelne paD gae kai mausam daastaan-e-tazaad hai goyaa shahr-e-khubaan samundari mausam ham ne apni bayaaz mein likkhe dil pe biite hue sabhi mausam ik ta'alluq hai 'aarzi yaa'ni mausam-e-gul hai 'aarzi mausam dil-figaaron ko kaun samjhaae lauTte kab hain makhmali mausam"
"ba-zom-e-aql ye kaisaa gunaah main ne kiyaa ik aainaa thaa usi ko siyaah main ne kiyaa ye shahr-e-kam-nazaraan ye dayaar-e-be-hunaraan kise ye apne hunar kaa gavaah main ne kiyaa harim-e-dil ko jalaane lagaa thaa ek khayaal so gul use bhi ba-yak sard aah main ne kiyaa vahi yaqin rahaa hai javaaz-e-ham-safari jo gaah us ne kiyaa aur gaah main ne kiyaa bas ek dil hi to hai vaaqif-e-rumuz-e-hayaat so shahr-e-jaan kaa use sarbaraah main ne kiyaa har ek ranj usi baab mein kiyaa hai raqam zaraa saa gham thaa jise be-panaah main ne kiyaa ye raah-e-ishq bahut sahl ho gai jab se hisaar-e-zaat ko paivand-e-raah main ne kiyaa ye umr ki hai basar kuchh ajab tavaazun se tiraa huaa na hi khud se nibaah main ne kiyaa khirad ne dil se kahaa tu junun-sifat hi sahi na puchh us ki ki jis ko tabaah main ne kiyaa"
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"ab tire lams ko yaad karne kaa ik silsila aur divaana-pan rah gayaa tu kahin kho gayaa aur pahlu mein teri shabaahat liye ik badan rah gayaa vo saraapaa tiraa vo tire khaal-o-khad meri yaadon mein sab muntashir ho gae lafz ki justuju mein laraztaa huaa nim-vaa saa faqat ik dahan rah gayaa harf ke harf se kyaa tazaadaat hain tu ne bhi kuchh kahaa main ne bhi kuchh kahaa tere pahlu mein duniyaa simaTti gai mere hisse mein harf-e-sukhan rah gayaa tere jaane se mujh par ye uqda khulaa rang-o-khushbu to bas teri miraas the ek hasrat saji rah gai gul-ba-gul ek maatam chaman-dar-chaman rah gayaa ek be-naam khvaahish ki paadaash mein teri palkein bhi baaham piro di gaiin ek vahshat ko sairaab karte hue mein bhi aankhon mein le kar thakan rah gayaa arsa-e-khvaab se vaqt maujud ke raaste mein ganvaa di gai guftugu ek israar ki bebasi rah gai ek inkaar kaa baankpan rah gayaa tu sitaaron ko apni jilau mein liye jaa rahaa thaa tujhe kyaa khabar kyaa huaa ik tamannaa dariche mein baiThi rahi ek bistar kahin be-shikan rah gayaa"