SHAWORDS

malaal teri qasam aaj kuchh ziyaada hai — Amit Goswami

HomeAmit GoswamiGhazal
"malaal teri qasam aaj kuchh ziyaada hai tujhe ganvaane kaa gham aaj kuchh ziyaada hai tujhe main kho bhi chukaa phir bhi tujh ko paane ki aas ye kal talak to thi kam aaj kuchh ziyaada hai miri to roz ki aadat hai par mujhe dukh hai ki teri aankh bhi nam aaj kuchh ziyaada hai kuchh aaj kal se sivaa-tar hai shab ki taariki phir us ki zulf bhi kham aaj kuchh ziyaada hai main dushmanon ke bhi haq mein duaaein karne lagaa ki doston kaa karam aaj kuchh ziyaada hai"
Urdu

ملال تیری قسم آج کچھ زیادہ ہے تجھے گنوانے کا غم آج کچھ زیادہ ہے تجھے میں کھو بھی چکا پھر بھی تجھ کو پانے کی آس یہ کل تلک تو تھی کم آج کچھ زیادہ ہے مری تو روز کی عادت ہے پر مجھے دکھ ہے کہ تیری آنکھ بھی نم آج کچھ زیادہ ہے کچھ آج کل سے سوا تر ہے شب کی تاریکی پھر اس کی زلف بھی خم آج کچھ زیادہ ہے میں دشمنوں کے بھی حق میں دعائیں کرنے لگا کہ دوستوں کا کرم آج کچھ زیادہ ہے

Hindi

मलाल तेरी क़सम आज कुछ ज़ियादा है तुझे गँवाने का ग़म आज कुछ ज़ियादा है तुझे मैं खो भी चुका फिर भी तुझ को पाने की आस ये कल तलक तो थी कम आज कुछ ज़ियादा है मिरी तो रोज़ की आदत है पर मुझे दुख है कि तेरी आँख भी नम आज कुछ ज़ियादा है कुछ आज कल से सिवा-तर है शब की तारीकी फिर उस की ज़ुल्फ़ भी ख़म आज कुछ ज़ियादा है मैं दुश्मनों के भी हक़ में दुआएँ करने लगा कि दोस्तों का करम आज कुछ ज़ियादा है

malāl terī qasam aaj kuchh ziyāda hai
Amit Goswami
Amit Goswami
Amit Goswami
poet63 quotes

More by Amit Goswami

View all →
Quote
"vo rabt-e-baahami vo eatibaar pyaar na thaa jise main yunhi samajh baiThaa pyaar pyaar na thaa mahin lafzon ki sargoshiyaan thiin vo kyaa thiin vo mujh ko sochnaa divaana-vaar pyaar na thaa vo giili giili havaa aur dhulaa dhulaa mausam barasnaa aankhon kaa vo zaar-zaar pyaar na thaa tum apni pichhli mohabbat kaa gham bhulaane lagin mujhe bhi lagne lagaa pahlaa pyaar pyaar na thaa larazte lab pe jo iqraar thaa vo aur thaa kuchh tumhaari aankhon mein thaa intizaar pyaar na thaa"
Amit GoswamiAmit Goswami

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari