SHAWORDS

masih-e-vaqt sahi ham ko us se kyaa lenaa — Farigh Bukhari

HomeFarigh BukhariGhazal
"masih-e-vaqt sahi ham ko us se kyaa lenaa kabhi mile bhi to kuchh dard-e-dil baDhaa lenaa hazaar tark-e-vafaa kaa khayaal ho lekin jo ru-ba-ru hon to baDh kar gale lagaa lenaa kisi ko choT lage apne dil ko khuun karnaa zamaane bhar ke ghamon ko gale lagaa lenaa khumaar TuuTe to kaise ki ham ne siikh liyaa jo tu na ho to tiri yaad se nasha lenaa safina Duub bhi jaae to gham nahin 'faarigh' na bhuul kar kabhi ehsaan-e-naakhudaa lenaa"
Urdu

مسیح وقت سہی ہم کو اس سے کیا لینا کبھی ملے بھی تو کچھ درد دل بڑھا لینا ہزار ترک وفا کا خیال ہو لیکن جو روبرو ہوں تو بڑھ کر گلے لگا لینا کسی کو چوٹ لگے اپنے دل کو خوں کرنا زمانے بھر کے غموں کو گلے لگا لینا خمار ٹوٹے تو کیسے کہ ہم نے سیکھ لیا جو تو نہ ہو تو تری یاد سے نشہ لینا سفینہ ڈوب بھی جائے تو غم نہیں فارغؔ نہ بھول کر کبھی احسان ناخدا لینا

Hindi

मसीह-ए-वक़्त सही हम को उस से क्या लेना कभी मिले भी तो कुछ दर्द-ए-दिल बढ़ा लेना हज़ार तर्क-ए-वफ़ा का ख़याल हो लेकिन जो रू-ब-रू हों तो बढ़ कर गले लगा लेना किसी को चोट लगे अपने दिल को ख़ूँ करना ज़माने भर के ग़मों को गले लगा लेना ख़ुमार टूटे तो कैसे कि हम ने सीख लिया जो तू न हो तो तिरी याद से नशा लेना सफ़ीना डूब भी जाए तो ग़म नहीं 'फ़ारिग़' न भूल कर कभी एहसान-ए-नाख़ुदा लेना

masīh-e-vaqt sahī ham ko us se kyā lenā
Farigh Bukhari
Farigh Bukhari
Farigh Bukhari
poet57 quotes

More by Farigh Bukhari

View all →
Quote
"dekhaa tujhe to aankhon ne aivaan sajaa liye jaise tamaam khoe hue khvaab paa liye jitne the tere mahke hue aanchalon ke rang sab titliyon ne aur dhanak ne uDaa liye aisi ghuTi fazaaon mein kaise jiyeinge vo kuchh qaafile jo aae hain taaza havaa liye in sar-phiri havaaon se kuchh aashnaa to huun gahre samundaron mein na kashti ko Daaliye izhaar kijiye ki zaraa karb kam to ho ai dosto dukhon ko dilon mein na paaliye khud hi uThaaein apne junun ki jaraahatein ye rog dusron ke na khaate mein Daaliye pahle ye kohsaar to taskhir kijiye 'faarigh' abhi falak pe kamandein na Daaliye"
Farigh BukhariFarigh Bukhari
Quote
"parchhaaiyon ke ban mein kahin aa gayaa huun main daur-e-sitam kaa ek nayaa tajraba huun main chehron ki ek bhiiD sadaaon kaa ik julus teri gali mein aa ke tamaashaa banaa huun main ik 'umr se ye kis kaa mujhe intizaar hai jalti hui siyaah saDak par khaDaa huun main kitni kaDi masaafatein hain mere ham rikaab roz-e-azal se apne liye haadsa huun main vo subh meraa haath jhaTak kar chali gai raaton kaa zahr phaank ke pachhtaa rahaa huun main aabaadiyaan bhi mujh ko rifaaqat na de sakin tanhaai ki salib pe laTkaa rahaa huun main maqtal mein baT gayaa hai miraa reza reza jism bahte hue lahu ko nazar aa rahaa huun main 'faarigh' dukhe dilon ke na main kaam aa sakaa sharmindagi se ungliyaan chaTkhaa rahaa huun main"
Farigh BukhariFarigh Bukhari
Quote
"teri khaatir ye fusun ham ne jagaa rakkhaa hai varna aaraaish-e-afkaar mein kyaa rakkhaa hai hai tiraa aks hi aaina-e-dil ki zinat ek tasvir se album ko sajaa rakkhaa hai barg-e-sad-chaak kaa parda hai shagufta gul se qahqahon se kai zakhmon ko chhupaa rakkhaa hai ab na bhaTkeinge musaafir nai naslon ke kabhi ham ne raahon mein lahu apnaa jalaa rakkhaa hai ham se insaan ki khajaalat nahin dekhi jaati kam-savaadon kaa bharam ham ne ravaa rakkhaa hai kis qayaamat kaa hai didaar tiraa vaada-shikan dil-e-betaab ne ik hashr uThaa rakkhaa hai koi mushkil nahin pahchaan hamaari 'faarigh' apni khushbu kaa safar ham ne judaa rakkhaa hai"
Farigh BukhariFarigh Bukhari
Quote
"vo raushni hai kahaan jis ke baad saayaa nahin kisi ne aaj talak ye suraagh paayaa nahin kahaan se laaun vo dil jo tiraa buraa chaahe udu-e-jaan tiraa dukh bhi koi paraayaa nahin tiri sabaahat-e-sad-rang mein bikhar jaaun abhi vo lamha miri zindagi mein aayaa nahin tire vajud pe angDaai ban ke TuuTaa hai vo naghma jo kisi mutrib ne gungunaayaa nahin nai-naveli zaminon ki sondhi khushbu mein vo chaandni hai ki jis mein koi nahaayaa nahin ham ek fikr ke paikar hain ik khayaal ke phuul tiraa vajud nahin hai to meraa saayaa nahin vo baab jis mein tavaanaaiyon ki khushbu hai fasaana-saaz ne 'faarigh' kabhi sunaayaa nahin"
Farigh BukhariFarigh Bukhari
Quote
"hue hain sard dimaaghon ke dahke dahke alaav nafas ki aanch se fikr-o-nazar ke diip jalaao kiran kiran ko siyah badliyon ne gher liyaa hai tasavvuraat ke dhundle charaagho raah dikhaao kahaan hai gardish-e-dauraan kidhar hai sail-e-havaadis sukun-e-marg-e-musalsal mein Dubne lagi naav kabhi khizaan ke bagule kabhi bahaar ke jhule samajh sake na zamaane ke ye utaar chaDhaao ajiib saa hai kharaabaat ke faqihon kaa fatvaa bhaDakte shoalon se tapte dilon ki pyaas bujhaao hazaar gardanein kham hon buraa nahin pe sitam hai khayaal-o-fikr ki pasti nigaah-o-dil kaa jhukaao"
Farigh BukhariFarigh Bukhari

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer