SHAWORDS

mausam-e-gul mein koi kab hosh-mandaana chalaa — Kashfi Lucknavi

"mausam-e-gul mein koi kab hosh-mandaana chalaa phuul dekhe jis ne kaanTon mein vo divaana chalaa ek hi manzil pe har raahi ko jaanaa thaa magar zoam-e-baatil mein chalaa jo bhi judaagaana chalaa us ke har ik gaam par thi kaamraani saath saath kaargaah-e-dahr mein jo sarfaroshaana chalaa vaaizaan-e-kam-nazar hain dushman-e-tamkin-e-hosh miT gayaa vo in ki baaton par jo divaana chalaa mai-kade mein ranj-o-gham kaisaa kahaan ki mushkilein har khalish jaati rahi jab daur-e-paimaana chalaa aafrin sad aafrin ye himmat-e-zauq-e-talab shama ke jalte hi jal marne ko parvaana chalaa koi asraar-e-mashiyyat ho na paayaa aashkaar be-khabar aayaa thaa 'kashfi' aur begaana chalaa"
Urdu

موسم گل میں کوئی کب ہوش مندانہ چلا پھول دیکھے جس نے کانٹوں میں وہ دیوانہ چلا ایک ہی منزل پہ ہر راہی کو جانا تھا مگر زعم باطل میں چلا جو بھی جداگانہ چلا اس کے ہر اک گام پر تھی کامرانی ساتھ ساتھ کارگاہ دہر میں جو سرفروشانہ چلا واعظان کم نظر ہیں دشمن تمکین ہوش مٹ گیا وہ ان کی باتوں پر جو دیوانہ چلا مے کدہ میں رنج و غم کیسا کہاں کی مشکلیں ہر خلش جاتی رہی جب دور پیمانہ چلا آفریں صد آفریں یہ ہمت ذوق طلب شمع کے جلتے ہی جل مرنے کو پروانہ چلا کوئی اسرار مشیت ہو نہ پایا آشکار بے خبر آیا تھا کشفیؔ اور بیگانہ چلا

Hindi

मौसम-ए-गुल में कोई कब होश-मंदाना चला फूल देखे जिस ने काँटों में वो दीवाना चला एक ही मंज़िल पे हर राही को जाना था मगर ज़ोम-ए-बातिल में चला जो भी जुदागाना चला उस के हर इक गाम पर थी कामरानी साथ साथ कारगाह-ए-दहर में जो सरफ़रोशाना चला वा'इज़ान-ए-कम-नज़र हैं दुश्मन-ए-तमकीन-ए-होश मिट गया वो इन की बातों पर जो दीवाना चला मय-कदे में रंज-ओ-ग़म कैसा कहाँ की मुश्किलें हर ख़लिश जाती रही जब दौर-ए-पैमाना चला आफ़रीं सद आफ़रीं ये हिम्मत-ए-ज़ौक़-ए-तलब शम्अ' के जलते ही जल मरने को परवाना चला कोई असरार-ए-मशिय्यत हो न पाया आश्कार बे-ख़बर आया था 'कशफ़ी' और बेगाना चला

mausam-e-gul meñ koī kab hosh-mandāna chalā
Kashfi Lucknavi
Kashfi Lucknavi
Kashfi Lucknavi
poet15 quotes

More by Kashfi Lucknavi

View all →
Quote
"saahil pe ab charaagh farozaan hue to kyaa gharqaab ham ko kar ke ye saamaan hue to kyaa be-rang-o-bu hai daaman-e-ahl-e-chaman abhi qatre lahu ke sarf-e-bahaaraan hue to kyaa be-kaar hai bahaar jo aae na vaqt par gar mere baad aish ke saamaan hue to kyaa ham but-kade mein rah ke bhi imaan-parast hain vaaiz haram mein rah ke musalmaan hue to kyaa gar laa-ilaaj ho gayaa dard-e-dil-e-figaar phir chaarasaaz maail-e-darmaan hue to kyaa maathe pe to kalank kaa Tiika hai aaj tak ham ko miTaa ke log numaayaan hue to kyaa khvaabida ab bhi nazrein hain be-his hai ab bhi dil naa aashnaa-e-soz ghazal-khvaan hue to kyaa daaman se khuun dil ko banaanaa thaa rashk-e-gul minnat-kash-e-bahaar-e-gulistaan hue to kyaa 'kashfi' miTaa sake na magar zulmat-e-nasib aansu hamaare zinat-e-mizhgaan hue to kyaa"
Kashfi LucknaviKashfi Lucknavi
Quote
"vo misl-e-mauj-e-bahaar apne shabaab ki samt aa rahe hain dilon ke ghunche khilaa rahe hain nazar kaa daaman sajaa rahe hain har ek zarre mein har fazaa mein vo husn ban kar samaa rahe hain hamaari taab-e-nigaah ko vo har aaina aazmaa rahe hain hamaare aansu sunaa rahe hain shikasta dil kaa fasaana un ko magar qayaamat ki baat hai ye vo sun ke bhi muskuraa rahe hain dil-o-jigar khuun ho chuke hain hamaare lab par magar hansi hai ham apne afsaana-e-vafaa ko kuchh aur rangin banaa rahe hain jo mahv-e-zulm-o-sitam thaa kal tak vo aaj shaayad badal gayaa ho ye aarzu le ke ham dobaara kisi ke kuche mein jaa rahe hain falak kaa andaaz kah rahaa hai hamaare armaan kaa khuun hogaa abhi to aaghaaz-e-shab hai aakhir sitaare kyuun jhilmilaa rahe hain hamaari qismat kaa pher dekho talaash-e-manzil mein umr guzri magar jahaan se chale the kashfi vahin pe ham khud ko paa rahe hain"
Kashfi LucknaviKashfi Lucknavi
Quote
"jab raushni na paa sake mehr-o-qamar se ham khud be-niyaaz ho gae shaam-o-sahar se ham is imtihaan mein bhi hai teraa karam sharik hans kar guzar rahe hain rah-e-pur-khatar se ham duniyaa ko ham dikhaaeinge meaar-e-bandagi qismat banaa ke uTTheinge ab tere dar se ham jis ki navaazishon pe hai mauquf zindagi kyaa hogaa gir gae agar us ki nazar se ham zinda hain to banegaa isi jaa phir aashiyaan Darte nahin hain fitna-e-barq-o-sharar se ham duniyaa se duur ho ke pataa us kaa paa gae varna the apne aap se bhi be-khabar se ham allaah rakkhe khanda-e-divaangi se duur hain aashnaa maaal-e-gham-e-mo'atabar se ham 'kashfi' banaa diyaa use aaina-e-bahaar guzre kisi ki yaad mein jis rahguzar se ham"
Kashfi LucknaviKashfi Lucknavi
Quote
"karte rahein vaabasta un se chaahe jo afsaane log 'ishq mein rusvaai ki parvaa karte hain kab divaane log kis ko sadaaein detaa hai tu shahr-e-tamannaa mein ai dil kaun yahaan hai teraa saathi sabhi to hain begaane log kis ko sunaaein haal-e-tabaahi kis ko dikhaaein zakhm-e-jigar daur-e-sitam hai rahm kahaan ab zulm ke hain divaane log shaikh-o-barahman ki baaton mein dair-o-haram ke jhagDe hain chaal mein in ki phir kyuun aaein ham jaise mastaane log faiz-e-junun se jaag uThaa hai aaj muqaddar sahraa kaa phuul khilaate hain is mein bhi dekhiye kuchh divaane log bachte hue sab se aae the mahfil-e-zindaan ki jaanib mil hi gae uf ham ko yahaan bhi kuchh jaane pahchaane log ahl-e-junun ke faiz se kashfi duniyaa mein bedaar hi hai baat pate ki kah dete hain aksar ye divaane log"
Kashfi LucknaviKashfi Lucknavi
Quote
"hausle aur sivaa ho gae parvaanon ke shoale armaan baDhaa dete hain divaanon ke yahi aalam hai agar laghzish-e-mastaana kaa Dher lag jaaeinge TuuTe hue paimaanon ke taur badlaa na agar ahl-e-chaman ne apnaa nazar aaeinge manaazir yahin viraanon ke aah-e-mazlum agar dil se nikal jaaegi khaak par Dher nazar aaeinge aivaanon ke qissa-e-sarmad-o-mansur na chheD ai hamdam varna jazbaat bhaDak uTheinge divaanon ke aap mahfil mein na aate to bahut achchhaa thaa aaj to hosh uDe jaate hain farzaanon ke daur-e-haazir ki kashaakash kaa ye aalam hai ki bas hausle past hue jaate hain insaanon ke kyaa bigaaDegi bhalaa shorish-e-tufaan us kaa jis ne rukh moD diye baarhaa tufaanon ke dosto baatein banaate ho sar-e-saahil kyaa aao rukh moD ke dekhein zaraa tufaanon ke us se ummid-e-karam kyaa kare koi 'kashfi' kaam aataa ho jo apnon ke na begaanon ke"
Kashfi LucknaviKashfi Lucknavi
Quote
"hai barham phir mizaaj un kaa dil-e-naakaam kyaa hogaa yahi surat rahi to ishq kaa anjaam kyaa hogaa khalish dil mein jigar mein dard lab par mohr-e-khaamoshi ye surat hai to phir mujh ko bhalaa aaraam kyaa hogaa ye bazm-e-naaz hai ai dil yahaan behtar hai khaamoshi sunaa kar un ko apnaa qissa-e-aalaam kyaa hogaa yahi hai zohd kaa aalam to phir ai hazrat-e-naaseh sharaab-e-hauz-e-kausar kaa chhalaktaa jaam kyaa hogaa abhi se aankh mein aansu hain lab par aah dil mein dard ye aaghaaz-e-mohabbat hai to phir anjaam kyaa hogaa khudaaraa ye bhi socho ai chaman ke chhoDne vaalo hain jo sahn-e-chaman mein in kaa ab anjaam kyaa hogaa koi badnaam ho jaae to is ko bhi bahut samjho hai ye duuri khudi is mein kisi kaa naam kyaa hogaa abhi to shab hai aao pyaar ki baatein karein ham tum abhi se kyuun ye sochein subh kaa paighaam kyaa hogaa jidhar dekho udhar zulmat nazar aati hai ai 'kashfi' sahar kaa rang hai jab ye to rang-e-shaam kyaa hogaa"
Kashfi LucknaviKashfi Lucknavi

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari