SHAWORDS

mil na paae kahin to hairat kyaa — Faheem Jogapuri

"mil na paae kahin to hairat kyaa tum samundar hue na ham dariyaa mauj-dar-mauj hai yahi charchaa kashtiyon se milaa hai kyon dariyaa umr bhar kaa hisaab thaa un se chand lamhon mein puchhte kyaa kyaa mere ghar kaa charaagh bujhte hi chaDh gayaa kitnaa bhaav suraj kaa tishna-lab huun koi faqir nahin mat hiqaarat se dekh ai dariyaa puchh baiThe jo kyaa diyaa tu ne zindagi kaa utar gayaa chehra sab ki duniyaa tabaah karte ho tum bhi kyaa ho gae ho amrikaa muddaton se talaash mein huun 'fahim' kho gayaa hai kahaan miraa chehra"
Urdu

مل نہ پائے کہیں تو حیرت کیا تم سمندر ہوئے نہ ہم دریا موج در موج ہے یہی چرچا کشتیوں سے ملا ہے کیوں دریا عمر بھر کا حساب تھا ان سے چند لمحوں میں پوچھتے کیا کیا میرے گھر کا چراغ بجھتے ہی چڑھ گیا کتنا بھاؤ سورج کا تشنہ لب ہوں کوئی فقیر نہیں مت حقارت سے دیکھ اے دریا پوچھ بیٹھے جو کیا دیا تو نے زندگی کا اتر گیا چہرہ سب کی دنیا تباہ کرتے ہو تم بھی کیا ہو گئے ہو امریکہ مدتوں سے تلاش میں ہوں فہیمؔ کھو گیا ہے کہاں مرا چہرہ

Hindi

मिल न पाए कहीं तो हैरत क्या तुम समुंदर हुए न हम दरिया मौज-दर-मौज है यही चर्चा कश्तियों से मिला है क्यों दरिया उम्र भर का हिसाब था उन से चंद लम्हों में पूछते क्या क्या मेरे घर का चराग़ बुझते ही चढ़ गया कितना भाव सूरज का तिश्ना-लब हूँ कोई फ़क़ीर नहीं मत हिक़ारत से देख ऐ दरिया पूछ बैठे जो क्या दिया तू ने ज़िंदगी का उतर गया चेहरा सब की दुनिया तबाह करते हो तुम भी क्या हो गए हो अमरीका मुद्दतों से तलाश में हूँ 'फहीम' खो गया है कहाँ मिरा चेहरा

mil na paa.e kahīñ to hairat kyā
Faheem Jogapuri
Faheem Jogapuri
Faheem Jogapuri
poet54 quotes

More by Faheem Jogapuri

View all →
Quote
"raat kaa ab koi jaadu nahin chalne vaalaa ik sitaaraa hai use din mein badalne vaalaa dushmani laakh nibhaate rahein kaale baadal shaam se pahle ye suraj nahin Dhalne vaalaa hansne vaale diye khaamosh na honge jab tak ghar pe Thahraa huaa tufaan nahin Talne vaalaa apne pital pe chaDhaate raho sone ke varaq dil ki duniyaa mein ye sikka nahin chalne vaalaa vo mujhe dekh ke phunkaar rahaa hai aise azhdahaa jaise kisi ko ho nigalne vaalaa aatish-e-ishq hai ye khel na samjhe koi khaak ho jaataa hai is aag mein jalne vaalaa chaahe sailaab-e-balaa gher le aakar mujh ko mere bhaai kaa nahin khuun ubalne vaalaa itnaa kamzor bhi samjhe na koi mujh ko 'fahim' gham ke dariyaa se ye kaaghaz nahin galne vaalaa"
Faheem JogapuriFaheem Jogapuri
Quote
"apne qadam ki chaap se yuun Dar rahe hain ham maqtal ki samt jaise safar kar rahe hain ham kyaa chaand aur taaron ko ham jaante nahin ai aasmaan vaalo zamin par rahe hain ham mushkil thaa sath-e-aab se ham ko khangaalnaa baahar nahin the jitnaa ki andar rahe hain ham kal aur koi vaqt ki aankhon mein ho to kyaa ab tak to har nigaah kaa mehvar rahe hain ham dair-o-haram se aur bhi aage nikal gae haan aql ki hudud se baahar rahe hain ham ai ham-safar na puchh masaafat nasib se tu jaantaa hai kitne dinon ghar rahe hain ham baahar na aae ham bhi anaa ke hisaar se is jang mein tumhaare baraabar rahe hain ham jharnon ki kyaa bisaat karein guftugu 'fahim' dariyaa gire jahaan vo samundar rahe hain ham"
Faheem JogapuriFaheem Jogapuri
Quote
"yaad kar kar ke tiri yaad miTaane nikle le ke ghi haath mein ham aag bujhaane nikle ham faqiron ke qalam se jo khazaane nikle jholiyaan le ke shahanshaah charaane nikle jaise jangal mein koi raat bitaane nikle ghar se nikle to lagaa jaan ganvaane nikle apni haalat kaa ab ehsaas huaa hai aise jaise chhappar koi barsaat mein chhaane nikle bhuki dharti ki anaa aa gai daaman mein magar saare aakaash mein do-chaar hi daane nikle kuchh thake-maandon pe kutton kaa barasnaa dekhaa jab vo fōtpath pe akhbaar bichhaane nikle khud ko samjhaate hue shahr se yuun lauTe hain jaise pardes koi ghar se kamaane nikle aise insaan se mulaaqaat na karnaa behtar dil ke aangan mein jo divaar uThaane nikle saade logon ko bahut tang kiyaa hai tu ne ham hi divaanon se bal tere zamaane nikle sher kahte hain jise baat vahin khatm hui ham to bas 'mir' ki ik rasm nibhaane nikle"
Faheem JogapuriFaheem Jogapuri
Quote
"bech kar tahzib daulat ke pujaari ho gae is zamaane ke sukhanvar bhi madaari ho gae rakh ke vo mizaan par divaan apnaa ro paDe jab kisi ke be-sure alfaaz bhaari ho gae ham ne ik mandir mein dekhi aaj aisi murti aadmi to aadmi patthar pujaari ho gae inqalaab aaya to hai lekin ye kaisaa inqalaab chintiyon ko maarne vaale shikaari ho gae ishq ke baazaar se lauTe hain dil ko haar kar din-o-imaan tum sambhaalo ham juaari ho gae kaun samjhaae samundar ke thapeDon ko 'fahim' kaise kaise vaqt ke aage bhikaari ho gae"
Faheem JogapuriFaheem Jogapuri
Quote
"falak pe hansne lage chaand taare shaam ke baad hamin udaas hain dariyaa kinaare shaam ke baad khanakti chuDiyaan khushbuein pyaar ki baatein tamaam vasl ke hain istiaare shaam ke baad hamaare din pe zamaane kaa jo tasarruf ho hamaari raat hai aur ham tumhaare shaam ke baad nikaliye ghar se to daaman mein aa hi jaate hain do ek bhaTke hue maah-paare shaam ke baad sunahri machhliyaan Dar jaati hain andheron se so kaun jhiil mein kashti utaare shaam ke baad kahin bhi din mein bhaTaktaa rahun magar vo gali udhar hi raaste muD jaaein saare shaam ke baad udaas raat ke aangan mein dard ki devi baDe hi chaav se zulfein sanvaare shaam ke baad khulaa thaa saamne ik roz baab-e-shahr-e-badan kise bataaein jo dekhe nazaare shaam ke baad tamaam din pe hukumat rahi hamaari 'fahim' ham apne vaqt ke suraj the haare shaam ke baad"
Faheem JogapuriFaheem Jogapuri

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb