SHAWORDS

mire kuchh bhi kahe ko kaaTtaa hai — Bakul Dev

HomeBakul DevGhazal
"mire kuchh bhi kahe ko kaaTtaa hai vo apne daaere ko kaaTtaa hai main is baazaar ke qaabil nahin huun yahaan khoTaa khare ko kaaTtaa hai udaas aankhein pahanti hain hansi ko phir aansu qahqahe ko kaaTtaa hai na mujh ko hain qubul apni khataaein na vo apne likhe ko kaaTtaa hai tavajjoh chaahtaa hai gham puraanaa so rah rah kar nae ko kaaTtaa hai vahi aansu vahi maazi ke qisse jise dekho kaTe ko kaaTtaa hai"
Urdu

مرے کچھ بھی کہے کو کاٹتا ہے وہ اپنے دائرے کو کاٹتا ہے میں اس بازار کے قابل نہیں ہوں یہاں کھوٹا کھرے کو کاٹتا ہے اداس آنکھیں پہنتی ہیں ہنسی کو پھر آنسو قہقہے کو کاٹتا ہے نہ مجھ کو ہیں قبول اپنی خطائیں نہ وہ اپنے لکھے کو کاٹتا ہے توجہ چاہتا ہے غم پرانا سو رہ رہ کر نئے کو کاٹتا ہے وہی آنسو وہی ماضی کے قصے جسے دیکھو کٹے کو کاٹتا ہے

Hindi

मिरे कुछ भी कहे को काटता है वो अपने दाएरे को काटता है मैं इस बाज़ार के क़ाबिल नहीं हूँ यहाँ खोटा खरे को काटता है उदास आँखें पहनती हैं हँसी को फिर आँसू क़हक़हे को काटता है न मुझ को हैं क़ुबूल अपनी ख़ताएँ न वो अपने लिखे को काटता है तवज्जोह चाहता है ग़म पुराना सो रह रह कर नए को काटता है वही आँसू वही माज़ी के क़िस्से जिसे देखो कटे को काटता है

mire kuchh bhī kahe ko kāTtā hai
Bakul Dev
Bakul Dev
Bakul Dev
poet40 quotes

More by Bakul Dev

View all →
Quote
"samaaat ke liye ik imtihaan hai khamoshi in dinon misl-e-bayaan hai safar apne hi bhitar kar rahaa huun miraa Thahraav muddat se ravaan hai havas shaamil hai thoDi si duaa mein abhi is lau mein halkaa saa dhuaan hai nayaa ik khvaab dekhein aur roein ab itni taab aankhon mein kahaan hai uDaa deti hai apni khaak jab tab zamin ki justuju bhi aasmaan hai tabhi aahon ke sur uThte hain is se hamaaraa soz-e-jaan hi saaz-e-jaan hai hamesha duur se dekhaa kiyaa huun jahaan mujh ko javaahir ki dukaan hai miraa kirdaar is mein ho gayaa gum tumhaari yaad bhi ik daastaan hai mohabbat ek kashti mukhtasar si tamannaaon kaa dariyaa be-karaan hai main saare faasle tai kar chukaa huun khudi jo darmiyaan thi darmiyaan hai 'bakul' khvaabon ke panchhi aa base hain hamaaraa aashiyaan ab aashiyaan hai"
Bakul DevBakul Dev
Quote
"jo hai chashma use saraab karo shahr-e-tishna mein inqalaab karo muskuraane kaa fan to baad kaa hai pahle saaat kaa intikhaab karo ab ke taabir masala na rahe ye jo duniyaa hai is ko khvaab karo aur pakne do ishq ki miTTi paar ujlat mein mat chanaab karo ahd-e-nau ke ajab taqaaze hain jo hai khushbu use gulaab karo yuun khushi ki havas na jaaegi ek ik gham ko be-naqaab karo harsingaaron se bolti hai zamin ab ki rut mein mujhe kitaab karo pahle puchho savaal apne taiin phir khalaa se talab javaab karo"
Bakul DevBakul Dev
Quote
"dil se be-sud aur jaan se kharaab ho rahaa huun kahaan kahaan se kharaab gham ki dahliz hai bhali kitni koi uThtaa nahin yahaan se kharaab main miraa aks aur aaina ye nazaara thaa darmiyaan se kharaab khud ko taamir karte karte main ho gayaa huun yahaan vahaan se kharaab raushni ik haqir taare ki aa gai ho ke kahkashaan se kharaab zer-e-lab rakh chhupaa ke naam us kaa lafz hote hain kuchh bayaan se kharaab ek muddat se huun main munkir-e-ishq aa mujhe kar de apni haan se kharaab rang nikhre hain phir vahin pe 'bakul' meri tasvir thi jahaan se kharaab"
Bakul DevBakul Dev

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb