Quote
"tiraa qurb thaa ki firaaq thaa vahi teri jalvagari rahi ki jo raushni tire jism ki thi mire badan mein bhari rahi tire shahr mein main chalaa thaa jab to koi bhi saath na thaa mire to main kis se mahv-e-kalaam thaa to ye kis ki ham-safari rahi mujhe apne aap pe maan thaa ki na jab talak tiraa dhyaan thaa tu misaal thi miri aagahi tu kamaal-e-be-khabari rahi mire aashnaa bhi ajiib the na rafiq the na raqib the mujhe jaan se dard aziiz thaa unhein fikr-e-chaaragari rahi main ye jaantaa thaa miraa hunar hai shikast-o-rekht se mo'tabar jahaan log sang-ba-dast the vahin meri shishagari rahi jahaan naasehon kaa hujum thaa vahin aashiqon ki bhi dhuum thi jahaan bakhiya-gar the gali gali vahin rasm-e-jaama-dari rahi tire paas aa ke bhi jaane kyuun miri tishnagi mein hiraas thaa ba-misaal-e-chashm-e-ghazaal jo lab-e-aabju bhi Dari rahi jo havas farosh the shahr ke sabhi maal bech ke jaa chuke magar ek jins-e-vafaa miri sar-e-rah dhari ki dhari rahi mire naaqidon ne faraaz jab miraa harf harf parakh liyaa to kahaa ki ahd-e-riyaa mein bhi jo baat khari thi khari rahi"
