SHAWORDS

mohabbat is-qadar kaa faaeda kyaa — Nasir Maroof

HomeNasir MaroofGhazal
"mohabbat is-qadar kaa faaeda kyaa yuun hone dar-ba-dar kaa faaeda kyaa tire bin hai mire kis kaam kaa ye mire barbaad ghar kaa faaeda kyaa suno dastaar daaghon se bhari hai salaamat hai jo sar kaa faaeda kyaa agar ab bhi nahin ye kaam kaa to mere chhalni jigar kaa faaeda kyaa ye ghaalib bhuuk thi tum puchhte ho kaTaae baal-o-par kaa faaeda kyaa miri mahrumiyaan gar hain salaamat tiri achchhi nazar kaa faaeda kyaa vo sunne ke liye tayyaar kab thaa vazaahat be-asar kaa faaeda kyaa basaayaa hai mujhe tu ne jo dil mein to phir mujh se mafar kaa faaeda kyaa vafaa ke naam se vaaqif na ho jo to husn-e-khub-tar kaa faaeda kyaa mayassar raushni jis ki nahin hai to phir aise qamar kaa faaeda kyaa"
Urdu

محبت اسقدر کا فائدہ کیا یوں ہونے در بدر کا فائدہ کیا ترے بن ہے مرے کس کام کا یہ مرے برباد گھر کا فائدہ کیا سنو دستار داغوں سے بھری ہے سلامت ہے جو سر کا فائدہ کیا اگر اب بھی نہیں یہ کام کا تو میرے چھلنی جگر کا فائدہ کیا یہ غالب بھوک تھی تم پوچھتے ہو کٹائے بال و پر کا فائدہ کیا مری محرومیاں گر ہیں سلامت تری اچھی نظر کا فائدہ کیا وہ سننے کے لئے تیار کب تھا وضاحت بے اثر کا فائدہ کیا بسایا ہے مجھے تو نے جو دل میں تو پھر مجھ سے مفر کا فائدہ کیا وفا کے نام سے واقف نہ ہو جو تو حسن خوب تر کا فائدہ کیا میسر روشنی جس کی نہیں ہے تو پھر ایسے قمر کا فائدہ کیا

Hindi

मोहब्बत इस-क़दर का फ़ाएदा क्या यूँ होने दर-ब-दर का फ़ाएदा क्या तिरे बिन है मिरे किस काम का ये मिरे बर्बाद घर का फ़ाएदा क्या सुनो दस्तार दाग़ों से भरी है सलामत है जो सर का फ़ाएदा क्या अगर अब भी नहीं ये काम का तो मेरे छलनी जिगर का फ़ाएदा क्या ये ग़ालिब भूक थी तुम पूछते हो कटाए बाल-ओ-पर का फ़ाएदा क्या मिरी महरूमियाँ गर हैं सलामत तिरी अच्छी नज़र का फ़ाएदा क्या वो सुनने के लिए तय्यार कब था वज़ाहत बे-असर का फ़ाएदा क्या बसाया है मुझे तू ने जो दिल में तो फिर मुझ से मफ़र का फ़ाएदा क्या वफ़ा के नाम से वाक़िफ़ न हो जो तो हुस्न-ए-ख़ूब-तर का फ़ाएदा क्या मयस्सर रौशनी जिस की नहीं है तो फिर ऐसे क़मर का फ़ाएदा क्या

mohabbat is-qadar kā fā.eda kyā
Nasir Maroof
Nasir Maroof
Nasir Maroof
poet10 quotes

More by Nasir Maroof

View all →
Quote
"kabhi dil yaad kartaa hai kabhi mujh se jhagaDtaa hai jo baahar dastaras se hon unhi baaton pe aDtaa hai kisi khanDar puraane mein badaltaa jaa rahaa huun main ki rozaana hi andar se miraa ye jism jhaDtaa hai kisi bhi or se aao mire hi paas aaoge nishaan tere bhi raste kaa mire raste mein paDtaa hai ise vahshat se jaane kyon mohabbat ho rahi hai ab kisi zanjir ko khud hi miraa paanv pakaDtaa hai mujhe hi maar Daaleinge jo mere yaar bante hain samundar raaste mein hai qadam aage ko baDhtaa hai ye hasrat did-e-sahraa ki kare majbur hijrat par bhalaa kab itni aasaani se rang-e-ishq chaDhtaa hai chalo apni anaaon ko karein sajda khushi se ham magar khvaabon kaa 'naasir' ji nagar saaraa ujaDtaa hai"
Nasir MaroofNasir Maroof
Quote
"kahaan duniyaa se laDnaa hai kahaan khud se baghaavat hai use samjhaa rahaa huun jo mohabbat ki rivaayat hai hazaaron dukh uThaataa huun hazaaron zakhm khaataa huun magar jaati nahin ye muskuraane ki jo aadat hai jahaan par jab bhi ji chaahe zamin par baiTh jaataa huun ki mere jism ki miTTi ko miTTi se mohabbat hai main apne gaanv ke sab khet-khaale yaad rakhtaa huun na-jaane shahr mein rahte hue ye kaisi aadat hai hamein kuchh is liye bhi umr bhar ab saath rahnaa hai tujhe meri zarurat hai mujhe teri zarurat hai zamin par paanv rakh kar koi chaltaa hi nahin 'naasir' nahin maalum is duniyaa mein kis ko kitni ujlat hai"
Nasir MaroofNasir Maroof
Quote
"faqat baat dil ki sunaai thi tum ko tumhaari shikaayat lagaai thi tum ko zamaana hamein dosh detaa hai kyunkar yahi baat ham ne bataai thi tum ko mohabbat kaa jhaansa thaa sab khel teraa jo guzri thi dil par sunaai thi tum ko bhalaa kaise zinda main tum ko milungaa paDi raakh apni dikhaai thi tum ko tiri dastaras mein na aaungaa yaaraa yahi baat main nai raTaai thi tum ko na tum se hui paar nazron ki dahliz mili dil talak bhi rasaai thi tum ko qabile ki izzat bachaa na sake tum qasam yaad main ne dilaai thi tum ko yaqin thaa asar tere dil par na hogaa magar juThi chaae pilaai thi tum ko tu jis baat par hai naa 'naasir' se naalaan kabhi ye adaa us ki bhaai thi tum ko"
Nasir MaroofNasir Maroof
Quote
"chalo ab vaqt ko bhi vaqt de kar dekh lete hain kahaan par kaun hai kis kaa ye khugar dekh lete hain hamein aankhon hi aankhon se abhi kuchh baat karni hai zaraa saa rok kar in mein samundar dekh lete hain duaaein apne hisse ki sabhi to maang liin ham ne bachi hain kis ke hisse ki ye andar dekh lete hain yahaan apne hi hisse ki jo khushiyaan baanTne aaya hai itnaa kaun duniyaa mein tavangar dekh lete hain kisi se bhi mohabbat kyon use ab ho nahin sakti zamin dil ki kahaan tak hai ye banjar dekh lete hain zamin aur aasmaan ko ham zaraa khangaal kar phir se kahaan par raqs kartaa hai qalandar dekh lete hain raqibon aur yaaron ko yahaan 'naasir' bulaa kar ham hai kis ki aastin mein aaj khanjar dekh lete hain"
Nasir MaroofNasir Maroof
Quote
"talab roTi ki taDpaae to khatre bhuul jaate hain parindon ko shikaari ke shikanje bhuul jaate hain zamaane ne azal se hi ye apni riit hai rakkhi jo sastaa kuchh mayassar ho to mahnge bhuul jaate hain mashaqqat ki nahaj ik din unhein kundan banaati hai jo bachche muflisi ki zad mein baste bhuul jaate hain huaa hai khuun kaa pyaasaa yahaan par har koi banda havas daulat ki baDh jaae to apne bhuul jaate hain sabhi kaamon ko apne ham nibhaate hain saliqe se ulajh kar teri yaadon mein nivaale bhuul jaate hain tu apni be-navaai par ziyaada gham na kar 'naasir' lage jab ishq ki Thokar to raste bhuul jaate hain"
Nasir MaroofNasir Maroof
Quote
"mohabbat mein bhi nafrat aa gai thi mohabbat thi nahin ye dil-lagi thi huaa thaa ishq us ko bhi kisi se zabaan khaamosh surat bolti thi talab furqat ki baDhti jaa rahi hai tire gham ki ajab si raushni thi miraa maazi thaa achchhaa yaa nahin thaa ye sab ki sab inaayat aap ki thi tazabzub ki fazaa mein khap gayaa huun puraanaa ghar thaa lekin rah nai thi usi ke haath mein chaaron the ikke ye baazi zindagi ki aakhiri thi uThaa kar ghumtaa thaa bojh apnaa mayassar kyon vafaa mein bebasi thi kiyaa inkaar us ne faisle se mohabbat us ki 'naasir' sarsari thi"
Nasir MaroofNasir Maroof

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud