"yuun mubtalaa kisi pe koi ai khudaa na ho dil de diyaa ho aur umid-e-vafaa na ho tum be-niyaaz ho to hai qahr us gharib par jis kaa ba-juz tumhaare koi aasraa na ho mahv-e-khiraam aap hain bechain ahl-e-qabr mujh ko ye khauf hai ki qayaamat bapaa na ho sadme uThaae hain to duaa hai ye 'naasiri' in zaalimon pe koi bashar mubtalaa na ho"
muddaaa-e-asar-e-ulfat-e-pinhaan niklaa — Nasiri Lakhnavi
"muddaaa-e-asar-e-ulfat-e-pinhaan niklaa le ke hamraah miraa dil tiraa paikaan niklaa aaj kis ne gham-e-duniyaa se rihaai paai kaun kuche se tire chaak-garebaan niklaa uTh gayaa khair main armaan liye duniyaa se aap ke dil kaa to armaan miri jaan niklaa zabh kar ke mujhe kyaa jaaniye kyaa yaad aaya qatl-gah se miraa qaatil bhi pashemaan niklaa saaf zaahir hai jo hai khaana-e-zanjir udaas mar ke zindaan se koi be-sar-o-saamaan niklaa dafatan kar diye saffaak ne laakhon TukDe dam bhi niklaa mire dil kaa to pareshaan niklaa apne kuche mein jise tum ne kiyaa thaa paamaal yahi vo dil thaa na jis kaa koi armaan niklaa 'naasiri' paai na fursat ki ghazal kahte khuub hausla kuchh na sar-e-bazm-e-sukhan-daan niklaa"
مدعائے اثر الفت پنہاں نکلا لے کے ہم راہ مرا دل ترا پیکاں نکلا آج کس نے غم دنیا سے رہائی پائی کون کوچے سے ترے چاک گریباں نکلا اٹھ گیا خیر میں ارمان لئے دنیا سے آپ کے دل کا تو ارمان مری جاں نکلا ذبح کر کے مجھے کیا جانئے کیا یاد آیا قتل گہہ سے مرا قاتل بھی پشیماں نکلا صاف ظاہر ہے جو ہے خانۂ زنجیر اداس مر کے زنداں سے کوئی بے سر و ساماں نکلا دفعتاً کر دئے سفاک نے لاکھوں ٹکڑے دم بھی نکلا مرے دل کا تو پریشاں نکلا اپنے کوچے میں جسے تم نے کیا تھا پامال یہی وہ دل تھا نہ جس کا کوئی ارماں نکلا ناصریؔ پائی نہ فرصت کہ غزل کہتے خوب حوصلہ کچھ نہ سر بزم سخنداں نکلا
मुद्दआ'-ए-असर-ए-उल्फ़त-ए-पिन्हाँ निकला ले के हमराह मिरा दिल तिरा पैकाँ निकला आज किस ने ग़म-ए-दुनिया से रिहाई पाई कौन कूचे से तिरे चाक-गरेबाँ निकला उठ गया ख़ैर मैं अरमान लिए दुनिया से आप के दिल का तो अरमान मिरी जाँ निकला ज़ब्ह कर के मुझे क्या जानिए क्या याद आया क़त्ल-गह से मिरा क़ातिल भी पशेमाँ निकला साफ़ ज़ाहिर है जो है ख़ाना-ए-ज़ंजीर उदास मर के ज़िंदाँ से कोई बे-सर-ओ-सामाँ निकला दफ़अ'तन कर दिए सफ़्फ़ाक ने लाखों टुकड़े दम भी निकला मिरे दिल का तो परेशाँ निकला अपने कूचे में जिसे तुम ने किया था पामाल यही वो दिल था न जिस का कोई अरमाँ निकला 'नासिरी' पाई न फ़ुर्सत कि ग़ज़ल कहते ख़ूब हौसला कुछ न सर-ए-बज़्म-ए-सुख़न-दाँ निकला

More by Nasiri Lakhnavi
View all →"yaad aati hai mujhe jab khush-bayaani aap ki kuchh nae lafzon mein kahtaa huun kahaani aap ki aap ne parvaa na ki main qaid-e-hasti se chhuTaa mehrbaani ho gai naa-mehrbaani aap ki qatl ki zid hai nazaakat se nahin uThti hai tegh didani hai aaj to shaan-e-javaani aap ki jaanne vaalon se parda is qadar be-kaar hai husn zaahir sab pe aur ye lan-taraani aap ki marne vaale kar ke aankhein band qabron mein gae vaah-vaa kis shaan se aai javaani aap ki daagh-e-ulfat is liye siine mein rakkhaa hai nihaan koi mere paas kyon dekhe nishaani aap ki"
"jaan apni vaqf-e-zahmat-e-hijraan kiye hue aashiq har ik balaa ko hain mehmaan kiye hue sab muntashir hain mere janaaze ko dekh kar tum saath ho jo haal-e-pareshaan kiye hue ab to nafas ki aamad-o-shud bhi hui hai band aisi jagah hai siine mein paikaan kiye hue kis vaaste ye mahviyat aaina dekh kar kyon aap ik jahaan ko hain hairaan kiye hue hangaam-e-ehtizaar hai ai dam zaraa Thahar is vaqt huun tasavvur-e-jaanaan kiye hue in mushkilon pe sab ki tan-aasaaniyaan fidaa jin ko tiri nigaah ho aasaan kiye hue majmea kaa khauf roz-e-qayaamat hai 'naasiri' be-kaar ho visaal kaa armaan kiye hue"
"dilbar kaa kyaa gila koi gham-khvaar bhi nahin pahlu mein aaj to dil-e-bimaar bhi nahin marnaa vo jis ko hila-o-aazaar bhi nahin qaatil vo jis ke haath mein talvaar bhi nahin taskin-e-dil muhaal hai haalat kahe baghair is par sitam ki taaqat-e-guftaar bhi nahin mahv-e-jamaal ho ke marun aarzu ye hai haalat ye hai ki taaqat-e-didaar bhi nahin allah re e'tibaar adaa-o-nigaah par maqtal mein aae haath mein talvaar bhi nahin"
"ik qayaamat hai bapaa shor-e-dil-e-dil-gir se uD gae TukDe falak ke aah ki taasir se raaz ulfat ke ayaan hone kaa Dar jaataa rahaa khaamushi sikhi hai ham ne bulbul-e-tasvir se chheDtaa hai kis liye naaseh asir-e-zulf ko dam ulajhtaa hai tiri uljhi hui taqrir se kis kaa dil zakhmi kiyaa tu ne sitamgar kyaa kiyaa khuun Tapaktaa hai lab-e-sufaar-o-nok-e-tir se khauf kyaa gar hogaa majmaa roz-e-hashr ai 'naasiri' main use pahchaan lungaa khun-e-daaman-gir se"
"qurbaan hai sau jaan se tum par gila kaisaa dekho to mire dil ne kiyaa hausla kaisaa hotaa hai magar qaid koi aap kaa vahshi suniye to hai zindaan ki taraf ghalghala kaisaa haan shiddat-e-dard-e-jigari bazm mein laai dil mar gayaa ai dost to phir valvala kaisaa tu ne to kahaa hai main rag-e-jaan se qarin huun aur hijr kaa hai qaul ki ye faasla kaisaa mar jaaegaa paaband-e-vafaa zulm na chhoDo main qissa-e-dil kahtaa huun ai jaan gila kaisaa"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
"raakh ke Dher pe kyaa shoala-bayaani karte ek qisse ki bhalaa kitni kahaani karte husn itnaa thaa ki mumkin hi na thi khud-nigari ek imkaan ki kab tak nigaraani karte shola-e-jaan ko bujhaate yunhi qatra qatra khud ko ham aag banaate tujhe paani karte phuul saa tujh ko mahaktaa huaa rakhte shab bhar apne saanson se tujhe raat ki raani karte naddiyaan dekhein to bas sharm se paani ho jaaein chashm-e-khun-basta se paidaa vo ravaani karte sab se kahte ki ye qissa hai puraanaa saahab aah ki aanch se tasvir puraani karte dar-o-divaar badalne mein kahaan ki mushkil ghar jo hotaa to bhalaa naql-e-makaani karte koi aa jaataa kabhi yunhi agar dil ke qarib ham tiraa zikr pae-yaad-dahaani karte sach to ye hai ki tire hijr kaa ab ranj nahin kyaa dikhaave ke liye ashk-fishaani karte dil ko har lahza hi di aql pe ham ne tarjih yaar-e-jaani ko kahaan dushman-e-jaani karte shab isi tarah basar hoti hai meri 'irfaan' harf-e-khush-rang ko andoh-e-maaani karte"