"hayaat-o-maut kaa ik silsilaa hai mohabbat intihaa tak ibtidaa hai main kyaa jaanun ki baab-e-tauba kyaa hai abhi to mai-kade kaa dar khulaa hai zaraa phir dil pe nazrein Daal diije charaagh-e-aarzu khaamosh saa hai ataa kar di tumhaari aarzu ne vo ik duniyaa jo duniyaa se judaa hai hasin hon laakh duniyaa ke manaazir vo kyaa dekhe jo tum ko dekhtaa hai nazar ke saath nazzaara bhi gum hai dil-e-muztar ye kis kaa saamnaa hai mire dil ko na rakh be-rang saaqi ki har saaghar gulaabi ho rahaa hai na dozakh hai na jannat hai to 'baasit' mire aamaal-e-gham kaa kyaa silaa hai"
muddaaa koi apnaa na paayaa — Basit Bhopali
"muddaaa koi apnaa na paayaa jab duaa ke liye haath uThaayaa us mein apnaa hi sab aks paayaa un ke chehre pe jo rang aaya be-khudi par miri hansne vaalo lo sambhaalo mujhe hosh aaya vo zamin sajda-gaah-e-vafaa hai paD gayaa hai jahaan apnaa saayaa ham ne khaayaa fareb-e-mohabbat chain kho kar hamein chain aaya raahzan hi vo niklaa bil-aakhir rahnumaa jis ko apnaa banaayaa tu ne uqbaa ko firdaus bakhshi ham ne duniyaa ko jannat banaayaa yaad un ki baDhaai shab-e-gham aag ko aag hi se bujhaayaa band aankhon ke the sab karishme aankh kholi to kuchh bhi na paayaa vo bhi hairaan ham bhi pareshaan ishq 'baasit' kise raas aaya"
مدعا کوئی اپنا نہ پایا جب دعا کے لئے ہاتھ اٹھایا اس میں اپنا ہی سب عکس پایا ان کے چہرے پہ جو رنگ آیا بے خودی پر مری ہنسنے والو لو سنبھالو مجھے ہوش آیا وہ زمیں سجدہ گاہ وفا ہے پڑ گیا ہے جہاں اپنا سایا ہم نے کھایا فریب محبت چین کھو کر ہمیں چین آیا راہزن ہی وہ نکلا بالآخر رہنما جس کو اپنا بنایا تو نے عقبیٰ کو فردوس بخشی ہم نے دنیا کو جنت بنایا یاد ان کی بڑھائی شب غم آگ کو آگ ہی سے بجھایا بند آنکھوں کے تھے سب کرشمے آنکھ کھولی تو کچھ بھی نہ پایا وہ بھی حیران ہم بھی پریشاں عشق باسطؔ کسے راس آیا
मुद्दआ' कोई अपना न पाया जब दुआ के लिए हाथ उठाया उस में अपना ही सब अक्स पाया उन के चेहरे पे जो रंग आया बे-ख़ुदी पर मिरी हँसने वालो लो सँभालो मुझे होश आया वो ज़मीं सज्दा-गाह-ए-वफ़ा है पड़ गया है जहाँ अपना साया हम ने खाया फ़रेब-ए-मोहब्बत चैन खो कर हमें चैन आया राहज़न ही वो निकला बिल-आख़िर रहनुमा जिस को अपना बनाया तू ने उक़्बा को फ़िरदौस बख़्शी हम ने दुनिया को जन्नत बनाया याद उन की बढ़ाई शब-ए-ग़म आग को आग ही से बुझाया बंद आँखों के थे सब करिश्मे आँख खोली तो कुछ भी न पाया वो भी हैरान हम भी परेशाँ इश्क़ 'बासित' किसे रास आया

More by Basit Bhopali
View all →"pi rahaa huun ki haqiqat ye faraamosh nahin ahl-e-dil ke liye ik haadisa hai hosh nahin nigah-o-dil se mire bach ke samaa jaa mujh mein main khud aaghosh huun meraa koi aaghosh nahin na haTaa saaghar-e-gul-rang labon se mere tujh ko to hosh hai saaqi jo mujhe hosh nahin sach to ye hai nigah-e-naaz tire sar ki qasam miT ke bhi dil tire ehsaan se subuk-dosh nahin aaj samjhaa tiri mastaana nigaahon ke nisaar hosh kahte hain jise asl mein vo hosh nahin mere aaghosh-e-mohabbat mein na aane vaale kyaa hai duniyaa agar aaghosh hi aaghosh nahin kab nahin dil mein mire kashmakash-e-vasl-o-firaaq kab vo aaghosh mein begaana-e-aaghosh nahin vo bhi chaahein to judaa ho nahin sakte 'baasit' dil miraa dil hai kisi aur kaa aaghosh nahin"
"nahin ye jalva-haa-e-raaz-e-irfaan dekhne vaale tumhein kab dekhte hain kufr-o-imaan dekhne vaale khudaa rakkhe tire gham kaa bahut naazuk zamaana hai sahar dekhein na dekhein shaam-e-hijraan dekhne vaale ye kis ne laa ke rakh di saamne tasvir mahshar ki abhi chaunke hi the khvaab-e-pareshaan dekhne vaale kahaan tak aaina-daar-e-tajalliyaat-e-khud-bini ye parda bhi ulaT de o dil-o-jaan dekhne vaale ye divaane sujud-e-shauq ki 'azmat ko kyaa jaanein mujhe kyaa paaein farq-e-kufr-o-imaan dekhne vaale kabhi girdaab se bhi khel maujon se bhi Takraa jaa are saahil pe rah kar josh-e-tufaan dekhne vaale tire qurbaan 'baasit' aur 'baasit' ki har ik duniyaa bahaar-e-vahshat-e-aashufta-haalaan dekhne vaale"
"na furqat ne luuTaa na aahon ne maaraa mohabbat bhare ishtibaahon ne maaraa mire dil ko un ki nigaahon ne maaraa inhin do mohabbat-panaahon ne maaraa mohabbat ki in sair-gaahon ne maaraa tiri multafit si nigaahon ne maaraa tumhaari nigaahon ki be-shak khataa kyaa mujhe khud hi meri nigaahon ne maaraa pareshaan pareshaan vo maasum nazrein gham-e-ishq ke daad-khvaahon ne maaraa duhaai hai ai manzil-e-husn-e-jaanaan mohabbat ki sunsaan raahon ne maaraa na dekho mohabbat se aaina dekho ki aisi hi mujh ko nigaahon ne maaraa vo kyaa qadr-o-qimat tire gham ki jaanein jinhein ziist ki aam raahon ne maaraa miri ehtiyaat-e-junun haae 'baasit' na manzil ne luuTaa na raahon ne maaraa"
"har taraf soz kaa andaaz judaagaana hai mutmain shama hai yaa raqs mein parvaana hai bartar-az-vahm-o-tasavvur miraa mai-khaana hai zindagi kyaa hai miri laghzish-e-mastaana hai vo jo ik shauq-e-junun-saaz kaa afsaana hai aankh shaayad kahe dil to abhi divaana hai hosh aayaa na kabhi main ne junun ko samjhaa daavar-e-hashr yahin tak miraa afsaana hai ab nigah un ki nigaahon se mile yaa na mile khud hi pahunchegaa jo taqdir kaa paimaana hai aap sun lein to kuchh aa jaae asar bhi shaayad yuun to har tarah mukammal miraa afsaana hai husn ik phuul sahi naazuk-o-rangin lekin ishq se duur hai jab tak gul-e-viraana hai kasrat-e-fahm ne itnaa bhi samajhne na diyaa main huun afsaana ki duniyaa miraa afsaana hai ai khushaa taala-e-bedaar-e-mohabbat 'baasit' aaj un ki bhi nazar mein miraa afsaana hai"
"mohabbat ki intihaa chaahtaa huun unhein haasil-e-ibtidaa chaahtaa huun use barmalaa dekhnaa chaahtaa huun adab ai mohabbat ye kyaa chaahtaa huun gham-e-ishq kaa silsilaa chaahtaa huun main tujh tak tiraa vaastaa chaahtaa huun karam-haa-e-naa-mustaqil kaa gila kyaa sitam-haa-e-be-intihaa chaahtaa huun vo ghabraa ke jis par nazar Daal hi dein main vo qalb-e-shorish-adaa chaahtaa huun karam kijiye to karam kaa huun taalib sazaa dijiye to sazaa chaahtaa huun tiri yaad achchhi tarah zikr pyaaraa magar main tujhe dekhnaa chaahtaa huun tire ishq hi se bani meri hasti tire ishq hi mein miTaa chaahtaa huun jo taaza kare qissa-e-tur 'baasit' main aisaa hi ik vaaqia chaahtaa huun"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"