"tum aa gae ho to phir tum se kuchh gila kyaa hai tumhaaraa roz ye vaa'don kaa silsila kyaa hai khabar nahin thi ki ham ko bhi Duub marnaa thaa tumhaare 'ishq mein itni kaDi sazaa kyaa hai tumhaari aag mein jal kar baDaa maza aayaa hamaare dil ki ab is ke sivaa davaa kyaa hai vo kyon chali hai samundar mein Duub marne ko koi to rok ke puchho use huaa kyaa hai isi saDak se to har roz tum guzarte ho hamin se be-rukhi itni tumhein huaa kyaa hai andheraa ghar kaa hamaaraa nasib hai 'afsar' hamaare dil ko ujaalon se vaasta kyaa hai"
muddaton baa'd vo khushbu ki tarah aaegaa — Afsar Deccani
"muddaton baa'd vo khushbu ki tarah aaegaa meraa ujDaa huaa ghar phir se mahak jaaegaa us ke rone kaa bhi andaaz baDaa pyaaraa hai vo kisi tarh se dil ko mire pighlaaegaa Tuut hi jaataa ye shisha to na hotaa ehsaas kyaa khabar thi ki vo raste mein bichhaD jaaegaa tu jo meraa na huaa aas na TuuTi meri ik tiraa gham hi mire dil ko bahut bhaaegaa us ke jaane kaa koi gham to nahin hai mujh ko jaane ab aur vo kab tak mujhe tarsaaegaa jaag uTThegaa jo ehsaas kisi din 'afsar' mere andar kaa ye fankaar ubhar aayegaa"
مدتوں بعد وہ خوشبو کی طرح آئے گا میرا اجڑا ہوا گھر پھر سے مہک جائے گا اس کے رونے کا بھی انداز بڑا پیارا ہے وہ کسی طرح سے دل کو مرے پگھلائے گا ٹوٹ ہی جاتا یہ شیشہ تو نہ ہوتا احساس کیا خبر تھی کہ وہ رستے میں بچھڑ جائے گا تو جو میرا نہ ہوا آس نہ ٹوٹی میری اک ترا غم ہی مرے دل کو بہت بھائے گا اس کے جانے کا کوئی غم تو نہیں ہے مجھ کو جانے اب اور وہ کب تک مجھے ترسائے گا جاگ اٹھے گا جو احساس کسی دن افسرؔ میرے اندر کا یہ فنکار ابھر آئے گا
मुद्दतों बा'द वो ख़ुशबू की तरह आएगा मेरा उजड़ा हुआ घर फिर से महक जाएगा उस के रोने का भी अंदाज़ बड़ा प्यारा है वो किसी तरह से दिल को मिरे पिघलाएगा टूट ही जाता ये शीशा तो न होता एहसास क्या ख़बर थी कि वो रस्ते में बिछड़ जाएगा तू जो मेरा न हुआ आस न टूटी मेरी इक तिरा ग़म ही मिरे दिल को बहुत भाएगा उस के जाने का कोई ग़म तो नहीं है मुझ को जाने अब और वो कब तक मुझे तरसाएगा जाग उट्ठेगा जो एहसास किसी दिन 'अफ़सर' मेरे अंदर का ये फ़नकार उभर आयेगा

More by Afsar Deccani
View all →"raat-bhar ham ko rulaane kaa sabab puchheinge vo jo mil jaaein sataane kaa sabab puchheinge ho ke maayus tire gaanv mein aaeinge magar log phir lauT ke aane kaa sabab puchheinge khud hi vo duur bahut duur rahaa karte hain aur ham se hi bhulaane kaa sabab puchheinge ik na ik roz chale aaeinge khud hi ham tak ham se jab apnaa banaane kaa sabab puchheinge dastakein doge to kyaa bologe ye to socho sone vaale jo jagaane kaa sabab puchheinge tum ko maa'lum agar ho to bataa do 'afsar' ham agar pyaar nibhaane kaa sabab puchheinge"
"ham chale jaaeinge phir haal tiraa kyaa hogaa ham na honge to tire ghar mein andheraa hogaa phuul ke badle jo us shokh ne pheinkaa hogaa dil kaa aaina usi sang se TuuTaa hogaa kis ko ehsaas dilaane ko chale aae ho kis ko is shahr mein ab tum pe bharosa hogaa ab zaraa soch-samajh kar hi sahaaraa DhunDo khushk peDon kaa ye saaya bhi adhuraa hogaa log mahlon mein baseron ke tamannaai hain meri taqdir mein miTTi kaa gharaundaa hogaa phuul chun-chun ke to pathraa gaiin aankhein apni kab kisi jhiil si aankhon kaa nazaaraa hogaa mujh ko shohrat ki zarurat nahin 'afsar-dakani’ meri ghazlon kaa har ik bazm mein charchaa hogaa"
"shab ki tanhaai mein yaad un ki sataati kyon hai meri jalti hui aankhon ko rulaati kyon hai ruThne ke sivaa kuchh aur bahaana bhi na thaa teri 'aadat ye mire dil ko jalaati kyon hai saare afsaane ko sun kar bhi tasalli na hui ik ghazal teri mire dil ko lubhaati kyon hai mere haalaat pe ro de ye zaruri hai magar zindagi meri zamaane ko hansaati kyon hai ek muddat hui aaina na dekhaa main ne un ki tasvir mire saamne aati kyon hai aap har roz mire dar se guzarte hain magar be-rukhi meri tarah aap ko bhaati kyon hai ye to mausam koi patjhaD kaa nahin hai 'afsar' phir mire dil ki kali ashk bahaati kyon hai"
"dard ban jaaun tiri aankh se bah kar niklun tere daaman ko bhigotaa rahun shab-bhar niklun jitnaa ji chaahe sataa main tiraa divaana huun apnaa divaana tujhe main bhi banaa kar niklun tujh se milne ko tarastaa huun main paagal ki tarah main tujhe DhunDne is shahr mein ghar ghar niklun bas ye armaan liye aayaa thaa tiri duniyaa mein dard siine mein jo uTThe to chhupaa kar niklun us ke vaa'don ko faraamosh main kartaa kaise dekhne ke liye main chaand ko chhat par niklun jab bhi miltaa hai vo qaatil hi samajhtaa hai mujhe dil mein mahfuz rahun ghar se na baahar niklun jis ki chaahat ne pareshaan kiyaa hai mujh ko us ki galiyon se kisi roz to 'afsar' niklun"
"ajnabi Thahraa alag Thahraa huun tanhaa Thahraa main zabaan rakh ke bhi is shahr mein gungaa Thahraa aap ki bazm mein jaanaa na kisi ne mujh ko yuun to kahne ko har ik fard shanaasaa Thahraa kis ko maa'lum ki kab phunk de ye daaman-e-dil ashk hai yaa koi palkon pe hai sho'la Thahraa mujh se milte hi nahin husn ki daulat vaale main hasinon ki nigaahon mein luTeraa Thahraa ab ke sailaab mein har gaanv huaa hai gharqaab meraa mahfuz ye kaaghaz kaa gharaundaa Thahraa jism kaa mere badaltaa huaa mausam 'afsar' jaise main shaakh kaa TuuTaa huaa patta Thahraa"
More on Dil
View all →"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"