SHAWORDS

nazar aalam ki ban jaae vo hogaa kab bashar paidaa — Kareem Roomani

HomeKareem RoomaniGhazal
"nazar aalam ki ban jaae vo hogaa kab bashar paidaa baDi mushkil se hotaa hai chaman mein dida-var paidaa qusur apnaa hi thaa jo us sitamgar ki tamanna ki na hoti ye khalish dil mein na hotaa ye sharar paidaa rukh-e-raushan pe zulfon kaa ye lahraanaa ye uD jaanaa miri duniyaa-e-dil mein karte hain shaam-o-sahar paidaa asiraan-e-qafas maayus hone ki zarurat kyaa agar hon hausle dil mein to honge baal-o-par paidaa dar-e-parvaana pe khud shama khinch ke aa hi jaaegi agar ho jazb-e-dil apnaa to phir kuchh ho asar paidaa"
Urdu

نظر عالم کی بن جائے وہ ہوگا کب بشر پیدا بڑی مشکل سے ہوتا ہے چمن میں دیدہ ور پیدا قصور اپنا ہی تھا جو اس ستم گر کی تمنا کی نہ ہوتی یہ خلش دل میں نہ ہوتا یہ شرر پیدا رخ روشن پہ زلفوں کا یہ لہرانا یہ اڑ جانا مری دنیائے دل میں کرتے ہیں شام و سحر پیدا اسیران قفس مایوس ہونے کی ضرورت کیا اگر ہوں حوصلے دل میں تو ہوں گے بال و پر پیدا در پروانہ پہ خود شمع کھنچ کے آ ہی جائے گی اگر ہو جذب دل اپنا تو پھر کچھ ہو اثر پیدا

Hindi

नज़र आलम की बन जाए वो होगा कब बशर पैदा बड़ी मुश्किल से होता है चमन में दीदा-वर पैदा क़ुसूर अपना ही था जो उस सितमगर की तमन्ना की न होती ये ख़लिश दिल में न होता ये शरर पैदा रुख़-ए-रौशन पे ज़ुल्फ़ों का ये लहराना ये उड़ जाना मिरी दुनिया-ए-दिल में करते हैं शाम-ओ-सहर पैदा असीरान-ए-क़फ़स मायूस होने की ज़रूरत क्या अगर हों हौसले दिल में तो होंगे बाल-ओ-पर पैदा दर-ए-परवाना पे ख़ुद शम्अ खिंच के आ ही जाएगी अगर हो जज़्ब-ए-दिल अपना तो फिर कुछ हो असर पैदा

nazar aalam kī ban jaa.e vo hogā kab bashar paidā
Kareem Roomani
Kareem Roomani
Kareem Roomani
poet8 quotes

More by Kareem Roomani

View all →
Quote
"shikva na kareinge kabhi ham barq-o-sharar se gulshan mein to khud aag lagi hai gul-e-tar se vo log to saahil pe bhi Dubeinge yaqinan ghabraa ke palaTte hain jo tufaan ke Dar se tar-daamani pe tanz na kar meri ai vaaiz daaman na kahin tar ho tiraa daaman-e-tar se kyaa koi mah-e-khubi nikal aayaa sar-e-shaam taare bhi nazar aate gardun mein sharar se ye kaisaa hai dastur tiri bazm kaa saaqi khum koi lunDhaae to koi buund ko tarse vo mujh se lipaT jaate hain baadal ki garaj se allaah kare ab ye ghaTaa jhuum ke barse jibrail ke par jalte hain jis jaa pe ai hamdam 'rumaani' vahaan pahunchaa hai takhil ke par se"
Kareem RoomaniKareem Roomani
Quote
"mujhe pattharon se baDh kar tiri ik kali ne maaraa mujhe dushmanon se baDh kar tiri dosti ne maaraa gham-e-rozgaar sah kar main to ji rahaa thaa phir bhi mire naa-tavaan dil ko tiri aashiqi ne maaraa na gila karun na shikva na zamaane kaa na teraa mujhe meri bad-nasibi miri bebasi ne maaraa na hi tir-e-nim-kash ne na hi bijliyon ne maaraa mire naa-tavaan dil ko tiri saadgi ne maaraa mire zakhm ke jharoke tire dard se hain raushan isi darja laa-davaa ki mujhe raushni ne maaraa mujhe maut kaa nahin gham vo to aaegi yaqinan jise ham gale lagaae usi zindagi ne maaraa"
Kareem RoomaniKareem Roomani
Quote
"maut thi zindagi thi yaad nahin kaun mujh se mili thi yaad nahin ham ne raushan to ki thi sham-e-vafaa vo jali thi bujhi thi yaad nahin khaak to ho gayaa thaa parvaana shama kyon ro paDi thi yaad nahin ashk shabnam pe muskuraate hain aap the yaa kali thi yaad nahin koi mil ke gale to rotaa thaa aap the yaa khushi thi yaad nahin bazm-e-ishrat mein gham-zada dil thaa jaane kis ki kami thi yaad nahin khum ke khum pi gayaa thaa nazron se phir bhi kyon tishnagi thi yaad nahin lab pe aah-o-fughaan hai 'rumaani' dil-lagi thi lagi thi yaad nahin"
Kareem RoomaniKareem Roomani

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri