Quote
"ye gul jis khaak se laayaa gayaa hai use aflaak se laayaa gayaa hai chaman pe rang aataa hi nahin thaa tiri poshaak se laayaa gayaa hai ye dil jis se main sharminda bahut huun usi bebaak se laayaa gayaa hai ujaalaa hai jo ye kaun-o-makaan mein hamaari khaak se laayaa gayaa hai ye jo kuchh bhi hai aayaa hai kahaan se dil-e-sad-chaak se laayaa gayaa hai yahaan kitnon ne dekhaa hai jo tufaan khas-o-khaashaak se laayaa gayaa hai"
