SHAWORDS

nuqush-e-umr-e-guzishta sameT laate hain — Kausar Jayasi

HomeKausar JayasiGhazal
"nuqush-e-umr-e-guzishta sameT laate hain ye rang rang ke baadal kahaan se aate hain kabhi kabhi safar-e-zindagi se ruuTh ke ham tire khayaal ke saae mein baiTh jaate hain tasavvuraat ke hasrat-kade mein kaun aayaa charaagh taa-had-e-ehsaas jalte jaate hain hamein hai Dar koi taar-e-umid TuuT na jaae sambhal sambhal ke unhein haal-e-dil sunaate hain banaa gae hain vo yuun saaz-e-aarzu ghar ko ki aaj tak dar-o-divaar gungunaate hain unhin se hai mire ashkon ki aabru 'kausar' jo aab-o-rang-e-ghazal ko ghazal banaate hain"
Urdu

نقوش عمر گزشتہ سمیٹ لاتے ہیں یہ رنگ رنگ کے بادل کہاں سے آتے ہیں کبھی کبھی سفر زندگی سے روٹھ کے ہم ترے خیال کے سائے میں بیٹھ جاتے ہیں تصورات کے حسرت کدے میں کون آیا چراغ تا حد احساس جلتے جاتے ہیں ہمیں ہے ڈر کوئی تار امید ٹوٹ نہ جائے سنبھل سنبھل کے انہیں حال دل سناتے ہیں بنا گئے ہیں وہ یوں ساز آرزو گھر کو کہ آج تک در و دیوار گنگناتے ہیں انہیں سے ہے مرے اشکوں کی آبرو کوثرؔ جو آب و رنگ غزل کو غزل بناتے ہیں

Hindi

नुक़ूश-ए-उम्र-ए-गुज़िश्ता समेट लाते हैं ये रंग रंग के बादल कहाँ से आते हैं कभी कभी सफ़र-ए-ज़िंदगी से रूठ के हम तिरे ख़याल के साए में बैठ जाते हैं तसव्वुरात के हसरत-कदे में कौन आया चराग़ ता-हद-ए-एहसास जलते जाते हैं हमें है डर कोई तार-ए-उमीद टूट न जाए सँभल सँभल के उन्हें हाल-ए-दिल सुनाते हैं बना गए हैं वो यूँ साज़-ए-आरज़ू घर को कि आज तक दर-ओ-दीवार गुनगुनाते हैं उन्हीं से है मिरे अश्कों की आबरू 'कौसर' जो आब-ओ-रंग-ए-ग़ज़ल को ग़ज़ल बनाते हैं

nuqūsh-e-umr-e-guzishta sameT laate haiñ
Kausar Jayasi
Kausar Jayasi
Kausar Jayasi
poet21 quotes

More by Kausar Jayasi

View all →
Quote
"vaadi-e-kun se gham-e-marhala-paimaa niklaa meri kashti ko liye vaqt kaa dariyaa niklaa paa-e-idraak mein chubhtaa huaa kaanTaa niklaa ishq ke daam mein khud apnaa saraapaa niklaa mehnat-e-ahl-e-vafaa aa hi gai kaam aakhir har shigaaf-e-gham-e-hasti se saveraa niklaa aql ko naaz thaa had-bandi-e-khair-o-shar par dil ne jaanchaa to har ik kaam adhuraa niklaa us se milne ki fazaa saaf nahin thi koi har guzargaah pe ehsaas kaa pahraa niklaa tishnagi main ne bujhaa li ye hunar thaa varna khizr kaa dil bhi rah-e-umr mein pyaasaa niklaa khvaab dekhaa thaa kahaan chamki hai taabir kahaan hashr kaa din miri fitrat kaa ujaalaa niklaa maut ki had mein bhi mujh ko na diyaa izn-e-qayaam sakht mushkil tiri nazron kaa taqaazaa niklaa mauja-e-nikhat-e-gesu jise samjhaa main ne vo bhi mere nafas-e-sard kaa jhonkaa niklaa main tahi-dast huun baazaar-e-vafaa mein 'kausar' sikka sikka zar-e-ummid kaa khoTaa niklaa"
Kausar JayasiKausar Jayasi
Quote
"takhliq ke parde mein sitam TuuT rahe hain aazar hi ke haathon se sanam TuuT rahe hain Dhaai kahin jaati hai jo taamir-e-mohabbat mahsus ye hotaa hai ki ham TuuT rahe hain suljhe na masaail gham o aflaas ke lekin tafsir-e-masaail mein qalam TuuT rahe hain be-faiz guzar jaate hain gulshan se hamaare mausam ke bhi ab qaul-o-qasam TuuT rahe hain raqqaas-e-shabistaan-e-havas tujh ko khabar hai aaine tire zer-e-qadam TuuT rahe hain raat aur javaan ho to ujaalaa ho fazaa mein palkon se sitaare abhi kam TuuT rahe hain bedaar hue jaate hain ijaad ke shoale har lahza tilismaat-e-adam TuuT rahe hain allaah-re kashish us nigah-e-zohd-shikan ki markaz se ghazaalaan-e-haram TuuT rahe hain allaah ke hote mujhe kyuun fikr ho 'kausar' bandon ke jo aain-e-karam TuuT rahe hain"
Kausar JayasiKausar Jayasi
Quote
"kitaab-e-zindagi ki jadvalon mein rang ham se hai sahifa aarzu kaa sar-ba-sar arzhang ham se hai dil-e-shabnam pe rakkhaa hai hamin ne dast-e-gham-khvaari darun-bini harif-e-afsar-o-aurang ham se hai hamaare hauslon se nuur le le gulsitaan jab tak sahar kaa qaafila pichhe kai farsang ham se hai ulajhtaa hai ba-zaahir har chaman se har kharaabe se magar dar-parda tufaan-e-balaa ki jang ham se hai tasaadum ki bhi jurat TuTne ki bhi hamein himmat vaqaar-e-shisha ham se hai ayaar-e-sang ham se hai khizaan mein bhi rahaa 'kausar' shagufta hausla apnaa bahaar-e-naghma saaz-e-dard kaa aahang ham se hai"
Kausar JayasiKausar Jayasi
Quote
"yaad-e-ayyaame koi vajh-e-pareshaani to thi aankh yuun khaali nahin thi is mein hairaani to thi lab pe mohr-e-khaamushi pahle bhi lagti thi magar aah ki rukhsat to thi ashkon ki arzaani to thi thi nazar ke saamne kuchh to talaafi ki umiid khet sukhaa thaa magar dariyaa mein tughyaani to thi bazm se uTThe to kyaa khalvat mein jaa baiThe to kyaa tark-e-duniyaa par bhi duniyaa jaani-pahchaani to thi dard ik jauhar hai paikar se gharaz rakhtaa nahin aankh mein aansu na the lab par ghazal-khvaani to thi"
Kausar JayasiKausar Jayasi
Quote
"suno to zaraa ye aakhir-e-shab nafir-e-duaa ajiib si hai zamaan-o-makaan pe chhaai hui junun ki navaa ajiib si hai nizaam nayaa shuur nayaa misaal-e-ataa ajiib si hai savaal pe haath kaaTte hain talab ki sazaa ajiib si hai jigar pe har ik sinaan-e-nazar jo sahte hue guzar gae ham javaab mein ab harifon ki shikast-e-anaa ajiib si hai ye paas-e-bahaar ashk piye jo dard baDhaa to sher kahe bataaein kise hamaari tabaahiyon ki adaa ajiib si hai utar gae chehre gardishon ke laraz gai jaan faaslon ki shikasta dilon ke qaafile mein fughaan-e-daraa ajiib si hai zamaane ke sard-o-garm se kab mili hai amaan mujhe 'kausar' vajud-e-nafas ko bakhshi hui karam ki qabaa ajiib si hai"
Kausar JayasiKausar Jayasi

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb