SHAWORDS

paanv chaadar se nikal jaae na baahar meraa — Anjali Sifar

HomeAnjali SifarGhazal
"paanv chaadar se nikal jaae na baahar meraa mujh ko auqaat mein rakhtaa hai yahi Dar meraa khol detaa hai qafas baandh ke vo pankh mire yuun bhi Dhaataa hai sitam mujh pe sitamgar meraa chhoTe kamre the magar thaa baDaa aangan jis kaa mere sapnon mein bahut aataa hai vo ghar meraa silvaTein paai hain chehre ki ganvaa kar ik 'umr chhin paaegaa na ab vaqt ye zevar meraa raat ko raat kahun din ko kahun din hi main raas aayaa na zamaane ko ye tevar meraa aap achchhe hain to sab log mileinge achchhe Tuut jaataa hai 'sifar' vahm ye aksar meraa"
Urdu

پاؤں چادر سے نکل جائے نہ باہر میرا مجھ کو اوقات میں رکھتا ہے یہی ڈر میرا کھول دیتا ہے قفس باندھ کے وہ پنکھ مرے یوں بھی ڈھاتا ہے ستم مجھ پہ ستمگر میرا چھوٹے کمرے تھے مگر تھا بڑا آنگن جس کا میرے سپنوں میں بہت آتا ہے وہ گھر میرا سلوٹیں پائی ہیں چہرے کی گنوا کر اک عمر چھین پائے گا نہ اب وقت یہ زیور میرا رات کو رات کہوں دن کو کہوں دن ہی میں راس آیا نہ زمانے کو یہ تیور میرا آپ اچھے ہیں تو سب لوگ ملیں گے اچھے ٹوٹ جاتا ہے صفرؔ وہم یہ اکثر میرا

Hindi

पाँव चादर से निकल जाए न बाहर मेरा मुझ को औक़ात में रखता है यही डर मेरा खोल देता है क़फ़स बाँध के वो पंख मिरे यूँ भी ढाता है सितम मुझ पे सितमगर मेरा छोटे कमरे थे मगर था बड़ा आँगन जिस का मेरे सपनों में बहुत आता है वो घर मेरा सिलवटें पाई हैं चेहरे की गँवा कर इक 'उम्र छीन पाएगा न अब वक़्त ये ज़ेवर मेरा रात को रात कहूँ दिन को कहूँ दिन ही मैं रास आया न ज़माने को ये तेवर मेरा आप अच्छे हैं तो सब लोग मिलेंगे अच्छे टूट जाता है 'सिफ़र' वहम ये अक्सर मेरा

paañv chādar se nikal jaa.e na bāhar merā
Anjali Sifar
Anjali Sifar
Anjali Sifar
poet8 quotes

More by Anjali Sifar

View all →
Quote
"dil ke qafas mein dard ko paalaa nahin gayaa she'ron mein saare zakhmon ko Dhaalaa nahin gayaa jo dekhte hi tum ko chalaa aae dauD kar palkon se phir vo ashk sanbhaalaa nahin gayaa bunti hain raat din jise yaadon ki makDiyaan maazi ki khiDkiyon se vo jaalaa nahin gayaa ristaa thaa khuun zakhm se dekhaa sabhi ne par kaanTaa kisi se baDh ke nikaalaa nahin gayaa vaise to dil kabhi na ye dete kisi ko ham israar par tumhaaraa thaa Taalaa nahin gayaa dekhaa jo dvaar aae sudaamaa ke haal ko phir kirshn ke bhi mukh mein nivaalaa nahin hai"
Anjali SifarAnjali Sifar
Quote
"kaise kah duun yaar yaqinan hogi ab to haar yaqinan haath mein hai himmat kaa chappu ho jaaeinge paar yaqinan aas chhoD kar tum kar loge khud ko hi mismaar yaqinan ik din koi abr karegaa khushiyon ki bauchhaar yaqinan tinke se le kar parbat tak kuchh bhi nahin bekaar yaqinan maan ke jivan mein aaegaa ik hafte itvaar yaqinan Thiik se rakhne par bante hain patthar bhi minaar yaqinan Takkar karvaa kar maanegi duniyaa ki raftaar yaqinan dukh se bhi honaa paDtaa hai sab ko 'sifar' do-chaar yaqinan"
Anjali SifarAnjali Sifar
Quote
"mehnat ke raste par chalne se hain 'aajiz aae log auron ki siDhi par baiThe apni nazar gaDaae log aane vaale kal ko kaise dekheinge jab phirte hain maazi ki tasviron ko har khiDki par chipkaae log daur hai kaisaa shaakhon se hi panchhi sahme sahme hain apne hi saae se ab to rahte hain ghabraae log bin soe har raat bitaa dete hain aankhon aankhon mein achchhe din ke sapnon kaa palkon par bojh uThaae log apne sukh ki khaatir pahle kaaTein bebas peDon ko phir jab chhaaon nahin milti hai karte haae haae log ho pur-zor iraada to manzil paa lete hain ik din jugnu ke saae mein chal kar suraj ke Thukraae log apne dukh ki aanch mein jalnaa samajh 'sifar' ko aataa hai samajh na paae par dujon ke sukh se kyon jhallaae log"
Anjali SifarAnjali Sifar
Quote
"sab ko is dahr mein aanaa hai chale jaanaa hai apnaa kirdaar nibhaanaa hai chale jaanaa hai zindagi ne jo sikhaayaa hamein lamha lamha ek lamhe mein bhulaanaa hai chale jaanaa hai kis ko maa'lum hai kab saans ki lai par ham ko aakhiri giit sunaanaa hai chale jaanaa hai vaqt-e-rukhsat ye gila kaisaa shikaayat kaisi kuchh na sunnaa na sunaanaa hai chale jaanaa hai lauT kar aataa nahin jis se musaafir koi sab ko us moD pe aanaa hai chale jaanaa hai be-rukhi ne tiri kyaa haal kiyaa hai meraa ik nazar tujh ko dikhaanaa hai chale jaanaa hai aakhiri lamha mujhe aise bitaanaa hai 'sifar' tere pahlu mein samaanaa hai chale jaanaa hai"
Anjali SifarAnjali Sifar
Quote
"vo kuza-gar hai to phir chaak par chaDhaae mujhe dikhaae apnaa hunar mujh saa phir banaae mujhe hai 'ilm sab ko ki rakhnaa hai hasraton pe lagaam hai karnaa kaise magar koi to bataae mujhe vo jis mein tum mujhe kahte ho aao baiTho paas us ek khvaab se kah do na roz aae mujhe khayaal bhi nahin laa sakti khud-kushi kaa main kisi bhi dar pe nahin jaanaa bin bulaae mujhe qasam se phone miraa silent mode pe thaa na de bahaane vahi ab sune-sunaae mujhe lab us ke baarhaa inkaar kar rahe hain 'sifar' nigaah us ki kahaani nai sunaae mujhe"
Anjali SifarAnjali Sifar

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud