SHAWORDS

pahunchi na dil ki baat hudud-e-payaam tak — Aal

HomeAalGhazal
"pahunchi na dil ki baat hudud-e-payaam tak baaqi hain un pe kitne javaab-e-salaam tak but-khaana-saaz rang-e-zamaana hai kis qadar chhoDaa na us ne kaa'ba-e-aali-maqaam tak maanus ho rahe hain tiri jalva-gaah se pahonche abhi hain manzil-e-maah-e-tamaam tak jab tak rahe vo meri nigaahon ke saamne Thahri na ek rukh se adaa-e-khiraam tak dil de ke un ko aap se aise guzar gae jaise ki ham the sirf isi intizaam tak anjaam-e-kaar shab ke andhere mein luT gayaa rakkhaa thaa kaif-e-subh bachaa kar jo shaam tak is tarah kar rahe hain 'razaa' kaa vo tazkira khaali nahin hai tanz se husn-e-kalaam tak"
Urdu

پہونچی نہ دل کی بات حدود پیام تک باقی ہیں ان پہ کتنے جواب سلام تک بت خانہ ساز رنگ زمانہ ہے کس قدر چھوڑا نہ اس نے کعبۂ عالی مقام تک مانوس ہو رہے ہیں تری جلوہ گاہ سے پہونچے ابھی ہیں منزل ماہ تمام تک جب تک رہے وہ میری نگاہوں کے سامنے ٹھہری نہ ایک رخ سے ادائے خرام تک دل دے کے ان کو آپ سے ایسے گزر گئے جیسے کہ ہم تھے صرف اسی انتظام تک انجام کار شب کے اندھیرے میں لٹ گیا رکھا تھا کیف صبح بچا کر جو شام تک اس طرح کر رہے ہیں رضاؔ کا وہ تذکرہ خالی نہیں ہے طنز سے حسن کلام تک

Hindi

पहूँची न दिल की बात हुदूद-ए-पयाम तक बाक़ी हैं उन पे कितने जवाब-ए-सलाम तक बुत-ख़ाना-साज़ रंग-ए-ज़माना है किस क़दर छोड़ा न उस ने का'बा-ए-आली-मक़ाम तक मानूस हो रहे हैं तिरी जल्वा-गाह से पहोंचे अभी हैं मंज़िल-ए-माह-ए-तमाम तक जब तक रहे वो मेरी निगाहों के सामने ठहरी न एक रुख़ से अदा-ए-ख़िराम तक दिल दे के उन को आप से ऐसे गुज़र गए जैसे कि हम थे सिर्फ़ इसी इंतिज़ाम तक अंजाम-ए-कार शब के अंधेरे में लुट गया रक्खा था कैफ़-ए-सुब्ह बचा कर जो शाम तक इस तरह कर रहे हैं 'रज़ा' का वो तज़्किरा ख़ाली नहीं है तंज़ से हुस्न-ए-कलाम तक

pahūñchī na dil kī baat hudūd-e-payām tak
Aal
Aal
Aal
poet37 quotes

More by Aal

View all →
Quote
"niyaaz-o-naaz kaa ye silsila nahin jaataa jafaa ko chheD ke shauq-e-vafaa nahin jaataa khaTak rahi hain jo rag rag mein pairti phaansein kisi se ek Thikaane rahaa nahin jaataa jo aap vajh na puchhein to ek baat kahun baghair aap ke mujh se jiyaa nahin jaataa khataa muaaf bahut de diyaa tumhaaraa saath ab apne haal pe mujh se hansaa nahin jaataa ye aur baat hai jab bhi uThaa diye jaaein tumhaari bazm se lekin uThaa nahin jaataa ajiib tiir kaleje pe khaae baiThaa huun ajiib zakhm ki jis kaa mazaa nahin jaataa jahaan banaate hon qismat miTaa ke khuddaari zamaana jaae to jaae 'razaa' nahin jaataa"
AalAal
Quote
"qarib kuchh na milaa duur se dhuaan dekhaa qafas se chhuT ke kyaa khuub aashiyaan dekhaa yahi hai sair faqiron ki aur yahi fariyaad zamin pe baiTh gae su-e-aasmaan dekhaa hue tamaam jo sajde the duur ke aadaab yahaan se aur hai aalam ki aastaan dekhaa hisaar khinch ke apne hi dil kaa baiTh rahe zamaane-bhar ko mohabbat se bad-gumaan dekhaa chaman chaman tiri sairein nazar bahaar bahaar chaTak chaTak paDe ghunche jahaan jahaan dekhaa harim-e-naaz pe vo rang-o-nur ki baarish harim-e-naaz mein kyaa thaa ye phir kahaan dekhaa 'razaa' ne dil ko sajaa kar tire tasavvur se jahaan-e-husn mein ik husn-e-do-jahaan dekhaa"
AalAal
Quote
"darmaan milaa to dard kaa unvaan badal gayaa aaya samajh mein dard to darmaan badal gayaa aisi bhi kyaa nigaah-e-mohabbat se dushmani phulon samet rang-e-gulistaan badal gayaa saahil pe laa ke TuuTi hui naav pheink di khaa kar taras iraada-e-tufaan badal gayaa kaafir banaa ke kufr-navaazi bhi chhoD di imaan le ke dushman-e-imaan badal gayaa mahfil mein vo the aur mohabbat pe guftugu pahunchaa jo main to baat kaa unvaan badal gayaa aazaad kar rahe hain ziyaarat asiir ki kis ke qadam se aalam-e-zindaan badal gayaa tum to badal sake na pareshaani-e-khayaal ham ko 'razaa' khayaal-e-pareshaan badal gayaa"
AalAal

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil