"hamin ne un ki taraf se manaa liyaa dil ko vo karte uzr to ye aur bhi garaan hotaa samajh to ye ki na samjhe khud apnaa rang-e-junun mizaaj ye ki zamaana mizaaj-daan hotaa bhari bahaar ke din hain khayaal aa hi gayaa ujaD na jaaataa to phulon mein aashiyaan hotaa dimaagh arsh pe hai tere dar ki Thokar se nasib hotaa jo sajda to main kahaan hotaa"
soch kyaa is kaa milaa kyaa aur kyaa matlub thaa — Aal
"soch kyaa is kaa milaa kyaa aur kyaa matlub thaa khvaab hi Thahraa tu jitni der dekhaa khuub thaa aag de de kar ba-hadd-e-aashiyaan ye intiqaam tinkaa tinkaa kyon kisi ko is qadar mahbub thaa vo nigaahon ke payaam aur vo payaamon ki bahaar dekhiye meri taraf vo bhi zamaana khuub thaa ab to saudaa-e-mohabbat hai faqat divaangi varna saudaa-e-mohabbat kaa bhi ik uslub thaa kab khulaa uqda 'razaa' jab kar chuke izhaar-e-shauq muddaaa jaaez thaa harf-e-muddaaa maayub thaa"
سوچ کیا اس کا ملا کیا اور کیا مطلوب تھا خواب ہی ٹھہرا تو جتنی دیر دیکھا خوب تھا آگ دے دے کر بحد آشیاں یہ انتقام تنکا تنکا کیوں کسی کو اس قدر محبوب تھا وہ نگاہوں کے پیام اور وہ پیاموں کی بہار دیکھیے میری طرف وہ بھی زمانہ خوب تھا اب تو سودائے محبت ہے فقط دیوانگی ورنہ سودائے محبت کا بھی اک اسلوب تھا کب کھلا عقدہ رضاؔ جب کر چکے اظہار شوق مدعا جائز تھا حرف مدعا معیوب تھا
सोच क्या इस का मिला क्या और क्या मतलूब था ख़्वाब ही ठहरा तू जितनी देर देखा ख़ूब था आग दे दे कर ब-हद्द-ए-आशियाँ ये इंतिक़ाम तिनका तिनका क्यों किसी को इस क़दर महबूब था वो निगाहों के पयाम और वो पयामों की बहार देखिए मेरी तरफ़ वो भी ज़माना ख़ूब था अब तो सौदा-ए-मोहब्बत है फ़क़त दीवानगी वर्ना सौदा-ए-मोहब्बत का भी इक उस्लूब था कब खुला उक़्दा 'रज़ा' जब कर चुके इज़हार-ए-शौक़ मुद्दआ' जाएज़ था हर्फ़-ए-मुद्दआ' मा'यूब था

More by Aal
View all →"pahunchi na dil ki baat hudud-e-payaam tak baaqi hain un pe kitne javaab-e-salaam tak but-khaana-saaz rang-e-zamaana hai kis qadar chhoDaa na us ne kaa'ba-e-aali-maqaam tak maanus ho rahe hain tiri jalva-gaah se pahonche abhi hain manzil-e-maah-e-tamaam tak jab tak rahe vo meri nigaahon ke saamne Thahri na ek rukh se adaa-e-khiraam tak dil de ke un ko aap se aise guzar gae jaise ki ham the sirf isi intizaam tak anjaam-e-kaar shab ke andhere mein luT gayaa rakkhaa thaa kaif-e-subh bachaa kar jo shaam tak is tarah kar rahe hain 'razaa' kaa vo tazkira khaali nahin hai tanz se husn-e-kalaam tak"
"allaah nazar koi Thikaana nahin aataa aane ko chale aate hain jaanaa nahin aataa kah duun to maze par ye fasaana nahin aataa Thahrun to palaT kar ye zamaana nahin aataa yuun roz huaa karte the be-saakhta chakkar ab aaj bulaayaa hai to jaanaa nahin aataa tadbir si tadbir duaaon si duaaein sab aataa hai taqdir banaanaa nahin aataa"
"niyaaz-o-naaz kaa ye silsila nahin jaataa jafaa ko chheD ke shauq-e-vafaa nahin jaataa khaTak rahi hain jo rag rag mein pairti phaansein kisi se ek Thikaane rahaa nahin jaataa jo aap vajh na puchhein to ek baat kahun baghair aap ke mujh se jiyaa nahin jaataa khataa muaaf bahut de diyaa tumhaaraa saath ab apne haal pe mujh se hansaa nahin jaataa ye aur baat hai jab bhi uThaa diye jaaein tumhaari bazm se lekin uThaa nahin jaataa ajiib tiir kaleje pe khaae baiThaa huun ajiib zakhm ki jis kaa mazaa nahin jaataa jahaan banaate hon qismat miTaa ke khuddaari zamaana jaae to jaae 'razaa' nahin jaataa"
"qarib kuchh na milaa duur se dhuaan dekhaa qafas se chhuT ke kyaa khuub aashiyaan dekhaa yahi hai sair faqiron ki aur yahi fariyaad zamin pe baiTh gae su-e-aasmaan dekhaa hue tamaam jo sajde the duur ke aadaab yahaan se aur hai aalam ki aastaan dekhaa hisaar khinch ke apne hi dil kaa baiTh rahe zamaane-bhar ko mohabbat se bad-gumaan dekhaa chaman chaman tiri sairein nazar bahaar bahaar chaTak chaTak paDe ghunche jahaan jahaan dekhaa harim-e-naaz pe vo rang-o-nur ki baarish harim-e-naaz mein kyaa thaa ye phir kahaan dekhaa 'razaa' ne dil ko sajaa kar tire tasavvur se jahaan-e-husn mein ik husn-e-do-jahaan dekhaa"
"darmaan milaa to dard kaa unvaan badal gayaa aaya samajh mein dard to darmaan badal gayaa aisi bhi kyaa nigaah-e-mohabbat se dushmani phulon samet rang-e-gulistaan badal gayaa saahil pe laa ke TuuTi hui naav pheink di khaa kar taras iraada-e-tufaan badal gayaa kaafir banaa ke kufr-navaazi bhi chhoD di imaan le ke dushman-e-imaan badal gayaa mahfil mein vo the aur mohabbat pe guftugu pahunchaa jo main to baat kaa unvaan badal gayaa aazaad kar rahe hain ziyaarat asiir ki kis ke qadam se aalam-e-zindaan badal gayaa tum to badal sake na pareshaani-e-khayaal ham ko 'razaa' khayaal-e-pareshaan badal gayaa"
More on Maa
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"