SHAWORDS

pal bhar use rulaa kar dekh — Anjum Ludhianvi

"pal bhar use rulaa kar dekh saaraa din pachhtaa kar dekh patthar-dil thoDaa hai vo baanhein to phailaa kar dekh mumkin hai gham bah nikle nainaa niir bahaa kar dekh tujh bin kitnaa tanhaa huun jaane vaale aa kar dekh kyaa se kyaa ho jaanaa hai patta khushk uThaa kar dekh"
Urdu

پل بھر اسے رلا کر دیکھ سارا دن پچھتا کر دیکھ پتھر دل تھوڑا ہے وہ بانہیں تو پھیلا کر دیکھ ممکن ہے غم بہہ نکلے نینا نیر بہا کر دیکھ تجھ بن کتنا تنہا ہوں جانے والے آ کر دیکھ کیا سے کیا ہو جانا ہے پتہ خشک اٹھا کر دیکھ

Hindi

पल भर उसे रुला कर देख सारा दिन पछता कर देख पत्थर-दिल थोड़ा है वो बाँहें तो फैला कर देख मुमकिन है ग़म बह निकले नैना नीर बहा कर देख तुझ बिन कितना तन्हा हूँ जाने वाले आ कर देख क्या से क्या हो जाना है पत्ता ख़ुश्क उठा कर देख

pal bhar use rulā kar dekh
Anjum Ludhianvi
Anjum Ludhianvi
Anjum Ludhianvi
poet29 quotes

More by Anjum Ludhianvi

View all →
Quote
"hazaaron saal chalne ki sazaa hai bataa ai vaqt teraa jurm kyaa hai ujaalaa kaam par hai pau phaTe se andheraa chain se soyaa huaa hai havaa se laD rahe bujhte diye ne hamaaraa zehn raushan kar diyaa hai vo suraj ke gharaane se hai lekin falak se chaandni barsaa rahaa hai badan par raushni oDhi hai sab ne andheraa ruuh tak phailaa huaa hai sunaa hai aur ik bhukaa bhikaari khudaa kaa naam lete mar gayaa hai vahi ham hain nai shaklon mein 'anjum' vahi sadiyon puraanaa raasta hai"
Anjum LudhianviAnjum Ludhianvi
Quote
"ham saa divaana kahaan mil paaegaa is dahr mein ghar kiyaa taa'mir jis ne dimakon ke shahr mein khud-kushi karne mein bhi naakaam rah jaate hain ham kaun amrit ghol detaa hai hamaare zahr mein kis ko hai marne ki fursat sab yahaan masruf hain maut tu bekaar mein aai hai aise shahr mein TuuTi kashti ki tarah hain vaqt ke saahil pe ham kyaa zamaana thaa bahaa karte the apni lahr mein ek viraani si anjum rah gai aankhon mein ab khvaab saare bah gae hain aansuon ki nahr mein"
Anjum LudhianviAnjum Ludhianvi

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil