SHAWORDS

phuul gham ke khile rahe barson — Abdul Qavi Ziya

"phuul gham ke khile rahe barson dard ke silsile rahe barson zindagi thi bahut aziiz magar zindagi se gile rahe barson un gulon ke nasab kaa kyaa kahnaa dhuup mein jo khile rahe barson ishq thi baat ek lamhe ki honT apne sile rahe barson doston ki to baat apni jagah ham ko khud hi gile rahe barson ek taabir bhi mili na 'ziyaa' khvaab ke silsile rahe barson"
Urdu

پھول غم کے کھلے رہے برسوں درد کے سلسلے رہے برسوں زندگی تھی بہت عزیز مگر زندگی سے گلے رہے برسوں ان گلوں کے نسب کا کیا کہنا دھوپ میں جو کھلے رہے برسوں عشق تھی بات ایک لمحے کی ہونٹ اپنے سلے رہے برسوں دوستوں کی تو بات اپنی جگہ ہم کو خود ہی گلے رہے برسوں ایک تعبیر بھی ملی نہ ضیاؔ خواب کے سلسلے رہے برسوں

Hindi

फूल ग़म के खिले रहे बरसों दर्द के सिलसिले रहे बरसों ज़िंदगी थी बहुत अज़ीज़ मगर ज़िंदगी से गिले रहे बरसों उन गुलों के नसब का क्या कहना धूप में जो खिले रहे बरसों इश्क़ थी बात एक लम्हे की होंट अपने सिले रहे बरसों दोस्तों की तो बात अपनी जगह हम को ख़ुद ही गिले रहे बरसों एक ता'बीर भी मिली न 'ज़िया' ख़्वाब के सिलसिले रहे बरसों

phuul ġham ke khile rahe barsoñ
A
Abdul Qavi Ziya
Abdul Qavi Ziya
poet16 quotes

More by Abdul Qavi Ziya

View all →
Quote
"dil to kyaa jaan se guzarnaa aayaa ji uThe log jo marnaa aayaa sarf jab tak na huaa dil kaa lahu harf mein rang na bharnaa aayaa ho gae saare samundar paayaab jab hamein paar utarnaa aayaa fasl-e-gul aai to har ghunche ko zakhm ki tarah nikharnaa aayaa jo nafas thaa vo rahaa garm-e-safar kab musaafir ko Thaharnaa aayaa ik gul-e-tar ki mohabbat mein hamein kitne kaanTon se guzarnaa aayaa vo adab 'ishq ne bakhshaa ki hamein muddaton baat na karnaa aayaa dil pe apne jo paDi zarb 'ziyaa' TuuT kar ham ko bikharnaa aayaa"
A
Abdul Qavi Ziya
Quote
"aankhon mein hain jo khvaab koi jaantaa nahin is dil kaa iztiraab koi jaantaa nahin hai apni apni pyaas kaa har ek ko khayaal dariyaa bhi hai saraab koi jaantaa nahin ye jaante hain log ki anjaam kyaa huaa kyon aayaa inqalaab koi jaantaa nahin zarre ki raushni ko samajhte hain sab haqir hai vo bhi aaftaab koi jaantaa nahin ik hashr saa bapaa hai anaasir ke darmiyaan kis mein hai kitni taab koi jaantaa nahin daavaa to apne ilm kaa sab ko hai ai 'ziyaa' kyaa chiiz hai kitaab koi jaantaa nahin"
A
Abdul Qavi Ziya
Quote
"naa-mukammal hain abhi takmila-e-zaat karein in ko dekhein to khud apne se mulaaqaat karein aap aaein to zaraa aap se kuchh baat karein honT si lein magar aankhon se savaalaat karein gardishon se ye kaho rukh na karein ghar ki taraf ab vo ham se sar-e-mai-khaana mulaaqaat karein aap ke baare mein sochaa to bahut thaa lekin ab ham is soch mein hain aap se kyaa baat karein rukh pe kyaa rang hai kaisi hai in aankhon ki fazaa dil jo Thahre to kuchh andaaza-e-haalaat karein ghar ki tanhaai se kyon itne pareshaan ho 'ziyaa' aao ik but ke havaale se basar raat karein"
A
Abdul Qavi Ziya

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb