"mujh ko maa'lum hai baargaah-e-sukhan mein baDaa kaun hai kis ko niche giraa kar kuchal kar usi par khaDaa kaun hai ye agar main nahin kaun paani mein hai muztarib is tarah ye agar tu nahin to kinaaron ki surat gaDaa kaun hai ye miraa masala raat din kaa nahin koi tinkaa nahin kashtiyon vaali hairaan hai ki bhanvar mein uDaa kaun hai donon ki zindagi zindagi dosti nibh rahi hai bahut ek machhli hai aur ek paani hai ye aankDaa kaun hai koi lazzat bharaa koi nudrat bharaa is zamin se alag ye pakaa phal nahin to darakhton se aakhir jhaDaa kaun hai ek baarish ke baa'd ek do bundon vaale samay ki tarah jo mire sang ho rang hi rang ho vo dhaDaa kaun hai be-parat be-sifat jaise bhi hain yahaan aamne saamne jo hai oTon bharaa aur kahin par hai parton paDaa kaun hai koi sayyaal sonaa hai ik jis kaa honaa bataayaa huaa saare ik jaise hain vaise ke vaise is kaa jaDaa kaun hai koi suraj nahin jo ufuq chiir kar saamne aa sake koi ghaaTi nahin kaun utraa yahaan se chaDhaa kaun hai"
phuul ke vaaste du'aa kiije — Iqtidar Javed
"phuul ke vaaste du'aa kiije ye nasha hai zaraa nasha kiije ek talqin hai mohabbat ki jo na maane use daf'a kiije khaaT Daali hai peD ke niche aate jaate zaraa milaa kiije nahin kursi-nashin ki daa'vat sahn mein chaandni zaraa kiije aap aae ho us ki duniyaa mein is kaa kaffaara bhi adaa kiije dhuup par Daaliye koi makhmal chhaanv ke vaaste havaa kiije she'r mein mashq thoDi hai laazim apni gaaDhi zaraa ziyaa kiije maut ki bad-du'aa ke hain 'aadi in du'aa-goon se bachaa kiije vaqt kaa kuchh pata nahin chaltaa apni auqaat mein rahaa kiije itne logon mein baat kyaa karni biich baazaar kyaa sadaa kiije muskuraane kaa koi vaqt nahin kaam karte bhi kuchh hansaa kiije mashvaron kaa hai ik tarah kaa shor is tarah kiije us tarah kiije"
پھول کے واسطے دعا کیجے یہ نشہ ہے ذرا نشہ کیجے ایک تلقین ہے محبت کی جو نہ مانے اسے دفعہ کیجے کھاٹ ڈالی ہے پیڑ کے نیچے آتے جاتے ذرا ملا کیجے نہیں کرسی نشین کی دعوت صحن میں چاندنی ذرا کیجے آپ آئے ہو اس کی دنیا میں اس کا کفارہ بھی ادا کیجے دھوپ پر ڈالیے کوئی مخمل چھاؤں کے واسطے ہوا کیجے شعر میں مشق تھوڑی ہے لازم اپنی گاڑھی ذرا ضیا کیجے موت کی بد دعا کے ہیں عادی ان دعا گوؤں سے بچا کیجے وقت کا کچھ پتہ نہیں چلتا اپنی اوقات میں رہا کیجے اتنے لوگوں میں بات کیا کرنی بیچ بازار کیا صدا کیجے مسکرانے کا کوئی وقت نہیں کام کرتے بھی کچھ ہنسا کیجے مشوروں کا ہے اک طرح کا شور اس طرح کیجے اس طرح کیجے
फूल के वास्ते दु'आ कीजे ये नशा है ज़रा नशा कीजे एक तल्क़ीन है मोहब्बत की जो न माने उसे दफ़'अ कीजे खाट डाली है पेड़ के नीचे आते जाते ज़रा मिला कीजे नहीं कुर्सी-नशीन की दा'वत सहन में चाँदनी ज़रा कीजे आप आए हो उस की दुनिया में इस का कफ़्फ़ारा भी अदा कीजे धूप पर डालिए कोई मख़मल छाँव के वास्ते हवा कीजे शे'र में मश्क़ थोड़ी है लाज़िम अपनी गाढ़ी ज़रा ज़िया कीजे मौत की बद-दु'आ के हैं 'आदी इन दु'आ-गोओं से बचा कीजे वक़्त का कुछ पता नहीं चलता अपनी औक़ात में रहा कीजे इतने लोगों में बात क्या करनी बीच बाज़ार क्या सदा कीजे मुस्कुराने का कोई वक़्त नहीं काम करते भी कुछ हँसा कीजे मश्वरों का है इक तरह का शोर इस तरह कीजे उस तरह कीजे

More by Iqtidar Javed
View all →"jo mushkil thi use aasaan banaataa jaa rahaa thaa ki jo hotaa thaa main us ko bhulaataa jaa rahaa thaa mujhe bhi apni sachchaai pe zarra bhar na shak thaa zamaana bhi qasam apni uThaataa jaa rahaa thaa koi thaa jo ki taktaa jaa rahaa thaa kaarkhaana koi thaa kaarkhaana jo chalaataa jaa rahaa thaa badalti jaa rahi thi meri haalat lahza lahza kisi ko jis tarah main yaad aataa jaa rahaa thaa kahin andhi bhikaaran laDkhaDaati jaa rahi thi jo paani thaa zad-e-jaarub khaataa jaa rahaa thaa zulekhaa-e-zamaana meri aankhon mein chhupi thi ye mulk-e-misr thaa aur suut kaataa jaa rahaa thaa jo paani thaa vo ik dahshat mein baDhtaa aa rahaa thaa jo dariyaa thaa kinaaron ko uDaataa jaa rahaa thaa zamaanon ke mutaabiq baab bandhte jaa rahe the kanaar-e-vaqt mein faslein lagaataa jaa rahaa thaa kahaan andhe kunvein hain un ko bhartaa jaa rahaa thaa kahaan raste hi raste hain bataataa jaa rahaa thaa"
"shaam pariyon se bhari thi raat chup hai jhiil ki gung karti hai zabaanon ko du'aa takmil ki naam chamkaa mere dil mein sura-e-rahmaan kaa puuri surat subh-e-khush-hangaam ne tartil ki jaise ki mausul aaghaaz-e-mohabbat ki du'aa ham ne aglon tak vo rahmat ki havaa tarsil ki vaaqi'a aisaa na thaa jaise kiyaa ham ne bayaan ruup se behtar kahin us ruup ki tafsil ki ab yahaan aa kar nahin maa'lum hotaa rah-guzar chhoD di thi kis jagah par kis jagah tabdil ki 'uzr jo bhi thaa mafar karnaa gavaaraa hi na thaa hukm jis kaa bhi thaa tere naam par taa'mil ki is ghubaar-e-dahr se us ne uThaayaa raasta ye khayaal-afroz mujh par shaa'iri tafsil ki ai jahaan-e-misr ye nairangiyon kaa vaqt hai ai zulekhaa khush-khabar ai mauj aab-e-nil ki baaz aise to nahin aa kar utartaa haath par ratjage kaaTe kai to khvaab ki tashkil ki"
"hifaazat kaa nasha phailaa to phir nuqsaan pahunchaa hiran us vaqt dauDaa jab shikaari aan pahunchaa samundar raat kaa thaa jab safar ki kashtiyaan thiin jazira Dubne vaalaa thaa aur mehmaan pahunchaa kahin raste tire mahdud hote jaa rahe the main tere vaaste le kar kai imkaan pahunchaa du'aaein baazuon par baandh kar ham jaa chuke the hamaare shahr mein jab maut kaa farmaan pahunchaa 'ajab mehmaan kaa 'aalam thaa jab us ne sadaa di 'ajab ghar-baar kaa 'aalam thaa jab mehmaan pahunchaa"
"dil ke kaa'be ko giraa detaa hai Dartaa bhi nahin kaun hai hajjaaj-bin-yusuf jo martaa bhi nahin ye sitaara aasmaan ki is tamaashaa-gaah mein Duub jaataa hai to dobaara ubhartaa bhi nahin dhuup kaisi hai jo is paani mein ghulti hi nahin rang kaisaa hai jo she'ron se utartaa bhi nahin shor hotaa jaa rahaa hai lahrein rukti hi nahin peD ugte jaa rahe hain dasht bhartaa bhi nahin aankh hai jo jazb kar leti hai har manzar kahin ye samundar hai ki jo bhar kar biphartaa bhi nahin ye zamin ye chaand sayyaare hain sab daryuza-gar asl mein suraj kahin niche utartaa bhi nahin is mein be-rangi ki aamezish zaruri hai bahut rang ik ho to ziyaada din Thahartaa bhi nahin rafta-rafta ham banaa lete hain vo imaan kaa juz jo taqaazaa ham se khud imaan kartaa bhi nahin maut se kis ko mafar hotaa hai lekin aadmi baat ye hai asl mein ik baar martaa bhi nahin"
"ek duniyaa ik jahaan taskhir karne vaaste khvaab honaa chaahiye taa'bir karne vaaste phuul bhi maujud hain naqsha-gari karni jo ho baagh mein mahkaar hai taa'mir karne vaaste 'ishq chashma hai kahin se phuuT saktaa hai ma'an ye havaa hoti nahin zanjir karne vaaste khul to jaanaa hai bil-aakhir bhed tere husn kaa ye mo'amma hai zaraa taakhir karne vaaste ek do nuqte hamesha chhoD dene chaahiyein kaar-e-mushkil to nahin tasvir karne vaaste ik fazaa mashur-kun aabi parindon ke liye ik samundar hai yahaan taasir karne vaaste ek do aise ishaare hon jo khul sakte na hon aadmi hotaa nahin tafsir karne vaaste shaa'iri hai tere mere vaaston ki guftugu ye nahin aurang-e-‘aalamgir karne vaaste"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"