SHAWORDS

raat ki raaniyon charaaghon ki khair — Bushra Bakhtiyar Khan

"raat ki raaniyon charaaghon ki khair madh-bhare pyaar karne vaalon ki khair khair ho khair ho faqat ho khair mere sab doston harifon ki khair jhiil par milne vaale shaad rahein aur us jhiil ke kinaaron ki khair sab gharon ke charaagh raushan hon shahr mein phirte be-sahaaron ki khair raushni mil gai tujhe 'bushraa' raushni ke sabhi havaalon ki khair"
Urdu

رات کی رانیوں چراغوں کی خیر مدھ بھرے پیار کرنے والوں کی خیر خیر ہو خیر ہو فقط ہو خیر میرے سب دوستوں حریفوں کی خیر جھیل پر ملنے والے شاد رہیں اور اس جھیل کے کناروں کی خیر سب گھروں کے چراغ روشن ہوں شہر میں پھرتے بے سہاروں کی خیر روشنی مل گئی تجھے بشریٰؔ روشنی کے سبھی حوالوں کی خیر

Hindi

रात की रानियों चराग़ों की ख़ैर मध-भरे प्यार करने वालों की ख़ैर ख़ैर हो ख़ैर हो फ़क़त हो ख़ैर मेरे सब दोस्तों हरीफ़ों की ख़ैर झील पर मिलने वाले शाद रहें और उस झील के किनारों की ख़ैर सब घरों के चराग़ रौशन हों शहर में फिरते बे-सहारों की ख़ैर रौशनी मिल गई तुझे 'बुशरा' रौशनी के सभी हवालों की ख़ैर

raat kī rāniyoñ charāġhoñ kī ḳhair
Bushra Bakhtiyar Khan
Bushra Bakhtiyar Khan
Bushra Bakhtiyar Khan
poet23 quotes

More by Bushra Bakhtiyar Khan

View all →
Quote
"adaavaton se mohabbat kaa gham nikaalte hain ham apne dil ko bhi marzi se kab uchhaalte hain ye puuri duniyaa hi behosh ho gai hai bhalaa hamein khabar hi nahin kis ko kab sambhaalte hain jahaan jahaan bhi zarurat paDi mohabbat ki ham apne khuun ko paikar mein bhar hi Dhaalte hain khud aise dost rakkhe hain ki jo vafaa na karein ham apne shauq se zahrile saanp paalte hain ye mai-kade ki rivaayat ajab lagi 'bushraa' jo girne lagtaa hai us ko nahin sambhaalte hain"
Bushra Bakhtiyar KhanBushra Bakhtiyar Khan
Quote
"zindagi ishq ke mazhab mein bitaanaa chaahein ham tire saath kabhi chaand pe jaanaa chaahein ham qavaanin-e-mohabbat mein tujhe le aaein ham tire naam kaa ik mulk basaanaa chaahein ham ye chaahein ki tire husn ke parde kholein ham tire khvaab farishton ko dikhaanaa chaahein us ki aankhon mein basar karte rahein umr ke khvaab us ki saanson se hi ab saans baDhaanaa chaahein jaante hain ki use dekh ke mar jaaeinge phir bhi us shakhs se ham aankh milaanaa chaahein vo jo ik jaan kaa dushman hai usi ko 'bushraa' apni ye umr bhi ab us ko lagaanaa chaahein"
Bushra Bakhtiyar KhanBushra Bakhtiyar Khan
Quote
"shahr ke shahr basaate hue mar jaate hain kaar-e-duniyaa ko chalaate hue mar jaate hain log bichhDein to basaa lete hain duniyaa phir se ham to bas haath chhuDaate hue mar jaate hain jab se tu raah ki divaar samajhtaa hai hamein ham tiri raah mein aate hue mar jaate hain chand chehron ke liye diid bachaa rakkhi thi ab to ham palkein bichhaate hue mar jaate hain jo tire naam se ashaar kahe the ham ne ham vo ashaar sunaate hue mar jaate hain vo samajhte hain ki ham aankhon mein gum hain 'bushraa' un se ham nazrein milaate hue mar jaate hain"
Bushra Bakhtiyar KhanBushra Bakhtiyar Khan

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud