"chashm-e-hairat saare manzar ek jaise ho gae dekh le sahraa samundar ek jaise ho gae jaagti aankhon ko meri baar-haa dhokaa huaa khvaab aur taabir aksar ek jaise ho gae vaqt ne har ek chehra ek jaisaa kar diyaa aarzu ke saare paikar ek jaise ho gae jab se ham ko Thokarein khaane ki aadat ho gai raaston ke saare patthar ek jaise ho gae dida-e-tar ki kahaani ab mukammal ho gai dard sab ashkon mein ghul kar ek jaise ho gae 'shaad' itni baDh gai hain mere dil ki vahshatein ab junun mein dasht aur ghar ek jaise ho gae"
rafta rafta manzar-e-shab taab bhi aa jaaeinge — Khushbir Singh Shaad
"rafta rafta manzar-e-shab taab bhi aa jaaeinge niind to aa jaae pahle khvaab bhi aa jaaeinge kyaa pata thaa khuun ke aansu rulaa deinge mujhe is kahaani mein kuchh aise baab bhi aa jaaeinge khushk aankhon ne to shaayad ye kabhi sochaa na thaa ek din sahraaon mein sailaab bhi aa jaaeinge hausle yuun hi agar baDhte gae to dekhnaa saahilon tak ek din girdaab bhi aa jaaeinge bas zaraa milne to do meri tabaahi ki khabar dil dukhaane ke liye ahbaab bhi aa jaaeinge aap ki bazm-e-mohazzab mein nayaa huun 'shaad' main aate aate bazm ke aadaab bhi aa jaaeinge"
رفتہ رفتہ منظر شب تاب بھی آ جائیں گے نیند تو آ جائے پہلے خواب بھی آ جائیں گے کیا پتہ تھا خون کے آنسو رلا دیں گے مجھے اس کہانی میں کچھ ایسے باب بھی آ جائیں گے خشک آنکھوں نے تو شاید یہ کبھی سوچا نہ تھا ایک دن صحراؤں میں سیلاب بھی آ جائیں گے حوصلے یوں ہی اگر بڑھتے گئے تو دیکھنا ساحلوں تک ایک دن گرداب بھی آ جائیں گے بس ذرا ملنے تو دو میری تباہی کی خبر دل دکھانے کے لیے احباب بھی آ جائیں گے آپ کی بزم مہذب میں نیا ہوں شادؔ میں آتے آتے بزم کے آداب بھی آ جائیں گے
रफ़्ता रफ़्ता मंज़र-ए-शब ताब भी आ जाएँगे नींद तो आ जाए पहले ख़्वाब भी आ जाएँगे क्या पता था ख़ून के आँसू रुला देंगे मुझे इस कहानी में कुछ ऐसे बाब भी आ जाएँगे ख़ुश्क आँखों ने तो शायद ये कभी सोचा न था एक दिन सहराओं में सैलाब भी आ जाएँगे हौसले यूँ ही अगर बढ़ते गए तो देखना साहिलों तक एक दिन गिर्दाब भी आ जाएँगे बस ज़रा मिलने तो दो मेरी तबाही की ख़बर दिल दुखाने के लिए अहबाब भी आ जाएँगे आप की बज़्म-ए-मोहज़्ज़ब में नया हूँ 'शाद' मैं आते आते बज़्म के आदाब भी आ जाएँगे

More by Khushbir Singh Shaad
View all →"ek to qayaamat hai is makaan ki tanhaai us pe maar Daalegi mujh ko jaan ki tanhaai tum ne to sitaaron ko duur hi se dekhaa hai tum samajh na paaoge aasmaan ki tanhaai vo udhar akelaa thaa ham idhar akele the raaste mein haail thi darmiyaan ki tanhaai phir vahi charaaghon kaa rafta rafta bujh jaanaa phir vahi sukut-e-shab phir vo jaan ki tanhaai dasht mein bhi kuchh din tak vahshatein to hoti hain raas aane lagti hai phir vahaan ki tanhaai koi bhi yaqin dil ko 'shaad' kar nahin saktaa ruuh mein utar jaae jab gumaan ki tanhaai"
"shaam tak phir rang khvaabon kaa bikhar jaaegaa kyaa raaegaan hi aaj kaa din bhi guzar jaaegaa kyaa DhunDnaa hai ghup-andhere mein mujhe ik shakhs ko puchhnaa suraj zaraa mujh mein utar jaaegaa kyaa maantaa huun ghuT rahaa hai dam tiraa is habs mein gar yahi jiine ki surat hai to mar jaaegaa kyaa ain mumkin hai bajaa hon tere andeshe magar dekh kar ab apne saae ko bhi Dar jaaegaa kyaa soch le parvaaz se pahle zaraa phir soch le saath le kar ye shikasta baal-o-par jaaegaa kyaa ek hijrat jism ne ki ek hijrat ruuh ne itnaa gahraa zakhm aasaani se bhar jaaegaa kyaa"
"ham is dayaar ke is khaak-daan ke the hi nahin vahin pe aa ke base hain jahaan ke the hi nahin the jis kaa markazi kirdaar ek umr talak pata chalaa ki usi daastaan ke the hi nahin safar se lauT ke hairat hui parinde ko ye khaar-o-khas to mire aashiyaan ke the hi nahin har ek rang mein dekhaa hai us ko aankhon ne ye rang pahle kabhi aasmaan ke the hi nahin hamein bahaar ke mausam mein le uDi hai havaa vo barg-e-zard hain ham jo khizaan ke the hi nahin isi liye nahin rakkhaa hisaab saanson kaa ki masale kabhi sud-o-ziyaan ke the hi nahin talaash karte ho kyuun 'shaad' guzre lamhon ko vo raah-rau to kisi kaarvaan ke the hi nahin"
"vahshatein bhi kitni hain aagahi ke paikar mein jal rahaa hai suraj bhi raushni ke paikar mein raat meri aankhon mein kuchh ajiib chehre the aur kuchh sadaaein thiin khaamushi ke paikar mein har taraf saraabon ke kuchh hasin manzar the aur main bhi hairaan thaa tishnagi ke paikar mein main ne to tasavvur mein aur aks dekhaa thaa fikr mukhtalif kyuun hai shaaeri ke paikar mein ruup rang miltaa hai khadd-o-khaal milte hain aadmi nahin miltaa aadmi ke paikar mein kyaa bataaein ham dil par 'shaad' kyaa guzarti hai gham chhupaanaa paDtaa hai jab khushi ke paikar mein"
"samundar ye tiri khaamoshiyaan kuchh aur kahti hain magar saahil pe TuuTi kashtiyaan kuchh aur kahti hain hamaare shahr ki aankhon ne manzar aur dekhaa thaa magar akhbaar ki ye surkhiyaan kuchh aur kahti hain ham ahl-e-shahr ki khvaahish ki mil-jul kar rahein lekin amir-e-shahr ki dilchaspiyaan kuchh aur kahti hain"
More on Dil
View all →"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"