SHAWORDS

rakhtaa hai yuun vo zulf-e-siyah-faam dosh par — Baqaullah 'Baqa'

"rakhtaa hai yuun vo zulf-e-siyah-faam dosh par sayyaad jis tarah se dhare daam dosh par shaane talak chaDhe bin ab aansu ko kab hai chain sach hai ki hove tifl ko aaraam dosh par ik din milaa jo shaikh to phir mai-kashon ke saath sar par liye phiregaa subu jaam dosh par milnaa to aaj bhi na huaa shab ko aur uThaa ifaa-e-vaada ai but khud-kaam dosh par hai dil mein ghar ko shahr se sahraa mein le chalein uThvaa ke aansuon se dar-o-baam dosh par vo zisht-bakht huun ki malaaek ko bhi mire likhne kaa pesh aave jo kuchh kaam dosh par neki miri to naam badon ke karein raqam zishti likhein badon ki mire naam dosh par mutrib bachon ne shaikh ko Tangiyaa liyaa tamaam li vaqt-e-jaa-e-khilat-e-inaam dosh par Daalaa na baar-e-ishq zamin par 'baqaa' ne yaar sar se agar giraa to liyaa thaam dosh par"
Urdu

رکھتا ہے یوں وہ زلف سیہ فام دوش پر صیاد جس طرح سے دھرے دام دوش پر شانے تلک چڑھے بن اب آنسو کو کب ہے چین سچ ہے کہ ہووے طفل کو آرام دوش پر اک دن ملا جو شیخ تو پھر میکشوں کے ساتھ سر پر لیے پھرے گا سبو جام دوش پر ملنا تو آج بھی نہ ہوا شب کو اور اٹھا ایفائے وعدہ اے بت خود کام دوش پر ہے دل میں گھر کو شہر سے صحرا میں لے چلیں اٹھوا کے آنسوؤں سے در و بام دوش پر وہ زشت بخت ہوں کہ ملائک کو بھی مرے لکھنے کا پیش آوے جو کچھ کام دوش پر نیکی مری تو نام بدوں کے کریں رقم زشتی لکھیں بدوں کی مرے نام دوش پر مطرب بچوں نے شیخ کو ٹنگیا لیا تمام لی وقت‌ جائے خلعت انعام دوش پر ڈالا نہ بار عشق زمیں پر بقاؔ نے یار سر سے اگر گرا تو لیا تھام دوش پر

Hindi

रखता है यूँ वो ज़ुल्फ़-ए-सियह-फ़ाम दोश पर सय्याद जिस तरह से धरे दाम दोश पर शाने तलक चढ़े बिन अब आँसू को कब है चैन सच है कि होवे तिफ़्ल को आराम दोश पर इक दिन मिला जो शैख़ तो फिर मय-कशों के साथ सर पर लिए फिरेगा सुबू जाम दोश पर मिलना तो आज भी न हुआ शब को और उठा ईफ़ा-ए-व'अदा ऐ बुत ख़ुद-काम दोश पर है दिल में घर को शहर से सहरा में ले चलें उठवा के आँसुओं से दर-ओ-बाम दोश पर वो ज़िश्त-बख़्त हूँ कि मलाएक को भी मिरे लिखने का पेश आवे जो कुछ काम दोश पर नेकी मिरी तो नाम बदों के करें रक़म ज़िश्ती लिखें बदों की मिरे नाम दोश पर मुतरिब बचों ने शैख़ को टंगिया लिया तमाम ली वक़्त-ए-जा-ए-ख़िलअ'त-ए-इनआ'म दोश पर डाला न बार-ए-इश्क़ ज़मीं पर 'बक़ा' ने यार सर से अगर गिरा तो लिया थाम दोश पर

rakhtā hai yuuñ vo zulf-e-siyah-fām dosh par
B
Baqaullah 'Baqa'
Baqaullah 'Baqa'
poet52 quotes

More by Baqaullah 'Baqa'

View all →
Quote
"jo jahaan ke aaina hain dil unhon ke saada hain dil mein jaa dene ko vo har ek ke aamaada hain qatl se aashiq ke tu ne ab to khaai hai qasam aakhir ai qaatil ye baatein pesh-paa-uftaada hain kal ke din jo gird mai-khaane ke phirte the kharaab aaj masjid mein jo dekhaa saahab-e-sajjaada hain band mein mutlaq jo mujh ko khatra-e-sayyaad ho huun asir-e-daam par vazaein miri aazaada hain raah-paimaayaan-e-aqlim-e-adam se yaadgaar daaman-e-sahraa mein ab baaqi nuqush-e-jaada hain chashm-e-saaqi ke liye hain tegh-e-abru dosh par lag na chal un se 'baqaa' ye turk mast-e-baada hain"
B
Baqaullah 'Baqa'
Quote
"sipaah-e-ishrat pe fauj-e-gham ne jo mil ke markab baham uThaae idhar to naale kaa taashaa kaDkaa udhar fughaan ne alam uThaae is ashk o lakht-e-jigar se ik hi faqat na mardum ko faaeda hai jo dur ke role adad kisi ne to laal ke bhi raqam uThaae sabab raqibon ke bazm mein ab gai vo aapas ki ham-nashini ham aan baiThe to uTh gayaa vo vo aan baiThaa to ham uTh aae tahi-kaf aae the ham adam se chale bhi yaan se to dast-e-khaali na tosha vaan se liyaa thaa zar kaa na saath yaan se diram uThaae 'baqaa' jo raahi hue adam ke to vaqfa hargiz karo na dam kaa ye raah hasti ki pur-khatar hai chalo yahaan se qadam uThaae"
B
Baqaullah 'Baqa'
Quote
"qazaa ne haal-e-gul jab safha-e-taqdir par likkhaa miri divaangi kaa maajraa zanjir par likkhaa zaifi se nahin pairon ke chiin peshaani-o-ru par ye khatt-e-naa-umidi hai ki ru-e-pir par likkhaa nahin tujh se hamein daava-e-khun gar shama ne qaatil ab apne khuun kaa mahzar gardan-e-gul-gir par likkhaa ye sab mazmun hai shirin kohkan ki ru-sapedi kaa jahaan tak mauj ne satron ko ju-e-shir par likkhaa 'baqaa' ke dil mein aa aaina teri qadr kyaa jaane abas hai naqsh-e-gul gar bulbul-e-tasvir par likkhaa"
B
Baqaullah 'Baqa'

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari