SHAWORDS

rangon ki barsaat thi kaisi phaagan mein — Raj Kheti

HomeRaj KhetiGhazal
"rangon ki barsaat thi kaisi phaagan mein phuul khile the kali kali ghar aangan mein ab tak us ki yaad mein tan-man jaltaa hai dhokaa mujh ko jis ne diyaa thaa saavan mein janam maran kaa chakkar kab puuraa hogaa sadiyaan biit gai hain aavan jaavan mein aankhein nis-din niir bahaati rahti hain aag lagi hai kaisi mere tan-man mein us kaa badan to aainon ko sharmaae kyon vo mukhDaa dekh rahi thi darpan mein jal-thal jal-thal umaD ghumaD barse baadal pyaas miTi nahin phir bhi meri saavan mein kaun ujaale le kar mere ghar aaya dhuup utar aai hai mere aangan mein jab chaahegi phan ko uThaa kar Das legi amrit paae kaise koi naagan mein badal gae aasebon mein vo chehre kyon dekhe jin ke khvaab suhaane bachpan mein Dar aur zulm kaa yaaro koi ant nahin khud ko DhunD rahe hain log ab raavan mein 'raaj bahut mushkil hai lenaa sukh kaa saans dukh ne aisaa jakaD liyaa hai bandhan mein"
Urdu

رنگوں کی برسات تھی کیسی پھاگن میں پھول کھلے تھے کلی کلی گھر آنگن میں اب تک اس کی یاد میں تن من جلتا ہے دھوکا مجھ کو جس نے دیا تھا ساون میں جنم مرن کا چکر کب پورا ہوگا صدیاں بیت گئی ہیں آون جاون میں آنکھیں نس دن نیر بہاتی رہتی ہیں آگ لگی ہے کیسی میرے تن من میں اس کا بدن تو آئینوں کو شرمائے کیوں وہ مکھڑا دیکھ رہی تھی درپن میں جل تھل جل تھل امڑ گھمڑ برسے بادل پیاس مٹی نہیں پھر بھی میری ساون میں کون اجالے لے کر میرے گھر آیا دھوپ اتر آئی ہے میرے آنگن میں جب چاہے گی پھن کو اٹھا کر ڈس لے گی امرت پائے کیسے کوئی ناگن میں بدل گئے آسیبوں میں وہ چہرے کیوں دیکھے جن کے خواب سہانے بچپن میں ڈر اور ظلم کا یارو کوئی انت نہیں خود کو ڈھونڈ رہے ہیں لوگ اب راون میں راجؔ بہت مشکل ہے لینا سکھ کا سانس دکھ نے ایسا جکڑ لیا ہے بندھن میں

Hindi

रंगों की बरसात थी कैसी फागन में फूल खिले थे कली कली घर आँगन में अब तक उस की याद में तन-मन जलता है धोका मुझ को जिस ने दिया था सावन में जनम मरन का चक्कर कब पूरा होगा सदियाँ बीत गई हैं आवन जावन में आँखें निस-दिन नीर बहाती रहती हैं आग लगी है कैसी मेरे तन-मन में उस का बदन तो आईनों को शरमाए क्यों वो मुखड़ा देख रही थी दर्पन में जल-थल जल-थल उमड़ घुमड़ बरसे बादल प्यास मिटी नहीं फिर भी मेरी सावन में कौन उजाले ले कर मेरे घर आया धूप उतर आई है मेरे आँगन में जब चाहेगी फन को उठा कर डस लेगी अमृत पाए कैसे कोई नागन में बदल गए आसेबों में वो चेहरे क्यों देखे जिन के ख़्वाब सुहाने बचपन में डर और ज़ुल्म का यारो कोई अंत नहीं ख़ुद को ढूँड रहे हैं लोग अब रावन में 'राज' बहुत मुश्किल है लेना सुख का साँस दुख ने ऐसा जकड़ लिया है बंधन में

rangoñ kī barsāt thī kaisī phāgan meñ
Raj Kheti
Raj Kheti
Raj Kheti
poet7 quotes

More by Raj Kheti

View all →
Quote
"hasin aankhon mein palte hue se Dar dekhe ki ham ne jalte hue titliyon ke par dekhe balaa ki dhund thi kuchh bhi nazar na aataa thaa andhere phailte ham ne nagar nagar dekhe sadaf ki baat hai kyaa vo guhar bhi paaegaa utar ke gahre samundar mein vo agar dekhe vo aag kyaa thi jo bhaDki thi kyon khudaa jaane ki ham ne jalte hue bastiyon mein ghar dekhe na jaanein dard hamaaraa na dekhein zakhm-e-jigar ajiib tarah ke kuchh ham ne chaaraagar dekhe kinaare kashti ko le jaae naakhudaa kyunkar ki ham ne lahron mein uThte hue bhanvar dekhe vo khvaab kitnaa bhayaanak thaa chikh uTThaa main lahu mein haath jo apne hi tar-ba-tar dekhe rah-e-hayaat mein jo apnaa saath chhoD gae kuchh is tarah ke bhi ai 'raaj ham-safar dekhe"
Raj KhetiRaj Kheti
Quote
"yuun tasavvur mein tiraa husn nazar aataa hai jaise darpan mein koi aks jhalak jaataa hai ek muddat se hai go tark-e-taalluq phir bhi dil ko ik jazba-e-be-naam saa taDaptaa hai gahre ho jaate hain jis vaqt andhere gham ke teri bikhri hui zulfon kaa khayaal aataa hai kitne dilchasp hain aazaar-e-mohabbat ai dost phuul khilte hain to dil aur bhi ghabraataa hai rah gae bujh ke mohabbat bhari yaadon ke charaagh raushni dil mein koi phir bhi kiye jaataa hai ek khaamosh udaasi kaa hai aalam taari kaun khvaabon mein dabe paanv chalaa aataa hai 'raaj aataa hai kabhi pyaar mein aisaa bhi maqaam ek dil rotaa hai aur saaraa jahaan gaataa hai"
Raj KhetiRaj Kheti

More on Sad

View all →
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim