Quote
"koi din sabr ke phir mundamil ho jaaegaa gham nishaan rah jaaegaa aur mustaqil ho jaaegaa gham kisi lambe safar mein shaam ho jaaegi gham ko kahin ik raah takte muzmahil ho jaaegaa gham kise maalum thaa kaam aaegi sina-kharaashi aur is siine mein aakhir-kaar dil ho jaaegaa gham ufuq par Dubte dukh se sitaare kah rahe hain chamak uTTheinge ham jab muntaqil ho jaaegaa gham kisi fursat ki shab dil par udaasi chhaaegi aur kisi masruf din par mushtamil ho jaaegaa gham tumhein hasrat se ham dekheinge aur tum muskuraanaa us ik lamhe mein jab aa kar mukhil ho jaaegaa gham chalegi yaad jab tanhaai mein rauzan khulegaa maza aa jaaegaa jab munfail ho jaaegaa gham kahaan khalvat mayassar aaegi kam-fursaton ko judaa hogi khushi to muttasil ho jaaegaa gham khushi ik DhunDne niklegaa gham lekin achaanak baham ho kar kisi gham se khajil ho jaaegaa gham"
