SHAWORDS

rote dekhaa unhein aakhiri mein — Farooque Adil

HomeFarooque AdilGhazal
"rote dekhaa unhein aakhiri mein 'umr-bhar jo rahe gumrahi mein ab davaa do ke zahr-e-halaahil ham to khush hain tumhaari khushi mein khubiyaan to bahut si hain lekin bas muravvat nahin aadmi mein zehn-o-dil jis se ho jaae raushan aisaa mazmun ho shaa'iri mein kuchh na kuchh to ghalat-fahmiyaan hain farq kyon aa gayaa dosti mein koi puchhe zaraa 'aashiqon se lutf miltaa hai kyaa 'aashiqi mein juz mohabbat ke 'faaruq-aadil’ kuchh bhi rakkhaa nahin zindagi mein"
Urdu

روتے دیکھا انہیں آخری میں عمر بھر جو رہے گمرہی میں اب دوا دو کے زہر ہلاہل ہم تو خوش ہیں تمہاری خوشی میں خوبیاں تو بہت سی ہیں لیکن بس مروت نہیں آدمی میں ذہن و دل جس سے ہو جائے روشن ایسا مضمون ہو شاعری میں کچھ نہ کچھ تو غلط فہمیاں ہیں فرق کیوں آ گیا دوستی میں کوئی پوچھے ذرا عاشقوں سے لطف ملتا ہے کیا عاشقی میں جز محبت کے فاروق عادلؔ کچھ بھی رکھا نہیں زندگی میں

Hindi

रोते देखा उन्हें आख़िरी में 'उम्र-भर जो रहे गुमरही में अब दवा दो के ज़हर-ए-हलाहिल हम तो ख़ुश हैं तुम्हारी ख़ुशी में ख़ूबियाँ तो बहुत सी हैं लेकिन बस मुरव्वत नहीं आदमी में ज़ेहन-ओ-दिल जिस से हो जाए रौशन ऐसा मज़मून हो शा'इरी में कुछ न कुछ तो ग़लत-फ़हमियाँ हैं फ़र्क़ क्यों आ गया दोस्ती में कोई पूछे ज़रा 'आशिक़ों से लुत्फ़ मिलता है क्या 'आशिक़ी में जुज़ मोहब्बत के 'फ़ारूक़-आदिल’ कुछ भी रक्खा नहीं ज़िंदगी में

rote dekhā unheñ āḳhirī meñ
Farooque Adil
Farooque Adil
Farooque Adil
poet20 quotes

More by Farooque Adil

View all →
Quote
"abhi uD kar bulandi se giraa thaa parinda shaakh par sahmaa huaa thaa churaae jaa rahaa thaa mujh se nazrein yaqinan vo mujhe pahchaantaa thaa mohabbat mein jo guzri dil pe mere use kuchh dil hi meraa jaantaa thaa falak-bosi mayassar aa gai hai magar kyaa khaaksaari mein maza thaa hamin sab faisle karte the apne hamaari manzilein thiin raasta thaa ab aaina nahin ham dekhte hain kabhi chehra hamaaraa phuul saa thaa tavaqqo' uTh gai thi zindagi se mu'aalij bhi miraa sahmaa huaa thaa vaqaar ab kuchh nahin baaqi hai 'faaruq' kabhi kirdaar apnaa aaina thaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"'ishq raas aaegaa paaband-e-nazar hone tak us ke jalve nazar aaeinge sahar hone tak aap tashrif to le aaein karam to farmaaein ghar ko kuchh der to lag jaaegi ghar hone tak teri yaadon ke charaaghon se sajaayaa hai ise dil zaraa Thahre tiri raahguzar hone tak raat ki raat hai ye gham ki ijaara-daari phuul ban jaaeinge ye ashk sahar hone tak ab yahi bachcha bataaegaa tumhein har rasta ab yahi tukhm hi phal degaa shajar hone tak dil bhi un kaa hai nazar bhi hai jigar bhi un kaa ham idhar ke kahaan rah paae udhar hone tak gesu-e-shab ki ye afshaan bhi bikhar jaaegi niind aa jaaegi taaron ko sahar hone tak aaj 'faaruq' mohabbat mein aziyyat hai bahut raas aa jaaegi kal khun-e-jigar hone tak"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"har ik se ham kinaara chaahte hain ta'alluq bas tumhaaraa chaahte hain jo ik chehra mire pesh-e-nazar hai use dil mein utaaraa chaahte hain kaho to chaand ko muTThi mein le lein tiraa naazuk ishaara chaahte hain milein un se ki milnaa chhoD dein ham mukammal istikhaara chaahte hain ham apni aankhein kaise band kar lein musalsal ik nazaara chaahte hain samundar mein vo bhaTkeinge kahaan tak safine to kinaara chaahte hain vo jis ne tan-badan mein aag bhar di vahi raushan sitaara chaahte hain nahin ham chaahte hain tar nivaale qanaa'at se guzaara chaahte hain javaani ki jahaan tak saltanat hai vahaan apnaa ijaara chaahte hain ye aaina to hai dushman hamaaraa nayaa ik ruup dhaaraa chaahte hain miTaayaa jis ne hai 'faaruq' ham ko usi kaa ham sahaaraa chaahte hain"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"dil kaa haq yuun adaa kare koi dard ban kar rahaa kare koi dard mein kuchh kami si lagti hai zakhm phir se haraa kare koi pahle rakh le vo jaan hatheli par phir mohabbat kiyaa kare koi husn ki khud-supurdagi ke liye 'ishq ki intihaa kare koi mujh ko allaah par bharosa hai ho jo dushman huaa kare koi jaane kyaa kyaa ye kahtaa rahtaa hai kaise dil kaa kahaa kare koi jab vafaaon ki koi qadr nahin kyon kisi se vafaa kare koi chhin lein jo kisi ki binaai un ujaalon kaa kyaa kare koi rukh havaaon kaa dekh le pahle jab bhi raushan diyaa kare koi rakhe malhuz haq-bayaani ko shaa'iri jab kiyaa kare koi sab yahaan ajnabi se hain 'faaruq' kis ko apnaa kahaa kare koi"
Farooque AdilFarooque Adil

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi