Quote
"khud apne 'ilm ki aankhon mein be-parda nahin aataa bahut dekhaa hai apne aap ko lekin nahin dekhaa agar hogaa hamaaraa 'ilm apni zaat par zaaid mumayyaz khud-bakhud ho jaaegaa mashhud se shaahid 'adam kaa apne mujh ko 'ilm hai ‘ilm-e-‘adam kyaa hai faqat maa'dum kaa maa'lum honaa kuchh na honaa hai ye mahsusaat-o-mashhudaat-o-maa'lumaat kyaa shai hain tamaasha dekhne vaalon ke dam se sab tamaashe hain tan-e-be-jaan hai 'aalam zindagi ham ne 'ataa ki hai haqiqat apni ruuhi aur surat apni khaaki hai vo jaan huun jism ke ek ek zarre mein ravaan huun main nahin huun main kahaan farmaaiye huun to kahaan huun main vo ghuncha huun ki tajziyye ki raahein band hain mujh par vo nuqta huun ki jis ki sair hi kaunain kaa mehvar vo 'aalim huun ki apni 'ilm ki aankhon se ojhal huun azal se huun abad tak huun musalsal huun mukammal huun ye qaidein mere hone par makaanon ki zamaanon ki amaanat meri hone mein zaminon aasmaanon ki"
