SHAWORDS

saath bahti nadi ke dhaare se — Ain Irfan

HomeAin IrfanGhazal
"saath bahti nadi ke dhaare se guftugu kijiye nazaare se main ki duniyaa ki samt jaataa thaa us ne rokaa mujhe ishaare se aa giraa raushni kaa ik TukDaa mere ghar TuuT kar sitaare se thi zamin sukhne pe aamaada kyaa shikaayat ho abr-paare se din Dhalaa aur ghar ko lauT aae TuuTe TuuTe se haare haare se Dubti kashtiyon ke hamraahi jaa lage khud-bakhud kinaare se shab-bhar aakaash par chamakte hain din mein phirte hain maare-maare se"
Urdu

ساتھ بہتی ندی کے دھارے سے گفتگو کیجیے نظارے سے میں کہ دنیا کی سمت جاتا تھا اس نے روکا مجھے اشارے سے آ گرا روشنی کا اک ٹکڑا میرے گھر ٹوٹ کر ستارے سے تھی زمیں سوکھنے پہ آمادہ کیا شکایت ہو ابر پارے سے دن ڈھلا اور گھر کو لوٹ آئے ٹوٹے ٹوٹے سے ہارے ہارے سے ڈوبتی کشتیوں کے ہم راہی جا لگے خود بخود کنارے سے شب بھر آکاش پر چمکتے ہیں دن میں پھرتے ہیں مارے مارے سے

Hindi

साथ बहती नदी के धारे से गुफ़्तुगू कीजिए नज़ारे से मैं कि दुनिया की सम्त जाता था उस ने रोका मुझे इशारे से आ गिरा रौशनी का इक टुकड़ा मेरे घर टूट कर सितारे से थी ज़मीं सूखने पे आमादा क्या शिकायत हो अब्र-पारे से दिन ढला और घर को लौट आए टूटे टूटे से हारे हारे से डूबती कश्तियों के हमराही जा लगे ख़ुद-बख़ुद किनारे से शब-भर आकाश पर चमकते हैं दिन में फिरते हैं मारे-मारे से

saath bahtī nadī ke dhāre se
Ain Irfan
Ain Irfan
Ain Irfan
poet34 quotes

More by Ain Irfan

View all →
Quote
"har kisi se to mohabbat nahin hoti mujh se aur tabdil ye 'aadat nahin hoti mujh se apni vahshat kaa sabab khuub samajhtaa huun magar koi puchhe to vazaahat nahin hoti mujh se ik faqat vo hai miri saari kharaabi kaa sabab ik faqat us se shikaayat nahin hoti mujh se mujh ko har gaam pe rahti hai zarurat apni aur puuri ye zarurat nahin hoti mujh se tirgi thoDi bahut phir bhi main kar letaa huun raushni to kisi surat nahin hoti mujh se 'umr-dar-'umr yuun be-rang huaa jaataa huun apne rangon ki hifaazat nahin hoti mujh se"
Ain IrfanAin Irfan
Quote
"hamaaraa zikr jo aaya to yuun pukaaraa vo anaa-parast farebi sukhan kaa maaraa vo dhuein mein Dhaltaa huaa be-imaan dipak main falak-nashin chamaktaa huaa sitaaraa vo shab-e-visaal kaa tum maangte ho ham se hisaab magar jo vaqt tumhaare binaa guzaaraa vo 'ajib rishte ne baandhaa huaa hai donon ko main naqsh dhuup kaa shabnam kaa isti'aara vo samajh rahaa thaa jise main bas ek mauj-e-saraab jaDein ukhaaD gayaa meri tez dhaaraa vo na jaane kis ki nazar ko fareb detaa hai hamaari aankh se ojhal huaa nazaaraa vo jhalak rahaa thaa jo tasvir se miri 'irfaan' hai ek khvaab se mansub rang saaraa vo"
Ain IrfanAin Irfan

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb