SHAWORDS

sab ki aankhon mein jo samaayaa thaa — Abu Mohammad Sahar

"sab ki aankhon mein jo samaayaa thaa kaun thaa vo kahaan se aayaa thaa kis ne ki aaj pursish-e-ahvaal koi apnaa thaa yaa paraayaa thaa miT gae ham to ye huaa maalum bhuul kar koi muskuraayaa thaa ek lazzat thi khud-farebi mein varna kis ne fareb khaayaa thaa aa gaiin yaad phir vahi baatein kal ba-mushkil jinhein bhulaayaa thaa sab the aaseb-e-bazm ke maare ham pe tanhaaiyon kaa saayaa thaa umr guzri 'sahar' mohabbat mein ham ne dil kuchh ajiib paayaa thaa"
Urdu

سب کی آنکھوں میں جو سمایا تھا کون تھا وہ کہاں سے آیا تھا کس نے کی آج پرسش احوال کوئی اپنا تھا یا پرایا تھا مٹ گئے ہم تو یہ ہوا معلوم بھول کر کوئی مسکرایا تھا ایک لذت تھی خود فریبی میں ورنہ کس نے فریب کھایا تھا آ گئیں یاد پھر وہی باتیں کل بہ مشکل جنہیں بھلایا تھا سب تھے آسیب بزم کے مارے ہم پہ تنہائیوں کا سایا تھا عمر گزری سحرؔ محبت میں ہم نے دل کچھ عجیب پایا تھا

Hindi

सब की आँखों में जो समाया था कौन था वो कहाँ से आया था किस ने की आज पुर्सिश-ए-अहवाल कोई अपना था या पराया था मिट गए हम तो ये हुआ मालूम भूल कर कोई मुस्कुराया था एक लज़्ज़त थी ख़ुद-फ़रेबी में वर्ना किस ने फ़रेब खाया था आ गईं याद फिर वही बातें कल ब-मुश्किल जिन्हें भुलाया था सब थे आसेब-ए-बज़्म के मारे हम पे तन्हाइयों का साया था उम्र गुज़री 'सहर' मोहब्बत में हम ने दिल कुछ अजीब पाया था

sab kī āñkhoñ meñ jo samāyā thā
Abu Mohammad Sahar
Abu Mohammad Sahar
Abu Mohammad Sahar
poet34 quotes

More by Abu Mohammad Sahar

View all →
Quote
"har khauf har khatar se guzarnaa bhi sikhiye jiinaa hai gar aziiz to marnaa bhi sikhiye ye kyaa ki Duub kar hi mile saahil-e-najaat sailaab-e-khun se paar utarnaa bhi sikhiye aisaa na ho ki khvaab hi rah jaae zindagi jo dil mein Thaaniye use karnaa bhi sikhiye bigDe bahut kashaakash-e-naaz-o-niyaaz mein ab us ki anjuman mein sanvarnaa bhi sikhiye hotaa hai pastiyon ke muqaddar mein bhi uruuj ik mauj-e-tah-nashin kaa ubharnaa bhi sikhiye auron ki sard-mehri kaa shikva bajaa 'sahar' khud apne dil ko pyaar se bharnaa bhi sikhiye"
Abu Mohammad SaharAbu Mohammad Sahar
Quote
"khvaabon kaa nashsha hai na tamannaa kaa silsila ab rah gayaa hai bas gham-e-duniyaa kaa silsila aabaad duur duur hain viraan se kuchh maqaam ye bastiyaan hain yaa koi sahraa kaa silsila gardish mein jaan-o-dil hon to kyunkar mile sukun yaaro nahin ye saaghar-o-minaa kaa silsila do hi qadam chale the kisi ki talaash mein phir mil sakaa na naqsh-e-kaf-e-paa kaa silsila insaan ko silsilon se milegi najaat kyaa duniyaa ke baad hai abhi uqbaa kaa silsila apne vajud se bhi gile par huaa tamaam itnaa baDhaa shikaayat-e-bejaa kaa silsila ik shahr-e-tishna-kaam mein jiite hain yuun 'sahar' aataa hai roz khvaab mein dariyaa kaa silsila"
Abu Mohammad SaharAbu Mohammad Sahar
Quote
"kho ke dekhaa thaa paa ke dekh liyaa har tarah dil dikhaa ke dekh liyaa phir khule ibtidaa-e-ishq ke baab us ne phir muskuraa ke dekh liyaa yaad kuchh bhi rahaa na us ke sivaa ham ne us ko bhulaa ke dekh liyaa zindagi ne khushi ke dhoke mein rabt gham se baDhaa ke dekh liyaa aise bichhDe ki phir mile na kabhi khuub daaman chhuDaa ke dekh liyaa khvaab mubham khayaal be-maani ranj-e-duri uThaa ke dekh liyaa kitne biite dinon kaa gham thaa 'sahar' aaj jis ne rulaa ke dekh liyaa"
Abu Mohammad SaharAbu Mohammad Sahar
Quote
"ab tak ilaaj-e-ranjish-e-be-jaa na kar sake ik umr mein bhi husn ko apnaa na kar sake thi ek rasm-e-ishq so ham ne bhi ki adaa duniyaa mein koi kaam anokhaa na kar sake kal raat dil ke saath bujhe is tarah charaagh yaadon ke silsile bhi ujaalaa na kar sake ab is se kyaa gharaz hai ki anjaam kyaa huaa ye to nahin ki teri tamannaa na kar sake khud ishq hi ko de gae rusvaaiyon ke daagh vo raaz-e-husn ham jinhein ifshaa na kar sake zauq-e-junun ko raas nahin tang bastiyaan sahraa na ho to kyaa koi divaana kar sake har imtiyaaz us ke liye hech hai 'sahar' jo apni zindagi ko tamaashaa na kar sake"
Abu Mohammad SaharAbu Mohammad Sahar
Quote
"ye to nahin ki baadiya-paimaa na aaegaa ai dasht-e-aarzu koi ham saa na aaegaa chalnaa nasib-e-zist hai yuun hi chale chalo is raaste mein shahr-e-tamannaa na aaegaa raah-e-vafaa mein qatra-e-shabnam bhi hai bahut jis se bujhegi pyaas vo dariyaa na aaegaa khud ho sake to apne andhere ujaal lo ab koi saahab-e-yad-e-baizaa na aaegaa ai ahl-e-dil khamosh ki ye jaa-e-sabr hai dukh to yunhi raheinge masihaa na aaegaa gaahe vufur-e-shauq to gaahe hujum-e-yaas sab kuchh to aaegaa hamein jiinaa na aaegaa baiThe rahein 'sahar' yunhi divaar o dar liye apnaa jise kahein koi aisaa na aaegaa"
Abu Mohammad SaharAbu Mohammad Sahar

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari