SHAWORDS

sab ko paagal banaa rahi huun main — Himanshi Babra

HomeHimanshi BabraGhazal
"sab ko paagal banaa rahi huun main apnaa qissa sunaa rahi huun main jaan sanbhalti nahin hai aur us par yaad kaa bojh uThaa rahi huun main ji mein aataa hai puchh luun us se kyaa tujhe yaad aa rahi huun main ik mohabbat hai aur us kaa bhi kyaa tamaasha banaa rahi huun main kis ki yaadein hain baarhaa jin ko aansuon mein bahaa rahi huun main koi puchhe to us ko batlaaun yaad kaise chhupaa rahi huun main"
Urdu

سب کو پاگل بنا رہی ہوں میں اپنا قصہ سنا رہی ہوں میں جاں سنبھلتی نہیں ہے اور اس پر یاد کا بوجھ اٹھا رہی ہوں میں جی میں آتا ہے پوچھ لوں اس سے کیا تجھے یاد آ رہی ہوں میں اک محبت ہے اور اس کا بھی کیا تماشہ بنا رہی ہوں میں کس کی یادیں ہیں بارہا جن کو آنسوؤں میں بہا رہی ہوں میں کوئی پوچھے تو اس کو بتلاؤں یاد کیسے چھپا رہی ہوں میں

Hindi

सब को पागल बना रही हूँ मैं अपना क़िस्सा सुना रही हूँ मैं जाँ सँभलती नहीं है और उस पर याद का बोझ उठा रही हूँ मैं जी में आता है पूछ लूँ उस से क्या तुझे याद आ रही हूँ मैं इक मोहब्बत है और उस का भी क्या तमाशा बना रही हूँ मैं किस की यादें हैं बारहा जिन को आँसुओं में बहा रही हूँ मैं कोई पूछे तो उस को बतलाऊँ याद कैसे छुपा रही हूँ मैं

sab ko pāgal banā rahī huuñ maiñ
Himanshi Babra
Himanshi Babra
Himanshi Babra
poet19 quotes

More by Himanshi Babra

View all →
Quote
"tum aaoge numaaish-e-saamaan dekh kar kyon kaarobaar chhoD duun nuqsaan dekh kar nakhre uThaa rahi huun tumhaari talaash ke rukti nahin huun raastaa viraan dekh kar sochaa nahin thaa main ne kabhi tere jaisaa shakhs munh pher legaa mujh ko pareshaan dekh kar vo teraa lams vo tiri baahon ki khushbuein lauTi huun jaise koi gulistaan dekh kar tu laakh bevafaa hai magar sar uThaa ke chal dil ro paDegaa tujh ko pashemaan dekh kar jo kho gayaa thaa phir se kisi moD par milaa hairaan ho gayaa mujhe hairaan dekh kar zaahir na ho ki mujh se tiraa vaasta bhi hai sab ki nazar hai tujh pe miri jaan dekh kar"
Himanshi BabraHimanshi Babra

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb