SHAWORDS

sabaa gul-e-rez jaan-parvar fazaa hai — Bashir Farooq

HomeBashir FarooqGhazal
"sabaa gul-e-rez jaan-parvar fazaa hai ye mausam aur viraan mai-kada hai giraftaar-e-kham-o-kaakul hai koi gham-e-dauraan mein koi mubtalaa hai nahin hai bevafaai ki shikaayat tumhaari kam-nigaahi kaa gilaa hai rah-e-hasti se marg-e-naa-gahaan tak faqat do hi qadam kaa faasla hai ye duniyaa imtihaan-gaah-e-mohabbat ye duniyaa haasil-e-karb-o-balaa hai badal Daalaa nizaam-e-jaan-o-dil ko ye sab mere junun kaa hausla hai"
Urdu

صبا گل ریز جاں پرور فضا ہے یہ موسم اور ویراں مے کدہ ہے گرفتار خم و کاکل ہے کوئی غم دوراں میں کوئی مبتلا ہے نہیں ہے بے وفائی کی شکایت تمہاری کم نگاہی کا گلا ہے رہ ہستی سے مرگ ناگہاں تک فقط دو ہی قدم کا فاصلہ ہے یہ دنیا امتحاں گاہ محبت یہ دنیا حاصل کرب و بلا ہے بدل ڈالا نظام جان و دل کو یہ سب میرے جنوں کا حوصلہ ہے

Hindi

सबा गुल-ए-रेज़ जाँ-परवर फ़ज़ा है ये मौसम और वीराँ मय-कदा है गिरफ़्तार-ए-ख़म-ओ-काकुल है कोई ग़म-ए-दौराँ में कोई मुब्तला है नहीं है बेवफ़ाई की शिकायत तुम्हारी कम-निगाही का गिला है रह-ए-हस्ती से मर्ग-ए-ना-गहाँ तक फ़क़त दो ही क़दम का फ़ासला है ये दुनिया इम्तिहाँ-गाह-ए-मोहब्बत ये दुनिया हासिल-ए-कर्ब-ओ-बला है बदल डाला निज़ाम-ए-जान-ओ-दिल को ये सब मेरे जुनूँ का हौसला है

sabā gul-e-rez jāñ-parvar fazā hai
Bashir Farooq
Bashir Farooq
Bashir Farooq
poet21 quotes

More by Bashir Farooq

View all →
Quote
"firaaq-e-dost ke qaabil nahin hai vo dil jo khugar-e-mushkil nahin hai koi ye naa-khudaaon ko bataa de mohabbat mauj hai saahil nahin hai garebaan chaak hai apnaa na daaman abhi shaayad junun kaamil nahin hai hai manzil aur bhi manzil se aage ye manzil aakhiri manzil nahin hai bhalaa vo zindagi kyaa hai ki jis mein tiraa lutf-o-karam shaamil nahin hai khirad uljhi hui hai pech-o-kham mein junun shaaista-e-mahfil nahin hai mujhe Dar ham-navaaon se hai 'faaruq' mujhe andesha-e-baatil nahin hai"
Bashir FarooqBashir Farooq
Quote
"zabaan majbur hai lab par fughaan hai saraapaa dard meri daastaan hai nigaah-e-yaar bhi hai bad-gumaan si ghurur-e-husn bhi daaman-kashaan hai firaaq-e-dost kaa kyaa zikr aakhir visaal-e-yaar bhi dil par garaan hai yahaan par baat karnaa hai qayaamat vahaan fariyaad ki jurat kahaan hai miraa gham hai miraa sarmaaya-e-zist miraa har ashk meraa tarjumaan hai khumaar-aalud nazron mein hai jo kaif vo saaqi tere saaghar mein kahaan hai agar mai husn hai to ishq 'faaruq' khumaar-e-baada-e-shola-fishaan hai"
Bashir FarooqBashir Farooq
Quote
"takhliq-e-kaaenaat digar kar sake to kar paidaa khud apne shaam-o-sahar kar sake to kar phulon mein shab guzaarnaa mushkil nahin koi kaanTon pe koi raat basar kar sake to kar achchhaa nahin kisi ki tamannaa se khelnaa achchhaa yahi hai is se hazar kar sake to kar har ashk-e-khun hai makhzan-e-sarmaaya-e-hayaat har ashk-e-khun ko laal-o-gohar kar sake to kar taare maraahil-e-safar-e-shauq hi sahi taaron ko bhi sharik-e-safar kar sake to kar aql-o-khirad ke marhale tai kar liye to kyaa vahm-o-gumaan ke maarke sar kar sake to kar 'faaruq' ye bahaar-e-chaman phir na aaegi yaaraan-e-mai-kada ko khabar kar sake to kar"
Bashir FarooqBashir Farooq
Quote
"gham-e-bahaar mein raah-e-khizaan se guzre hain dilon ke qaafile har imtihaan se guzre hain junun ki raushni le kar nigaahbaan-e-hayaat hudud-e-zulmat-e-vahm-o-gumaan se guzre hain charaagh ban ke jale hain rah-e-tamannaa mein bahaar ban ke tire gulsitaan se guzre hain vahaan nigaah-e-talaatum pahunch nahin sakti sitam-kashon ke safine jahaan se guzre hain musaafiraan-e-haram ko khabar nahin ab tak balaa-kashaan-e-mohabbat kahaan se guzre hain tiri talaash mein dair-o-haram kaa zikr hi kyaa tiri talaash mein har aastaan se guzre hain hamein to un ke sitam bhi garaan nahin 'faaruq' mizaaj-e-naaz pe shikve garaan se guzre hain"
Bashir FarooqBashir Farooq
Quote
"dil kaa maqsum thaa mahv-e-gham-e-jaanaan honaa usi aaine se sikhe koi hairaan honaa apni hi anjuman-e-shauq mein ho naghma-saraa tang hai ghair ki mahfil mein ghazal-khvaan honaa zindagi kyaa hai tiri yaad tiraa zikr-e-jamil bandagi kyaa hai tire naam pe qurbaan honaa dil ye kahtaa hai pashemaan-e-mohabbat ho jaa dard kahtaa hai na minnat-kash-e-darmaan honaa un se itnaa na huaa pursish-e-gham hi karte ham se dekhaa na gayaa jin kaa pareshaan honaa mujh ko khush aa na sakaa ghairat-e-dini se faraar un ko raas aa gayaa ghaarat-gar-e-imaan honaa aashiqi zabt hai aur zabt hai raanaai-e-zist ishq ki shaan nahin chaak-garebaan honaa mujh ko un shokh nigaahon ne banaayaa kaafir jin ko manzur na thaa meraa musalmaan honaa haae us ashk-e-jigar-soz ki qismat 'faaruq' jis ki qismat na ho palkon pe farozaan honaa"
Bashir FarooqBashir Farooq

More on Dil

View all →
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi