"main giraan-baar thaa is vaaste kam-maaya thaa tujh ko kyon raundaa gayaa tu to faqat saaya thaa kal khulaa kitne dinon baa'd ye darvaaza-e-dil kal koi kitne dinon baa'd yahaan aayaa thaa baar baar uThti thiin aankhein miri khanjar ki taraf kitni mushkil se main shab khud ko bachaa paayaa thaa phir mire haath mein ik raushni dar aai thi main ne kuchh der kisi haath ko sahlaayaa thaa phir miri baat suni an-suni karne lage log main ne ik roz kisi baat ko dohraayaa thaa kal mire kamre mein mahkaar thi 'faisal' kyaa kyaa kal mire kamre mein phulon kaa khudaa aayaa thaa"
sadaa-e-kun hui yaksar vujud mein aayaa — Faisal Saghar
"sadaa-e-kun hui yaksar vujud mein aayaa main bhar chukaa to samundar vujud mein aayaa aur is se pahle yahaan kuchh nahin thaa kuchh bhi nahin ye mere dekhte manzar vujud mein aayaa khudaa ko shakl ki hasrat hui thi jis lamhe sunaa hai tab miraa paikar vujud mein aayaa use bataayaa thaa main ne main rang laataa nahin vo jaante hue banjar vujud mein aayaa ye log jis kaa tasavvur bhi kar nahin sakte vo mere vaaste aksar vujud mein aayaa vo TuT-phuT kisi kaam aa gai 'faisal' main pahle se kahin behtar vujud mein aayaa"
صدائے کن ہوئی یکسر وجود میں آیا میں بھر چکا تو سمندر وجود میں آیا اور اس سے پہلے یہاں کچھ نہیں تھا کچھ بھی نہیں یہ میرے دیکھتے منظر وجود میں آیا خدا کو شکل کی حسرت ہوئی تھی جس لمحے سنا ہے تب مرا پیکر وجود میں آیا اسے بتایا تھا میں نے میں رنگ لاتا نہیں وہ جانتے ہوئے بنجر وجود میں آیا یہ لوگ جس کا تصور بھی کر نہیں سکتے وہ میرے واسطے اکثر وجود میں آیا وہ ٹوٹ پھوٹ کسی کام آ گئی فیصلؔ میں پہلے سے کہیں بہتر وجود میں آیا
सदा-ए-कुन हुइ यकसर वुजूद में आया मैं भर चुका तो समंदर वुजूद में आया और इस से पहले यहाँ कुछ नहीं था कुछ भी नहीं ये मेरे देखते मंज़र वुजूद में आया ख़ुदा को शक्ल की हसरत हुई थी जिस लम्हे सुना है तब मिरा पैकर वुजूद में आया उसे बताया था मैं ने मैं रंग लाता नहीं वो जानते हुए बंजर वुजूद में आया ये लोग जिस का तसव्वुर भी कर नहीं सकते वो मेरे वास्ते अक्सर वुजूद में आया वो टूट-फूट किसी काम आ गई 'फ़ैसल' मैं पहले से कहीं बेहतर वुजूद में आया

More by Faisal Saghar
View all →"ise bhi rasm kaa hissa bataayaa jaataa hai hamein ghasiT ke baazaar laayaa jaataa hai to kyaa ba'id ki ham surkh-ru bhi ho jaaein hamaaraa zarf agar aazmaayaa jaataa hai guzishta 'ahd mein ham shahr se nikaale gae na-jaane ab ke hamein kyaa sunaayaa jaataa hai ab aise haal mein kyaa qahqahon ki farmaaish yahi bahut hai agar muskuraayaa jaataa hai tumhein to loriyaan shaayad sunaai jaati hon hamein to thapkiyaan de kar sulaayaa jaataa hai isi liye to mujhe raushni pasand nahin jahaan bhi jaaun mire saath saayaa jaataa hai"
"jo thaamte the miraa haath buDhe ho gae hain tabhi to mere khayaalaat buDhe ho gae hain ab is se baDh ke hamein aur aazmaaegaa kyaa ki chalte chalte tire saath buDhe ho gae hain hamaaraa bojh uThaane se ab gurezaan hain tumhaare arz-o-samaavaat buDhe ho gae hain safar mazid kareinge to gir paDeinge kahin ki aate-jaate ye din-raat buDhe ho gae hain jo mere sar ki safedi pe muskuraate the bas ek raat rahe saath buDhe ho gae hain main nasl-e-nau kaa ise almiya samajhtaa huun shajar javaan hain magar paat buDhe ho gae hain tumhaari samt se izn-e-kalaam miltaa nahin mire labon pe savaalaat buDhe ho gae hain"
"mujhe apne hi andar chor saa mahsus hotaa hai tujhe dekhun to koi dekhtaa mahsus hotaa hai tahayyur kaa ye 'aalam hai ki jis ko dekh kar guzrein palaT ke dekhiye to dusraa mahsus hotaa hai main andar se bahut khaali huun lekin tum bhi sachche ho ki meraa jism baahar se bharaa mahsus hotaa hai mire andar kisi shai ne bahut halchal machaai hai jahaan bhi baiThtaa huun zalzala mahsus hotaa hai magar ik 'umr lagti hai yahaan tak aane mein saahib jahaan nuqsaan mein bhi faaeda mahsus hotaa hai na jaane 'ishq ki ab kaun si manzil pe faaez huun jahaan main huun vahaan 'faisal' khudaa mahsus hotaa hai"
More on Sad
View all →"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
"jab se aayaa huun tere gaanv mein rang hi rang hain fazaaon mein aa ki dukh sukh ki koi baat karein baiTh kar shishamon ki chhaanv mein main bhi kartaa huun zabt ki koshish to bhi takhfif kar adaaon mein vo tiraa dafatan bichhaD jaanaa vo miraa dekhnaa khalaaon mein ho agar koi gosh-bar-aavaaz ik khamoshi bhi hai sadaaon mein yahi mere liye ghanimat hai saans le luun khuli fazaaon mein"
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
"phir bahaar aai hai phir josh mein saudaa hogaa zakhm-e-derinaa se phir khuun Tapaktaa hogaa biiti baaton ke vo naasur hare phir honge baat niklegi to phir baat ko rakhnaa hogaa yurishein kar ke umanD aaeingi suuni shaamein laakh bhaTkein kisi unvaan na saveraa hogaa ji ko samjhaaeinge matvaali havaa ke jhonke phir koi laakh sambhaale na sambhalnaa hogaa kaisi rut aai havaa chalti hai ji Doltaa hai ab to hansnaa bhi taDapne kaa bahaanaa hogaa TuuT jaaegaa ye laachaari-e-daaem kaa fusun aur is tarah ki jaise koi aataa hogaa dil dhaDakne ki sadaa aaegi sune-pan mein duur baadal kahin parbat pe garajtaa hogaa"