SHAWORDS

samundar sar paTak kar mar rahaa thaa — Fay Seen Ejaz

HomeFay Seen EjazGhazal
"samundar sar paTak kar mar rahaa thaa to main jiine ki koshish kar rahaa thaa kisi se bhi nahin thaa khauf mujh ko main apne aap hi se Dar rahaa thaa guzaarish vaqt se main ne na ki thi ki meraa zakhm khud hi bhar rahaa thaa hazaaron saal ki thi aag mujh mein ragaDne tak main ik patthar rahaa thaa tujhe us din ki choTein yaad hongi mujhe pahchaan, tere ghar rahaa thaa"
Urdu

سمندر سر پٹک کر مر رہا تھا تو میں جینے کی کوشش کر رہا تھا کسی سے بھی نہیں تھا خوف مجھ کو میں اپنے آپ ہی سے ڈر رہا تھا گزارش وقت سے میں نے نہ کی تھی کہ میرا زخم خود ہی بھر رہا تھا ہزاروں سال کی تھی آگ مجھ میں رگڑنے تک میں اک پتھر رہا تھا تجھے اس دن کی چوٹیں یاد ہوں گی مجھے پہچان، تیرے گھر رہا تھا

Hindi

समुंदर सर पटक कर मर रहा था तो मैं जीने की कोशिश कर रहा था किसी से भी नहीं था ख़ौफ़ मुझ को मैं अपने आप ही से डर रहा था गुज़ारिश वक़्त से मैं ने न की थी कि मेरा ज़ख़्म ख़ुद ही भर रहा था हज़ारों साल की थी आग मुझ में रगड़ने तक मैं इक पत्थर रहा था तुझे उस दिन की चोटें याद होंगी मुझे पहचान, तेरे घर रहा था

samundar sar paTak kar mar rahā thā
Fay Seen Ejaz
Fay Seen Ejaz
Fay Seen Ejaz
poet41 quotes

More by Fay Seen Ejaz

View all →
Quote
"baadal ki na be-naam navaazish ki taraf jaa is chhat se Tapakti hui baarish ki taraf jaa in honTon ki sukhi hui papDi ko nahin dekh honTon pe ubharti hui khvaahish ki taraf jaa ab tujh se bhi mujh ko koi ummid nahin hai beTe tu miri aakhiri khvaahish ki taraf jaa apne liye logon mein mohabbat ko nahin dekh tu apne khilaaf apni hi saazish ki taraf jaa ro-ro ke tire apne tujhe qatl kareinge jazbaat ki mat jhuTi numaaish ki taraf jaa jaa dekh tujhe kis tarah vo luuT rahaa hai ghaafil kabhi dushman ki rihaaish ki taraf jaa"
Fay Seen EjazFay Seen Ejaz
Quote
"duniyaa tujh se chand bundon ki savaali kyon baadal teri jholi itni khaali kyon itni phiki itni hai be-rang bahaar har Tahni har Daali khaali khaali kyon ik din us ki chhaati par chaDh baiThaa main puchhaa kyon detaa hai maan ki gaali kyon jin ki lakiron par bhi haq nahin bantaa kuchh niind uDaaein vo aankhein matvaali kyon ishq mein ik minnat kaa dhaaga baandhaa thaa yaadein chhoD gai marqad ki jaali kyon apne chehre bhi hain ghair nigaahon mein duniyaa tu ne itni dekhi-bhaali kyon ek khanak sunni thi chaae ki pyaali ki tu ne ye naazuk farmaaish Taali kyon barf ke jaise saare sutun the shishe ke ham ne un par apni imaarat Dhaali kyon ik gungaa saa rishta qaaem kar baiThin khiDki se do aankhein bholi-bhaali kyon"
Fay Seen EjazFay Seen Ejaz
Quote
"diyaa jalaa ke koi chaand par rakhaa hogaa usi ke saae mein vo ham ko DhunDhtaa hogaa koi to zid mein ye aa kar kabhi kahe ham se ye baat yuun nahin aise thi yuun huaa hogaa tumhaaraa ghar sar-e-mahtaab jo banaa Daale tumhaaraa beTaa nahin vo khudaa rahaa hogaa vo aankhein abr ki maanind ro rahi hongi vo ziina khvaab mein mahtaab par Tikaa hogaa ye kyaa zaruri hai aankhon mein der tak rahnaa khayaal aap hi tasvir ban gayaa hogaa sunahre pinjre ki apni hi haisiyat hogi parinda khush hai magar khuub chikhtaa hogaa kahaa hai ek nujumi ne tum miloge hamein zamin se chaand talak ek raasta hogaa khudaa kare ki bahut jald tum ko dekh aaein tumhaare ghar mein ab ik phuul khil uThaa hogaa"
Fay Seen EjazFay Seen Ejaz
Quote
"us ki har baat ne jaadu saa kiyaa thaa pahle kitnaa dilchasp kahaani kaa khudaa thaa pahle khvaab-lamha tiri khushbu mein basaa thaa pahle be-khabar niind mein ik phuul khilaa thaa pahle koi taasir thi jo gham ko bhulaa deti thi tere andar koi fankaar chhupaa thaa pahle ye badan ab tujhe be-ruh khanDar lagtaa hai is haveli mein ik insaan jiyaa thaa pahle vaqt par maut ki lazzat bhi nahin de paayaa mujh ko vo aadmi hiiraa hi lagaa thaa pahle ik sweater ne baDhaa di thi javaani meri tum ne mere liye ik khvaab bunaa thaa pahle main jo kahtaa thaa vahi baat huaa karti thi mere ghar mein koi jaadu kaa diyaa thaa pahle kaise aataa hai dabe paanv gunaahon kaa khayaal kitni khaamoshi se darvaaza khulaa thaa pahle jo bhi chehra thaa vo apnaa saa lagaa kartaa thaa mai-kada raqs mein jab jhuum rahaa thaa pahle uTh gayaa hai to ab is shahr ko le Dubegaa vahi tufaan mire andar jo dabaa thaa pahle"
Fay Seen EjazFay Seen Ejaz
Quote
"baghair naqshe ke saare makaan lagte hain ye jitne ghar hain qazaa ki dukaan lagte hain kabhi to sach kabhi bilkul gumaan lagte hain nafis log hain jaadu-bayaan lagte hain ye Thekedaar 'imaarat ke ye zamin vaale gire jo ghar to bahut be-zabaan lagte hain main un mein aaj bhi bachpan talaash kartaa huun main khush nahin huun jo bachche javaan lagte hain vo meraa bhaai nahin par vo koi vaar sahe miri bhi piiTh pe niile nishaan lagte hain qarib aaein to chhoTaa saa qad nikaalte hain ye log duur se kitne mahaan lagte hain"
Fay Seen EjazFay Seen Ejaz
Quote
"sabhi yuun roeinge to meraa ronaa kaun dekhegaa sambhaalo dosto khud ko corona kaun dekhegaa idhar qahr-e-khudaavandi udhar aThkheliyaan un ki siyaasi logon kaa ye jaadu-Tonaa kaun dekhegaa hamesha ek hi manzar ye T-v band kar Daalo karoDon logon kaa ye ronaa-dhonaa kaun dekhegaa maqaam-e-khairiyat vo ho jahaan aa kar koi puchhe tu jis goshe mein rotaa hai vo konaa kaun dekhegaa are kam-bakht tu curfew mein bhi ghar nahin jaataa sahaafi teraa akhbaari bichhaunaa kaun dekhegaa agar qudrat na ho to kaam ye mumkin nahin hotaa ghazal mein aisi baaton kaa samonaa kaun dekhegaa hamein mahfuz rakhnaa tu zamaane ki balaaon se khudaa jab ham na honge teraa honaa kaun dekhegaa"
Fay Seen EjazFay Seen Ejaz

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari