Quote
"suraj se bhi aage kaa jahaan dekh rahaa hai is daur kaa insaan kahaan dekh rahaa hai haalaat ne jis ke sabhi par kaaT diye hain vo aaj bhi manzil kaa nishaan dekh rahaa hai ayyaar bahut hai yahaan takhrib kaa mojid vo barf ke jangal mein dhuaan dekh rahaa hai ik roz pakaD legaa vo qaatil kaa garebaan jo vaqt ki raftaar zabaan dekh rahaa hai sadiyon ke taalluq kaa ye ehsaas hai shaayad sahraa mein haqiqat ko ayaan dekh rahaa hai is sar-phire mausam kaa bharosa nahin 'saaqib' maahaul kaa sab baar-e-garaan dekh rahaa hai"
