SHAWORDS

sataataa vo agar fitrat se haT ke — Mohsin Asrar

HomeMohsin AsrarGhazal
"sataataa vo agar fitrat se haT ke to patthar maartaa main bhi palaT ke jo main ne intizaar-e-yaar khinchaa miraa ghar ban gai duniyaa simaT ke bahut kuchh hai nafas ki anjuman mein magar main ji rahaa huun sab se haT ke main un khaamoshiyon mein rah rahaa huun jahaan aati hain aavaazein palaT ke diye ki lau zaraa jo Dagmagaai zamin par aasmaan aayaa jhapaT ke ye sach hai main vahi huun tu vahi hai magar ab saans le kuchh duur haT ke guzaaraa din mashaqqat karte karte guzaari raat patthar se lipaT ke tire baare mein soche jaa rahaa huun magar ab lag rahe hain dil ko jhaTke"
Urdu

ستاتا وہ اگر فطرت سے ہٹ کے تو پتھر مارتا میں بھی پلٹ کے جو میں نے انتظار یار کھینچا مرا گھر بن گئی دنیا سمٹ کے بہت کچھ ہے نفس کی انجمن میں مگر میں جی رہا ہوں سب سے ہٹ کے میں ان خاموشیوں میں رہ رہا ہوں جہاں آتی ہیں آوازیں پلٹ کے دیے کی لو ذرا جو ڈگمگائی زمیں پر آسماں آیا جھپٹ کے یہ سچ ہے میں وہی ہوں تو وہی ہے مگر اب سانس لے کچھ دور ہٹ کے گزارا دن مشقت کرتے کرتے گزاری رات پتھر سے لپٹ کے ترے بارے میں سوچے جا رہا ہوں مگر اب لگ رہے ہیں دل کو جھٹکے

Hindi

सताता वो अगर फ़ितरत से हट के तो पत्थर मारता मैं भी पलट के जो मैं ने इंतिज़ार-ए-यार खींचा मिरा घर बन गई दुनिया सिमट के बहुत कुछ है नफ़स की अंजुमन में मगर मैं जी रहा हूँ सब से हट के मैं उन ख़ामोशियों में रह रहा हूँ जहाँ आती हैं आवाज़ें पलट के दिए की लौ ज़रा जो डगमगाई ज़मीं पर आसमाँ आया झपट के ये सच है मैं वही हूँ तू वही है मगर अब साँस ले कुछ दूर हट के गुज़ारा दिन मशक़्क़त करते करते गुज़ारी रात पत्थर से लिपट के तिरे बारे में सोचे जा रहा हूँ मगर अब लग रहे हैं दिल को झटके

satātā vo agar fitrat se haT ke
Mohsin Asrar
Mohsin Asrar
Mohsin Asrar
poet50 quotes

More by Mohsin Asrar

View all →
Quote
"mujhe malaal bhi us ki taraf se hotaa hai magar ye haal bhi us ki taraf se hotaa hai main TuTtaa bhi huun aur khud hi juD bhi jaataa huun ki ye kamaal bhi us ki taraf se hotaa hai pukaartaa bhi vahi hai mujhe safar ke liye safar muhaal bhi us ki taraf se hotaa hai javaab detaa hai mere har ik savaal kaa vo magar savaal bhi us ki taraf se hotaa hai vo mere haal se mujh ko hi be-khabar kar de ye ehtimaal bhi us ki taraf se hotaa hai main us ke hijr mein kyuun TuuT kar nahin royaa ye ik savaal bhi us ki taraf se hotaa hai jab aagahi mujhe gumraah karti hai 'mohsin' junun bahaal bhi us ki taraf se hotaa hai"
Mohsin AsrarMohsin Asrar
Quote
"der se so kar uThne vaalo taDpo lekin shor na ho tum ko haq hai aainon ko toDo lekin shor na ho ham-saae kaa sukh to us ke khvaab kaa puuraa honaa hai tum par riqqat taari ho to ro lo lekin shor na ho shaam Dhale parvaaz simaT kar shaakhon par aa jaati hai apni aankhein raahguzar mein rakkho lekin shor na ho divaane bhi ahl-e-samaaat ki khidmat kar sakte hain dil honTon par aa jaae to bolo lekin shor na ho 'mohsin' kis ko fursat hai jo tesha le kar aae yahaan apne but ko apne haath se toDo lekin shor na ho"
Mohsin AsrarMohsin Asrar
Quote
"guzar chukaa hai zamaana visaal karne kaa ye koi vaqt hai tere kamaal karne kaa buraa na maan jo pahlu badal rahaa huun main miraa tariqa hai ye arz-e-haal karne kaa mujhe udaas na kar varna saakh TuTegi nahin hai tajraba mujh ko malaal karne kaa talaash kar mire andar vajud ko apne iraada chhoD mujhe paaemaal karne kaa ye ham jo ishq mein bimaar paDte rahte hain ye ik sabab hai taalluq bahaal karne kaa ajiib shakhs thaa lauTaa gayaa miraa sab kuchh muaavza na liyaa dekh-bhaal karne kaa phir is ke baad hamesha hi chup rahe 'mohsin' khiraaj denaa paDaa arz-e-haal karne kaa"
Mohsin AsrarMohsin Asrar
Quote
"kaar-e-aasaan ko dushvaar banaa jaataa hai vaahima koi bhi ho kaam dikhaa jaataa hai khulne lagte hain nigaahon pe jab asraar-o-rumuz dil mujhe le ke kahin aur chalaa jaataa hai ghar mein rahnaa miraa goyaa use manzur nahin jab bhi aataa hai nayaa kaam bataa jaataa hai saada rakhne se sadaa detaa hai qirtaas mujhe lafz likh duun to miri saakh giraa jaataa hai ishq ne aisaa banaayaa hai jahaan-daar mujhe har khasaara miri sochon mein samaa jaataa hai aao ham pahle taalluq ko samajh lein 'mohsin' ranjishein hon to maraasim kaa mazaa jaataa hai"
Mohsin AsrarMohsin Asrar
Quote
"khvaab ko surat-e-haalaat banaa jaataa hai dil ko aanaa ho to be-vaqt bhi aa jaataa hai ho ke naaraaz na jaae koi mehmaan varna ghar se vasf-e-dar-o-divaar chalaa jaataa hai aankh se aankh milaanaa to sukhan mat karnaa Tok dene se kahaani kaa mazaa jaataa hai Thiik kahte ho ki aaseb-zada hotaa hai ishq mere andar bhi koi shor machaa jaataa hai pyaar aa jaae to phir pyaar hi kiije varna jis tarah aataa hai us tarah chalaa jaataa hai main to har faisla hi kartaa huun apne haq mein par koi adl ki zanjir hilaa jaataa hai umr-e-rafta mein tujhe yaad kahaan kartaa huun bas zaraa yuun hi tiraa dhyaan saa aa jaataa hai koi paagal mujhe kahtaa hai to kyaa hai 'mohsin' ek paagal ko to paagal hi kahaa jaataa hai"
Mohsin AsrarMohsin Asrar

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud