SHAWORDS

shab-e-firaaq ke baare mein aur kyaa kahiye — Khizr Abbas

HomeKhizr AbbasGhazal
"shab-e-firaaq ke baare mein aur kyaa kahiye kisi faqir ki maqbul badduaa kahiye har ek shakhs hai apni hi zaat mein gum-sum koi bataae kise kis kaa mubtalaa kahiye is e'tiqaad ke sadqe na kyon bhalaa jaaein jo shakhs but bhi nahin hai use khudaa kahiye ajal ki samt sabhi log hain ravaan yaani use bhi zindagi kaa koi raasta kahiye kisi kaa aks-e-haqiqi nahin dikhaataa hai is aaine ko bhalaa kaise aaina kahiye main apne taur se kartaa huun baat dil ki 'khizar' adaa-e-ghair se kyaa dil kaa muddaaa kahiye"
Urdu

شب فراق کے بارے میں اور کیا کہیے کسی فقیر کی مقبول بد دعا کہیے ہر ایک شخص ہے اپنی ہی ذات میں گم صم کوئی بتائے کسے کس کا مبتلا کہیے اس اعتقاد کے صدقے نہ کیوں بھلا جائیں جو شخص بت بھی نہیں ہے اسے خدا کہیے اجل کی سمت سبھی لوگ ہیں رواں یعنی اسے بھی زندگی کا کوئی راستہ کہیے کسی کا عکس حقیقی نہیں دکھاتا ہے اس آئنے کو بھلا کیسے آئنہ کہیے میں اپنے طور سے کرتا ہوں بات دل کی خضرؔ ادائے غیر سے کیا دل کا مدعا کہیے

Hindi

शब-ए-फ़िराक़ के बारे में और क्या कहिए किसी फ़क़ीर की मक़्बूल बद-दुआ' कहिए हर एक शख़्स है अपनी ही ज़ात में गुम-सुम कोई बताए किसे किस का मुब्तला कहिए इस ए'तिक़ाद के सदक़े न क्यों भला जाएँ जो शख़्स बुत भी नहीं है उसे ख़ुदा कहिए अजल की सम्त सभी लोग हैं रवाँ या'नी उसे भी ज़िंदगी का कोई रास्ता कहिए किसी का अक्स-ए-हक़ीक़ी नहीं दिखाता है इस आइने को भला कैसे आइना कहिए मैं अपने तौर से करता हूँ बात दिल की 'ख़िज़र' अदा-ए-ग़ैर से क्या दिल का मुद्दआ कहिए

shab-e-firāq ke baare meñ aur kyā kahiye
Khizr Abbas
Khizr Abbas
Khizr Abbas
poet11 quotes

More by Khizr Abbas

View all →
Quote
"jo tire husn ke qarin se gae vo to duniyaa samet diin se gae vo ki rahtaa thaa jin makaanon mein ab vo saare makaan makin se gae hausla is qadar kahaan sab mein ham tire ishq-e-be-yaqin se gae maut aai hamein tire dar par ham gae bhi to aafrin se gae ik tiraa but taraashne ke liye kitne sajde miri jabin se gae jis jagah qais kaa Thikaana thaa aaj ushshaaq sab vahin se gae us zamin-zaad ki jhalak ke liye kis qadar aasmaan zamin se gae aastin kyaa gai 'khizar' meri saare ahbaab aastin se gae"
Khizr AbbasKhizr Abbas
Quote
"aadmi shahr se nikaltaa hai qatra ab bahr se nikaltaa hai is qadar nafraton ki aadat hai dam miraa mahr se nikaltaa hai jo tire ishq mein hai mahv-e-raqs vo kab is lahr se nikaltaa hai hai pasand dhuup mein use rahnaa dil tire sehr se nikaltaa hai aap ab khvaab mein nahin aate khvaab ab qahr se nikaltaa hai is qadar khauf hai ki suraj bhi aaj dopahr se nikaltaa hai zindagi dekhti hai hairat se kaam jab zahr se nikaltaa hai khuun farhaad kaa hai ye varna duudh kab nahr se nikaltaa hai aankh mein ashk hain 'khizar' mere chashma ab dahr se nikaltaa hai"
Khizr AbbasKhizr Abbas
Quote
"har ek dard sanbhaalaa hai zindagaani mein jhalak rahaa hai buDhaapaa tabhi javaani mein mujhe to dhuup se bhi is qadar na khauf aaya milaa hai khauf jo ab teri saaebaani mein kabhi piyaa gayaa us ko kabhi bahaayaa gayaa koi bhi farq na thaa khuun aur paani mein use nazar ki bhalaa kaun si kahun manzil dikhaai dene lagaa zard rang dhaani mein zabaan-daraaz to Thahre magar yahi sach thaa luTaa hai shahr ye teri hi paasbaani mein milaa na qatra-e-aab-e-baqaa samundar se mili hai maut hamein shahr-e-jaavedaani mein ganvaa ke umr jise ham sanbhaal laae the ganvaa diyaa use ik baat ki ravaani mein rukaavaTein hain ye raste ki ai 'khizar' naadaan jinhein tu manzilein samjhaa hai be-dhiyaani mein"
Khizr AbbasKhizr Abbas
Quote
"ye jahaan-e-rang-o-bu apni jagah aur tujh se guftugu apni jagah teri nisbat se lagi baad-e-sabaa shahr tere chalti lu apni jagah kis tarah de duun fazilat ek ko ishq meraa aur tu apni jagah hai miri khvaahish ki tu hanstaa rahe zakhm mere be-rafu apni jagah hain bahut kaafir tire naaz-o-adaa aankh meri baa-vuzu apni jagah har jagah tu khud nahin ai rashk-e-maah husn teraa chaar-su apni jagah muskuraahaT se tiri mahkaa chaman sab khile phulon ki bu apni jagah ishq ko bakhshi hai kitni aabru qais khud be-aabru apni jagah teri chaahat kaa bhi hai apnaa maqaam aur khud ki justuju apni jagah khaak mein main mil gayaa tere liye vo meraa jazb-e-numu apni jagah har taraf saae hi saae the 'khizar' par tire saae ki khu apni jagah"
Khizr AbbasKhizr Abbas
Quote
"samundaron ki tarah be-kanaar hone ki kahin to rasm chale be-shumaar hone ki har ek shakhs ki khvaahish qadam rakhe mujh par sazaa mili hai tiri rahguzaar hone ki main daastaan-e-alamnaak kah nahin saktaa ye ruuh daakhil-e-musht-e-ghubaar hone ki kisi bhi rut mein yahaan phuul ab nahin khilte yahi sabab hai garebaan ke taar hone ki main vo ghaDi bhi tumhaare nisaar kar aaya jo ik ghaDi thi hamaare shumaar hone ki zamin pe halqa-e-lail-o-nahaar hai qaaem nishaani hai ye tire intizaar hone ki ye kaar-zaar-e-jahaan mein jo zindagi hai 'khizar' ye daastaan hai khudaa se faraar hone ki"
Khizr AbbasKhizr Abbas

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari