SHAWORDS

shaikh saahib jo dar-e-pir-e-mughaan se nikle — Ateeq Ali Aatif

"shaikh saahib jo dar-e-pir-e-mughaan se nikle phir asar un ki du'aaon mein kahaan se nikle jaise sho'la saa koi un ki zabaan se nikle lafz nikle ki koi tiir kamaan se nikle vo yahaan se ki vahaan se ki vahaan se nikle dekhne vaale ye kahte the kahaan se nikle vo jo baste the mire dil mein baDi muddat se utre nazron se vo aur dil ke makaan se nikle muddaton se the jo khaamosh vahi bol paDe saikDon lafz achaanak se zabaan se nikle saath kuchh bhi na gayaa daulat-o-‘izzat shohrat haath khaali hi vo 'aatif' ye jahaan se nikle"
Urdu

شیخ صاحب جو در پیر مغاں سے نکلے پھر اثر ان کی دعاؤں میں کہاں سے نکلے جیسے شعلہ سا کوئی ان کی زباں سے نکلے لفظ نکلے کہ کوئی تیر کماں سے نکلے وہ یہاں سے کہ وہاں سے کہ وہاں سے نکلے دیکھنے والے یہ کہتے تھے کہاں سے نکلے وہ جو بستے تھے مرے دل میں بڑی مدت سے اترے نظروں سے وہ اور دل کے مکاں سے نکلے مدتوں سے تھے جو خاموش وہی بول پڑے سیکڑوں لفظ اچانک سے زباں سے نکلے ساتھ کچھ بھی نہ گیا دولت و عزت شہرت ہاتھ خالی ہی وہ عاطفؔ یہ جہاں سے نکلے

Hindi

शैख़ साहिब जो दर-ए-पीर-ए-मुग़ाँ से निकले फिर असर उन की दु'आओं में कहाँ से निकले जैसे शो'ला सा कोई उन की ज़बाँ से निकले लफ़्ज़ निकले कि कोई तीर कमाँ से निकले वो यहाँ से कि वहाँ से कि वहाँ से निकले देखने वाले ये कहते थे कहाँ से निकले वो जो बस्ते थे मिरे दिल में बड़ी मुद्दत से उतरे नज़रों से वो और दिल के मकाँ से निकले मुद्दतों से थे जो ख़ामोश वही बोल पड़े सैकड़ों लफ़्ज़ अचानक से ज़बाँ से निकले साथ कुछ भी न गया दौलत-ओ-‘इज़्ज़त शोहरत हाथ ख़ाली ही वो 'आतिफ़' ये जहाँ से निकले

shaiḳh sāhib jo dar-e-pīr-e-muġhāñ se nikle
Ateeq Ali Aatif
Ateeq Ali Aatif
Ateeq Ali Aatif
poet8 quotes

More by Ateeq Ali Aatif

View all →
Quote
"chalaa un kaa jaadu magar rafta rafta huaa ham pe un kaa asar rafta rafta pareshaan hue vo udhar rafta rafta taDapte rahe ham idhar rafta rafta kiyaa 'ishq ne un ke phir mujh ko ghaayal huaa meraa chhalni jigar rafta rafta taDap kar hi guzri hain furqat ki raatein hui 'ishq ki phir sahar rafta rafta taDap uTh rahi hai yahaan donon jaanib idhar rafta rafta udhar rafta rafta miraa kaam hai biij bonaa to bo luun yaqinan lageinge samar rafta rafta nayaa raastaa 'ishq kaa hai ye 'aatif' chalo is pe tum bhi magar rafta rafta"
Ateeq Ali AatifAteeq Ali Aatif
Quote
"thaa nisf un kaa aur vo puuraa liye hue baiThe hain mere hisse kaa hissa liye hue aankhon mein apni saaghar-o-minaa liye hue chaDh jaae bin piye hi vo nashsha liye hue tanhaaiyaan sameT ke baiThe hain ham khamosh jaise ki koi kuuze mein dariyaa liye hue mohsin hain mere yaa ki hain dushman nahin khabar vo ghumte hain chehre pe chehra liye hue gardish hamaare saamne aati hai din-ba-din vo hi puraanaa roz kaa qissa liye hue karne ko qatl meraa hain bechain kis qadar naagin ho jaise aankh mein badlaa liye hue ik roz maut ko hi lagaa leinge ham gale jiine ki dil mein yunhi tamanna liye hue 'aatif' se pyaar hai unhein shaayad isi liye baiThe hain us kaa bazm mein charchaa liye hue"
Ateeq Ali AatifAteeq Ali Aatif
Quote
"chhoDiye daaghon ko aaina badal kar dekhein aao ab aur nayaa chehra badal kar dekhein aap batlaaiye ki kitnaa badal kar dekhein kho dein pahchaan hi kyaa itnaa badal kar dekhein vo ye kahtaa hai ki qismat mein tiri pyaar nahin dil ye kahtaa hai ki ab totaa badal kar dekhein narm lahje mein use dekh liyaa samjhaa kar aao ab ham bhi zaraa lahja badal kar dekhein kitnaa badle hain tujhe paane ki ummid mein ham kyaa kami rah gai aur kitnaa badal kar dekhein dost ahbaab nazar ab nahin aate mere aisaa lagtaa hai unhein chashma badal kar dekhein Thokarein khaa liye ab thoDaa sanbhal jaate hain aao 'aatif' ki chalo rastaa badal kar dekhein"
Ateeq Ali AatifAteeq Ali Aatif
Quote
"thiin ghazaal si aankhein morni si laDki thi khushbuon ki saudaai sandali si laDki thi dil ke sehn-e-gulshan mein ik kali si laDki thi par zaraa si naadaan thi baavli si laDki thi chaand main kahun us ko yaa ke chaandni kah duun khvaab mein jo aati thi chaandni si laDki thi phuul bhi kahun us ko raushni bhi likh duun main pankhuDi si laDki thi phuljhaDi si laDki thi paas se vo guzri to dil hi le gai meraa mujh ko kar gai paagal saanvli si laDki thi tiir us ne nazron ke aise mujh pe pheinke ki kar gai mujhe ghaayal vo chhuri si laDki thi chaashni si ghulti thi jab vo gungunaati thi raagni si laDki thi baansuri si laDki thi us ko dekhaa mahfil mein aur dil hi de baiThaa phir nazar na aai vo ajnabi si laDki thi jaa rahaa thaa raste se to mujhe nazar aai haal main ne puchhaa vo ik Dari si laDki thi vo zaraa si naT-khaT thi khuub tang karti thi man-chali si laDki thi chulbuli si laDki thi khuub ghazlein likhte ho us ke baare mein 'aatif' kyaa koi pari thi vo yaa pari si laDki thi"
Ateeq Ali AatifAteeq Ali Aatif
Quote
"zulf ke sanvarne mein der kitni lagti hai aur phir bikharne mein der kitni lagti hai aadmi bulandi pe dhire dhire jaataa hai haan magar utarne mein der kitni lagti hai maantaa huun ye baatein us ne hi kahin lekin baat se mukarne mein der kitni lagti hai us kaa dil jo TuuTaa to phir use samajh aayaa dil ke zakhm bharne mein der kitni lagti hai baat ke banaane mein vaqt kitnaa lagtaa hai baat ko katarne mein der kitni lagti hai ik zamaana lagtaa hai dil talak pahunchne mein dil se par utarne mein der kitni lagti hai vaqt sab kaa aataa hai achchhaa yaa buraa 'aatif' vaqt ke guzarne mein der kitni lagti hai"
Ateeq Ali AatifAteeq Ali Aatif
Quote
"khun-e-jigar ko ghazlon mein tum apni Dhaal ke kyaa she'r kah rahe ho ai 'aatif' kamaal ke jo ab guzar gayaa hai use bhul-bhaal ke aao talaashein qissa koi ab ke saal ke khushiyaan tamaam meri hi jholi mein Daal ke vo chal diye hain husn kaa sadqa nikaal ke dekheinge ham qarib se mauqa' agar milaa charche bahut sune tire husn-o-jamaal ke izhaar kar sake na mohabbat kaa apni ham lekin rakhe hain khat vo puraane sanbhaal ke aaegaa vaqt dekhnaa ek din zarur ye do do javaab deinge ham ik ik savaal ke main sochtaa huun har ghaDi 'aatif' yahi savaal din hain mire 'uruj ke yaa hain zavaal ke"
Ateeq Ali AatifAteeq Ali Aatif

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud