SHAWORDS

shukr-e-rab hai ki bas amaan mein huun — Rahat Sultana

HomeRahat SultanaGhazal
"shukr-e-rab hai ki bas amaan mein huun kin duaaon ke saaebaan mein huun par hain bhige hue uDaan mein huun vaqt ke sakht imtihaan mein huun aaj bhi ajnabi hai har apnaa jab ki barson se khaandaan mein huun pattharon ne sukun chhin liyaa jab se main kaanch ke makaan mein huun kyaa judaai kaa aur ho imkaan tere dil mein huun teri jaan mein huun ghar ki taarif kyaa karun raahat main to muddat se ik makaan mein huun"
Urdu

شکر رب ہے کہ بس امان میں ہوں کن دعاؤں کے سائبان میں ہوں پر ہیں بھیگے ہوئے اڑان میں ہوں وقت کے سخت امتحان میں ہوں آج بھی اجنبی ہے ہر اپنا جب کہ برسوں سے خاندان میں ہوں پتھروں نے سکون چھین لیا جب سے میں کانچ کے مکان میں ہوں کیا جدائی کا اور ہو امکاں تیرے دل میں ہوں تیری جان میں ہوں گھر کی تعریف کیا کروں راحت میں تو مدت سے اک مکان میں ہوں

Hindi

शुक्र-ए-रब है कि बस अमान में हूँ किन दुआओं के साएबान में हूँ पर हैं भीगे हुए उड़ान में हूँ वक़्त के सख़्त इम्तिहान में हूँ आज भी अजनबी है हर अपना जब कि बरसों से ख़ानदान में हूँ पत्थरों ने सुकून छीन लिया जब से मैं काँच के मकान में हूँ क्या जुदाई का और हो इम्काँ तेरे दिल में हूँ तेरी जान में हूँ घर की तारीफ़ क्या करूँ राहत मैं तो मुद्दत से इक मकान में हूँ

shukr-e-rab hai ki bas amaan meñ huuñ
Rahat Sultana
Rahat Sultana
Rahat Sultana
poet6 quotes

More by Rahat Sultana

View all →
Quote
"raat to shauq se sunti hai kahaani meri din kahaan suntaa hai aashufta-bayaani meri dil to kahtaa hai ki main karti rahun sair-e-jahaan roz hoti hi rahe naql-e-makaani meri ab to khair aur bhi hain chaahne vaale lekin maan ki ulfat hai magar sab se puraani meri laaj rakkhi hai duaaon ki mire maalik ne us ne jab dekhi hai ashkon ki ravaani meri maanavi bhi hai haqiqi bhi hai meri aulaad baaqi rah jaaegi duniyaa mein nishaani meri ashk-e-gham piite hue main ne guzaarin raatein is bulandi pe hai ab tishna-dahaani meri itnaa masruf rakhaa hai mire maalik ne mujhe main sunaaun to bhalaa kaise kahaani meri usi college ki fazaaon ne bulaayaa hai mujhe jis mein paDhte hue guzri hai javaani meri giit us ke hi sunaataa hai sadaa vo 'raahat' dil ne mere to kabhi baat na maani meri"
Rahat SultanaRahat Sultana
Quote
"ashk aankhon ke liye hai aur gham dil ke liye ik samundar ke liye hai ek saahil ke liye ham-safar azm-e-safar ho to safar aasaan hai raaste khud raasta dete hain manzil ke liye hal hui mushkil miri yuun jaise mushkil hi na thi di sadaa mushkil-kushaa ko jab bhi mushkil ke liye masale hi masale hain jis taraf bhi jaaiye log sanjida nahin shaayad masaail ke liye sab ko bairuni ujaalon hi ki khvaahish hai yahaan maangtaa koi nahin ab raushni dil ke liye is qadar ehsaas ghurbat kaa nahin hotaa hamein gar hamaare paas hotaa kuchh bhi saail ke liye khvaahishon ke hasraton ke aarzu ke dard ke sainkaDon mausam bane 'raahat' mire dil ke liye"
Rahat SultanaRahat Sultana
Quote
"dil mein rahtaa thaa mire jo kabhi dhaDkan ki tarah ab miri aankh mein rahtaa hai vo saavan ki tarah kaun aaya hai bahaarein liye meri jaanib meraa ehsaas mahakne lagaa chandan ki tarah kisi bachche ki tarah ab bhi machaltaa hai dil haal apnaa hai javaani mein bhi bachpan ki tarah main ne rakkhaa na kabhi bughz-o-kudurat dil mein dil miraa saaf hai shaffaaf hai darpan ki tarah zehn mein phaili hai afkaar ke phulon ki mahak hai miraa dil ye mahakte hue gulshan ki tarah dil ke darvaaze ko hargiz na muqaffal kiije is ko vaa rakhiye hamesha kisi aangan ki tarah apne bandon se use pyaar hai kitnaa 'raahat' dil mein rahtaa hai mire apne hi maskan ki tarah"
Rahat SultanaRahat Sultana

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud