Quote
"tumhaaraa gham hi to jiine kaa ik bahaana hai isi charaagh se raushan gharib-khaana hai mire qadam to kinaaron se bair rakhte hain miraa to 'azm samundar ke paar jaanaa hai tire khayaal ke zaanu pe rakh rahaa huun sar thakan se chuur badan ko sukun paanaa hai yahi savaal havaaon se puchhtaa huun main safar kahaan kaa hai kis kaa diyaa bujhaanaa hai hai aur baat ki uThtaa nahin dhuaan varna dilon kaa aag se rishta bahut puraanaa hai ye maslahat hai miyaan sab ko sab nahin miltaa kahin sanad hai kahin 'ilm kaa khazaana hai mire shu'ur ne shaa'ir banaa diyaa mujh ko 'faraaz' varna kise khun-e-dil jalaanaa hai"
