SHAWORDS

simaT gai to shabnam phuul sitaara thi — Azra Parveen

HomeAzra ParveenGhazal
"simaT gai to shabnam phuul sitaara thi biphar ke meri lahar lahar angaara thi kal tiri khvaahish kab itni banjaari thi tu sar-taa-paa aankh thaa main nazzaara thi main ki junun ke paron pe uDti khushbu thi rang rang ke aakaar mein Dhaltaa paara thi main dharti huun use yahi bas yaad rahaa bhuul gayaa main aur bhi ik sayyaara thi tu hi to izn thaa tu hi anjaam huaa tiraa bichhaDnaa aur main paara paara thi"
Urdu

سمٹ گئی تو شبنم پھول ستارہ تھی بپھر کے میری لہر لہر انگارہ تھی کل تری خواہش کب اتنی بنجاری تھی تو سرتاپا آنکھ تھا میں نظارہ تھی میں کہ جنوں کے پروں پہ اڑتی خوشبو تھی رنگ رنگ کے آکار میں ڈھلتا پارہ تھی میں دھرتی ہوں اسے یہی بس یاد رہا بھول گیا میں اور بھی اک سیارہ تھی تو ہی تو اذن تھا تو ہی انجام ہوا ترا بچھڑنا اور میں پارہ پارہ تھی

Hindi

सिमट गई तो शबनम फूल सितारा थी बिफर के मेरी लहर लहर अँगारा थी कल तिरी ख़्वाहिश कब इतनी बंजारी थी तू सर-ता-पा आँख था मैं नज़्ज़ारा थी मैं कि जुनूँ के परों पे उड़ती ख़ुश्बू थी रंग रंग के आकार में ढलता पारा थी मैं धरती हूँ उसे यही बस याद रहा भूल गया मैं और भी इक सय्यारा थी तू ही तो इज़्न था तू ही अंजाम हुआ तिरा बिछड़ना और मैं पारा पारा थी

simaT ga.ī to shabnam phuul sitāra thī
Azra Parveen
Azra Parveen
Azra Parveen
poet13 quotes

More by Azra Parveen

View all →
Quote
"ab apni chikh bhi kyaa apni be zabaani kyaa mahz asiron ki mahsur zindagaani kyaa rutein jo tu ne utaari hain khuub hongi magar babul-sej pe sajti hai gul-fishaani kyaa hai jism ek tazaadaat ke kai khaane karegaa par inhein ik rang-e-aasmaani kyaa hazaar karvaTein jhankaar hi sunaati hain yuun jhaTpaTaane se zanjir hogi paani kyaa zamin ke aur taqaaze falak kuchh aur kahe qalam bhi chup hai ki ab moD le kahaani kyaa anaa to qaid ki tashhir se gurezaan thi pukaar uTThi magar meri be-zabaani kyaa main khushk nakhl si jangal tavil tez havaa bikher degi mujhe bhi ye be-makaani kyaa"
Azra ParveenAzra Parveen
Quote
"be-khudaa hone ke Dar mein be-sabab rotaa rahaa dil ke chauthe aasmaan par kaun shab rotaa rahaa kyaa ajab aavaaz thi sote shikaari jaag uThe par vo ik ghaayal parinda jaan-ba-lab rotaa rahaa jaate jaate phir december ne kahaa kuchh maang le khaali aankhon se magar dil be-talab rotaa rahaa main ne phir april ke haathon se dil ko chhu liyaa aur dil saayon se lipTaa saari shab rotaa rahaa us ne mere naam suraj chaand taare likh diyaa meraa dil miTTi pe rakh apne lab rotaa rahaa"
Azra ParveenAzra Parveen
Quote
"miri khud se mohabbat baDh gai hai bahut pinjre se vahshat baDh gai hai hain mere khvaab saare mom ke but mire suraj tamaazat baDh gai hai hamaare biich bedaari hi gham thi bas ab nindon ki haajat baDh gai hai ye kyaa baazaar kaise log yusuf idhar kyon teri raghbat baDh gai hai sunaai detaa hai sab an-kahaa bhi tiri dhun mein samaa'at baDh gai hai kabhi nindon se main vahshat-zada thi par ab khvaabon se raahat baDh gai hai main bachnaa chaahti huun apni jaan se miri mujh se mohabbat baDh gai hai nasha suraj ko ho jaae to kyaa ho miri hairat pe hairat baDh gai hai"
Azra ParveenAzra Parveen

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari