SHAWORDS

sitam-dost fikr-e-adaavat kahaan tak — Azad Ansari

HomeAzad AnsariGhazal
"sitam-dost fikr-e-adaavat kahaan tak kahaan tak vafaa se baghaavat kahaan tak khilaaf-e-suluk-e-mohabbat ke khugar khilaaf-e-suluk-e-mohabbat kahaan tak musalsal sitam ki hukumat ke baani musalsal sitam ki hukumat kahaan tak uTho dard ki justuju kar ke dekhein talaash-e-sukun-e-tabiat kahaan tak kabhi hukm-e-pir-e-mughaan bhi bajaa laa faqat ittibaa-e-shariat kahaan tak kabhi kuchh natija nikaalo to jaanein faqat khabt-e-maalum-o-illat kahaan tak"
Urdu

ستم دوست فکر عداوت کہاں تک کہاں تک وفا سے بغاوت کہاں تک خلاف سلوک محبت کے خوگر خلاف سلوک محبت کہاں تک مسلسل ستم کی حکومت کے بانی مسلسل ستم کی حکومت کہاں تک اٹھو درد کی جستجو کر کے دیکھیں تلاش سکون طبیعت کہاں تک کبھی حکم پیر مغاں بھی بجا لا فقط اتباع شریعت کہاں تک کبھی کچھ نتیجہ نکالو تو جانیں فقط خبط معلوم و علت کہاں تک

Hindi

सितम-दोस्त फ़िक्र-ए-अदावत कहाँ तक कहाँ तक वफ़ा से बग़ावत कहाँ तक ख़िलाफ़-ए-सुलूक-ए-मोहब्बत के ख़ूगर ख़िलाफ़-ए-सुलूक-ए-मोहब्बत कहाँ तक मुसलसल सितम की हुकूमत के बानी मुसलसल सितम की हुकूमत कहाँ तक उठो दर्द की जुस्तुजू कर के देखें तलाश-ए-सुकून-ए-तबीअत कहाँ तक कभी हुक्म-ए-पीर-ए-मुग़ाँ भी बजा ला फ़क़त इत्तिबा-ए-शरीअत कहाँ तक कभी कुछ नतीजा निकालो तो जानें फ़क़त ख़ब्त-ए-मालूम-ओ-इल्लत कहाँ तक

sitam-dost fikr-e-adāvat kahāñ tak
Azad Ansari
Azad Ansari
Azad Ansari
poet13 quotes

More by Azad Ansari

View all →
Quote
"ye ik shaan-e-khudaa hai main nahin huun vahi jalva-numaa hai main nahin huun zamaana pahle mujh ko DhunDtaa hai magar teraa pataa hai main nahin huun tire hote miri hasti kaa kyaa zikr yahi kahnaa bajaa hai main nahin huun sadaa-e-nahno-aqrab kah rahi hai ki tu mujh se judaa hai main nahin huun vo khud tashrif-farmaa-e-jahaan hain tumhein dhokaa huaa hai main nahin huun kahaan main aur kahaan khabt-e-anal-haq koi mere sivaa hai main nahin huun mujhe 'aazaad' duniyaa kyuun na puuje kisi kaa naqsh-e-paa hai main nahin huun"
Azad AnsariAzad Ansari
Quote
"haq banaa baatil banaa naaqis banaa kaamil banaa jo banaanaa ho banaa lekin kisi qaabil banaa shauq ke laaiq banaa armaan ke qaabil banaa ahl-e-dil banne ki hasrat hai to dil ko dil banaa uqda to be-shak khulaa lekin ba-sad-diqqat khulaa kaam to be-shak banaa lekin ba-sad mushkil banaa jab ubhaaraa hai to apne qurb ki had tak ubhaar jab banaayaa hai to apne lutf ke qaabil banaa sab jahaanon se judaa apnaa jahaan takhliq kar sab makaanon se judaa apnaa makaan-e-dil banaa phir nae sar se junun-e-qais ki buniyaad rakh phir nai lailaa banaa naaqa banaa mahmil banaa ye to samjhe aaj 'aazaad' ek kaamil fard hai ye na samjhe ek naaqis kis tarah kaamil banaa"
Azad AnsariAzad Ansari
Quote
"na puchho kaun hain kyuun raah mein naa-chaar baiThe hain musaafir hain safar karne ki himmat haar baiThe hain idhar pahlu se vo uTThe udhar duniyaa se ham uTThe chalo ham bhi tumhaare saath hi bekaar baiThe hain kise fursat ki farz-e-khidmat-e-ulfat bajaa laae na tum bekaar baiThe ho na ham bekaar baiThe hain jo uTThe hain to garm-e-justuju-e-dost uTThe hain jo baiThe hain to mahv-e-aarzu-e-yaar baiThe hain maqaam-e-dast-giri hai ki tere rah-rav-e-ulfat hazaaron justujuein kar ke himmat haar baiThe hain na puchho kaun hain kyaa mudda'aa hai kuchh nahin baabaa gadaa hain aur zer-e-saaya-e-divaar baiThe hain ye ho saktaa nahin 'aazaad' se mai-khaana khaali ho vo dekho kaun baiThaa hai vahi sarkaar baiThe hain"
Azad AnsariAzad Ansari

More on Maa

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"hai jo ik maa'raka faisal nahin hone detaa jin vo ho ke mujhe botal nahin hone detaa qatl ik roz hi kartaa huun isi goshe mein aur saabit ise maqtal nahin hone detaa zid hai us ki ki har ik shaakh ho phir sabz hi sabz garche paidaa koi konpal nahin hone detaa raushni apne khayaalon hi se karni hogi koi raushan kahin mash'al nahin hone detaa chun-ki miTTi ki bhi ek apni alag khushbu hai main kahin bhi ise sandal nahin hone detaa ik parinda ki jo sahtaa hai havaaon kaa dabaao aur parvaaz ko paidal nahin hone detaa Dar hai us ko nazar aae na kahin zehn kaa 'aks vo miraa aaina saiqal nahin hone detaa tiraa qaanun hai jangal kaa ghanimat hai ki tu mire is shahr ko jangal nahin hone detaa chalo baat us ki sunein ek 'ajab mantiq se jo kisi baat ko muhmal nahin hone detaa"
M
M. Qamruddin
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar