SHAWORDS

sohbat-e-mai-kashi sarsari rah gai — Manzoor Husain Shor

"sohbat-e-mai-kashi sarsari rah gai aur jo miinaa bhari thi bhari rah gai kyaa ghazab hai nasheman sulagtaa rahaa aur shaakh-e-nasheman hari rah gai aakhirash kaam aa hi gai khaamushi lafz-o-maani ki parda-dari rah gai har nazar ban gai apne siine kaa tiir ik khalish ban ke dida-dari rah gai nasl-e-aadam se itne uThe kirdgaar apne lab si ke paighambari rah gai aadmi kaa khudaa ban gayaa aadmi daavar-e-hashr ki daavari rah gai meraa har naqsh-e-paa ban gayaa sang-e-mil khizar ki zahmat-e-rahbari rah gai 'shor' daamaan-e-gham ho gayaa taar taar har masarrat ki bakhiya-gari rah gai"
Urdu

صحبت میکشی سرسری رہ گئی اور جو مینا بھری تھی بھری رہ گئی کیا غضب ہے نشیمن سلگتا رہا اور شاخ نشیمن ہری رہ گئی آخرش کام آ ہی گئی خامشی لفظ و معنی کی پردہ دری رہ گئی ہر نظر بن گئی اپنے سینے کا تیر اک خلش بن کے دیدہ دری رہ گئی نسل آدم سے اتنے اٹھے کردگار اپنے لب سی کے پیغمبری رہ گئی آدمی کا خدا بن گیا آدمی داور حشر کی داوری رہ گئی میرا ہر نقش پا بن گیا سنگ میل خضر کی زحمت رہبری رہ گئی شورؔ دامان غم ہو گیا تار تار ہر مسرت کی بخیہ گری رہ گئی

Hindi

सोहबत-ए-मयकशी सरसरी रह गई और जो मीना भरी थी भरी रह गई क्या ग़ज़ब है नशेमन सुलगता रहा और शाख़-ए-नशेमन हरी रह गई आख़िरश काम आ ही गई ख़ामुशी लफ़्ज़-ओ-मा'नी की पर्दा-दरी रह गई हर नज़र बन गई अपने सीने का तीर इक ख़लिश बन के दीदा-दरी रह गई नस्ल-ए-आदम से इतने उठे किर्दगार अपने लब सी के पैग़म्बरी रह गई आदमी का ख़ुदा बन गया आदमी दावर-ए-हश्र की दावरी रह गई मेरा हर नक़्श-ए-पा बन गया संग-ए-मील ख़िज़र की ज़हमत-ए-रहबरी रह गई 'शोर' दामान-ए-ग़म हो गया तार तार हर मसर्रत की बख़िया-गरी रह गई

sohbat-e-mai-kashī sarsarī rah ga.ī
Manzoor Husain Shor
Manzoor Husain Shor
Manzoor Husain shor
poet17 quotes

More by Manzoor Husain Shor

View all →
Quote
"ravish ravish par junun ke aage khirad ke zaalim maqaam kab tak jhuki jhuki si nazar kahaan tak rukaa rukaa saa khiraam kab tak ye ehtiyaat-e-karam kahaan tak ye zahmat-e-gaam-gaam kab tak nafas nafas mein payaam kab tak nazar nazar mein salaam kab tak ye bandagi hai to bandagi kaa fareb rusvaa-e-aam kab tak labon pe subhein to hain musallam magar ye sinon mein shaam tak ruki si aahein jhuki nigaahein vahi haqiqat vahi fasaana sukut teraa sukut kab tak kalaam teraa kalaam kab tak tire kinaare na tere dhaare tiri halaakat nahin to kyaa hai tire safinon se saahilon par ye mauj kaa intiqaam kab tak yahi jamaal-e-gul-o-sukhan hai to aa chaman se dhuaan uThaavein ravish ravish par bichhe raheinge ye laala-o-gul ke daam kab tak na dosh-e-tufaan na aashiyaana na bijliyon par kamand teri yahi chaman hai to is chaman mein tire nasheman kaa naam kab tak na nuur teraa na aag teri rabaab TuuTe sharaab chhuTi ye zulmat-e-anjuman kahaan tak ye tohmat-e-jaam-jaam kab tak agar na barham hon ahl-e-mahfil to ahl-e-mahfil se 'shor' puchhun koi bataa de ki mere honTon pe us kaa naghma haraam kab tak"
Manzoor Husain ShorManzoor Husain Shor
Quote
"mire dil ki dhaDak us ke tabassum par garaan kyuun ho main afsaana huun us kaa vo miraa afsaana-khvaan kyuun ho mire kaam aa gai aakhir miri kaashaana-bar-doshi lapakti bijliyon ki zad pe meraa aashiyaan kyuun ho kinaaron se guzar jaanaa hi tufaanon ki fitrat hai jahaan duniyaa Thahar jaae qadam meraa vahaan kyuun ho tiraa jalva bhi jab teraa hi parda hotaa jaataa hai to phir meri nigaahon par nigaahon kaa gumaan kyuun ho na main vaarafta-e-mutrib na main jaan-daada-e-saaqi agar mahfil se uTh jaaun to mahfil bad-gumaan kyuun ho main jis aalam mein huun apni jagah ai 'shor' tanhaa huun judaa ho jis ki manzil vo rahin-e-kaarvaan kyuun ho"
Manzoor Husain ShorManzoor Husain Shor
Quote
"dida-o-daanista dhokaa khaa gae ham fareb-e-zindagi mein aa gae jab hujum-e-shauq se ghabraa gae kho gae khud aur tum ko paa gae chain bhi lene nahin dete mujhe main abhi bhulaa thaa phir yaad aa gae main kahaan jaaun nazar ko kyaa karun aap to saari fazaa par chhaa gae dil hi dil mein uf vo dard-e-naa-gahaan aankhon hi aankhon mein kuchh samjhaa gae rukh se aanchal bhi na sarkaa thaa abhi nichi nazrein ho gaiin sharmaa gae uf ye ghunchon kaa tabassum ye bahaar haif agar ye ghunche kal murjhaa gae jis qadar ghunche khile the nau-ba-nau meri aankhon se lahu barsaa gae puchhte kyaa ho in ashkon kaa sabab vaaqiaat-e-rafta phir yaad aa gae ab to shor apnaa fasaana khatm kar un ki aankhon mein bhi aansu aa gae"
Manzoor Husain ShorManzoor Husain Shor
Quote
"khizr-e-manzil na thaa ibn-e-mariyam na thaa gham jahaan thaa koi shaamil-e-gham na thaa dil ko apni tabaahi kaa kuchh gham na thaa us ki aankhon kaa irshaad mubham na thaa is se pahle bhi sau baar dhaDkaa thaa dil dil dhaDakne kaa lekin ye aalam na thaa kab falak par sitaare farozaan na the kab zamin par sitaaron kaa maatam na thaa jaam-e-jam mein jo sadiyon sulagtaa rahaa aur kyaa thaa agar khun-e-aadam na thaa us ne puchhaa na thaa 'shor' jab tak mizaaj aankh nam nam na thi dard kam kam na thaa"
Manzoor Husain ShorManzoor Husain Shor
Quote
"ek sharik-e-raah kaa dhyaan kar gayaa har rasta sunsaan ek junun laakhon bohtaan kis kis se uljhe insaan raahi kis ko de aavaaz rasta gum manzil viraan kis kaa munh dekhe vo naav raas na ho jis ko tufaan sahl nahin ashkon kaa khulus ai gham-e-dil mujh ko pahchaan zulmat is duniyaa ki na puchh jis kaa ujaalaa ho insaan chhup na sakegaa dil kaa zakhm hansne vaale maan na maan apnaa garebaan apnaa haath is mein kisi kaa kyaa nuqsaan Dubne vaale yuun bhi 'shor' Duub gae hain be-tufaan"
Manzoor Husain ShorManzoor Husain Shor

More on Maa

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"hai jo ik maa'raka faisal nahin hone detaa jin vo ho ke mujhe botal nahin hone detaa qatl ik roz hi kartaa huun isi goshe mein aur saabit ise maqtal nahin hone detaa zid hai us ki ki har ik shaakh ho phir sabz hi sabz garche paidaa koi konpal nahin hone detaa raushni apne khayaalon hi se karni hogi koi raushan kahin mash'al nahin hone detaa chun-ki miTTi ki bhi ek apni alag khushbu hai main kahin bhi ise sandal nahin hone detaa ik parinda ki jo sahtaa hai havaaon kaa dabaao aur parvaaz ko paidal nahin hone detaa Dar hai us ko nazar aae na kahin zehn kaa 'aks vo miraa aaina saiqal nahin hone detaa tiraa qaanun hai jangal kaa ghanimat hai ki tu mire is shahr ko jangal nahin hone detaa chalo baat us ki sunein ek 'ajab mantiq se jo kisi baat ko muhmal nahin hone detaa"
M
M. Qamruddin
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar