SHAWORDS

sunaa to hogaa hi sarkaar jhuuT bolte hain — Faizan Asad

HomeFaizan AsadGhazal
"sunaa to hogaa hi sarkaar jhuuT bolte hain nihaan nahin sar-e-baazaar jhuuT bolte hain adaalatein hon ki munsif ho yaa gavaah koi hamaare haq mein ye har baar jhuuT bolte hain hamaare shahr mein bhukaa na mil sakegaa koi ye maal-o-zar ke parastaar jhuuT bolte hain main laa ke chaand bhi de duun jo tum kaho jaanaan qasam se ishq ke bimaar jhuuT bolte hain hamaaraa ahd bharegaa taraqqiyon ki uDaan siyaasi log hain ayyaar jhuuT bolte hain mohabbaton ki rivaayat ke paasbaan hain ham zabaan kaaT do akhbaar jhuuT bolte hain yaqin kaise karein vaaizon pe ai 'asad' pahan ke jubba-o-dastaar jhuuT bolte hain"
Urdu

سنا تو ہوگا ہی سرکار جھوٹ بولتے ہیں نہاں نہیں سر بازار جھوٹ بولتے ہیں عدالتیں ہوں کہ منصف ہو یا گواہ کوئی ہمارے حق میں یہ ہر بار جھوٹ بولتے ہیں ہمارے شہر میں بھوکا نہ مل سکے گا کوئی یہ مال و زر کے پرستار جھوٹ بولتے ہیں میں لا کے چاند بھی دے دوں جو تم کہو جاناں قسم سے عشق کے بیمار جھوٹ بولتے ہیں ہمارا عہد بھرے گا ترقیوں کی اڑان سیاسی لوگ ہیں عیار جھوٹ بولتے ہیں محبتوں کی روایت کے پاسبان ہیں ہم زبان کاٹ دو اخبار جھوٹ بولتے ہیں یقین کیسے کریں واعظوں پہ اے اسعدؔ پہن کے جبہ و دستار جھوٹ بولتے ہیں

Hindi

सुना तो होगा ही सरकार झूट बोलते हैं निहाँ नहीं सर-ए-बाज़ार झूट बोलते हैं अदालतें हों कि मुंसिफ़ हो या गवाह कोई हमारे हक़ में ये हर बार झूट बोलते हैं हमारे शहर में भूका न मिल सकेगा कोई ये माल-ओ-ज़र के परस्तार झूट बोलते हैं मैं ला के चाँद भी दे दूँ जो तुम कहो जानाँ क़सम से इश्क़ के बीमार झूट बोलते हैं हमारा अह्द भरेगा तरक़्क़ियों की उड़ान सियासी लोग हैं अय्यार झूट बोलते हैं मोहब्बतों की रिवायत के पासबान हैं हम ज़बान काट दो अख़बार झूट बोलते हैं यक़ीन कैसे करें वाइ'ज़ों पे ऐ 'असअद' पहन के जुब्बा-ओ-दस्तार झूट बोलते हैं

sunā to hogā hī sarkār jhuuT bolte haiñ
F
Faizan Asad
Faizan Asad
poet9 quotes

More by Faizan Asad

View all →
Quote
"allaah bashar jaah-o-hasham bech rahe hain khud-saakhta patthar ke sanam bech rahe hain maghrib ki taaffun-zada tahzib ke badle ham arz-e-muqaddas kaa haram bech rahe hain bebaak sadaaqat se jo mansub rahaa hai dil rotaa hai kyon log qalam bech rahe hain hairaan huun main sakhti-e-jaan dekh ke un ki kis dil se vo rudaad-e-sitam bech rahe hain pesha hai kisi kaa to koi bhuuk se majbur baazaar-e-adaalat mein qasam bech rahe hain hijrat hui azhaan pe kuchh aise musallat vo ghar thaa jo ik baagh-e-iram bech rahe hain 'asad' yahaan mazhab hai munaafa ki tijaarat har moD pe ab log dharam bech rahe hain"
F
Faizan Asad
Quote
"darogh-goi ki fitrat ko aag lag jaae tumhaari doghli surat ko aag lag jaae na jaane kitne hi logon ko maar Daalaa hai khudaa kare ki mohabbat ko aag lag jaae faqir-e-shahr ko faaqa-kashi ne maar diyaa amir-e-shahr ki daulat ko aag lag jaae kahin mile jo vafaa to kharid kar rakh lo na jaane kab yahaan qimat ko aag lag jaae maaal-e-khuftagi dekho ye qaum chikh rahi zahin fikr ki ghaflat ko aag lag jaae haqir samjhe sabhi ko zalil kartaa phire anaa-parast ki shohrat ko aag lag jaae badal sake na adaavat ko jo ukhuvvat se to aise logon ki sohbat ko aag lag jaae chhupaa ho maqsad-e-shohrat agar bhalaai mein to aisi izzat-o-shohrat ko aag lag jaae firaaq-e-jaanaan se 'asad' kaa dil huaa chhalni duaa-e-dil hai ki hijrat ko aag lag jaae"
F
Faizan Asad
Quote
"ye kamra kyon paraaganda paDaa hai makin par kaun saa daura paDaa hai dikhaai kyon nahin deti sadaaqat ye kaisaa aankh par parda paDaa hai nasab se kuchh nahin hotaa hai pyaare sabhi ke paas ik shajara paDaa hai gayaa hai chhoD kar koi udaasi pas-e-aaina ik chehra paDaa hai mohabbat ho gai hai be-iraada gale yuun jaan kaa khatra paDaa hai banaa hai jis ke haathon se samundar tan-e-tanhaa vahi qatra paDaa hai masihaa kah rahi thi jis ko duniyaa vo dekho aaj khud murda paDaa hai khudaayaa rahm 'asad' ki khataa par tire dar par kiye sajda paDaa hai"
F
Faizan Asad
Quote
"ik maah-ru se kal ki mulaaqaat bhi gai yuun mere dil se garmi-e-jazbaat bhi gai baagh-e-dil-e-hazin ko sarsabzgi ki chaah be-faiz ab ke baar ye barsaat bhi gai raqs-e-junun mein mahv the ham shaam se magar irfaan-e-zaat bhi na huaa raat bhi gai saffaak zehniyat ko milaa jab se eqtidaar amn-o-sukun ki mulk se bohtaat bhi gai piine ke baad aql salaamat na rah saki is kashmakash mein izzat-e-saadaat bhi gai qaabu karegaa kaun jaraaem ko ab yahaan mulki adaalaton se to haq baat bhi gai ab kaun meri bhuuk ko sufreh ataa kare hisse mein jo thi mere vo khairaat bhi gai sirat ko kaun puchhe hai surat ke saamne chaukhaT se ik gharib ki baaraat bhi gai 'asad' zaraa sanbhaal ke kholaa karo zabaan pachhtaaoge bahut hi agar baat bhi gai"
F
Faizan Asad
Quote
"zakhm-e-hijraan ki mudaavaat se pahle pahle dard raqsaan hai mulaaqaat se pahle pahle qaid-e-zindaan ho yaa ho faisla sarkubi kaa laazima sochiye haq baat se pahle pahle kaash vo aaj palaT aae kisi bhi surat chaandni raat ki barsaat se pahle pahle raah se bhaTki nai nasl bachaani hai hamein mumkina aamad-e-aafaat se pahle pahle kaise mahfuz rakhaa jaaegaa tufaan mein shajar koi tadbir ho samraat se pahle pahle sochiye qaum ko bharpaai na karni paD jaae vaqt be-vaqt ke jazbaat se pahle pahle dar nahin laazmi buniyaad ki mazbuti hai aane vaale bure haalaat se pahle pahle log khush hon ki na hon rab to ho raazi 'asad' ziist ke aakhri lamhaat se pahle pahle"
F
Faizan Asad
Quote
"zindagi bhar dauDtaa hai baiTh jaa gham kahaan kab boltaa hai baiTh jaa pahli baarish dekh kar barsaat ki jaane kyaa tu sochtaa hai baiTh jaa is qadar le kar chalaa baar-e-hayaat raasta hi boltaa hai baiTh jaa paaon khinchaa hai tiraa ahbaab ne kyon sahaaraa DhunDhtaa hai baiTh jaa tasht mein laashein saji hain khuun hai ye siyaasi naashta hai baiTh jaa jhuuT ki duniyaa mein sab uljhe hain tu baat sachchi boltaa hai baiTh jaa ik diye ne jal ke tufaan se kahaa mujh se Dar kar kaanptaa hai baiTh jaa nanhe bachche ko tilaavat se na rok kaan mein ras gholtaa hai baiTh jaa dekh 'asad' ajnabi ik shakhs se rishta-e-jaan joDtaa hai baiTh jaa"
F
Faizan Asad

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari