"andar se muntashir huun ki baahar shikasta hai main khud shikasta huun ki miraa ghar shikasta hai har shai ke khaal-o-khad hain mire khuun mein muntashir har jism mere jism ke andar shikasta hai niklaa thaa kis ki naav mein saahil ke chaav mein ab tak huun main bahaav mein langar shikasta hai ik sang se hai fikr-e-arastu sharar-numaa ik aaine mein aks-e-sikandar shikasta hai ik mahviyat ki hairat-e-saahil hai har taraf ik kaifiyat ki saaraa samundar shikasta hai yaa shisha-e-nigah hi milaa mujh ko chur-chur yaa shisha-e-jihat mein ye manzar shikasta hai 'kausar' badal gae hain parastish ke zaaiqe mehraab sar-khamida hai mimbar shikasta hai"
supurd-e-gham-zadagaan-e-saf-e-vafaa huaa main — Iqbal Kausar
"supurd-e-gham-zadagaan-e-saf-e-vafaa huaa main paDaa huun umr ki divaar se giraa huaa main ajiib soch si aur us pe sochtaa huaa main ki TuTtaa tiri hairat mein aainaa huaa main kahin main koh pe farhaad aur dasht mein qais vajud-e-ishq mein huun khud ko DhunDhtaa huaa main jise bhi milnaa hai mujh se vo intizaar kare na jaane kab palaT aauun kahin gayaa huaa main na mil sakaa koi afsos vaqt par mujh ko kisi ko mil na sakaa vaqt se kaTaa huaa main tamaam ham-nafasaan qata kar gae manzil bas ik musaafir-e-rah, rah gayaa bachaa huaa main tamaam umr yunhi tarz-e-bud-o-baash rahi kahin charaagh banaa main kahin havaa huaa main samajh na sahl zamaane ki gardishon ke baad huaa main khud ko faraaham mujhe ataa huaa main ajiib kaifiyat-e-intishaar mein huun ravaan ghubaar saa huun kisi khaak se uDaa huaa main"
سپرد غم زدگان صف وفا ہوا میں پڑا ہوں عمر کی دیوار سے گرا ہوا میں عجیب سوچ سی اور اس پہ سوچتا ہوا میں کہ ٹوٹتا تری حیرت میں آئنا ہوا میں کہیں میں کوہ پہ فرہاد اور دشت میں قیس وجود عشق میں ہوں خود کو ڈھونڈھتا ہوا میں جسے بھی ملنا ہے مجھ سے وہ انتظار کرے نہ جانے کب پلٹ آؤں کہیں گیا ہوا میں نہ مل سکا کوئی افسوس وقت پر مجھ کو کسی کو مل نہ سکا وقت سے کٹا ہوا میں تمام ہم نفساں قطع کر گئے منزل بس اک مسافر رہ رہ گیا بچا ہوا میں تمام عمر یونہی طرز بود و باش رہی کہیں چراغ بنا میں کہیں ہوا ہوا میں سمجھ نہ سہل زمانے کی گردشوں کے بعد ہوا میں خود کو فراہم مجھے عطا ہوا میں عجیب کیفیت انتشار میں ہوں رواں غبار سا ہوں کسی خاک سے اڑا ہوا میں
सुपुर्द-ए-ग़म-ज़दगान-ए-सफ़-ए-वफ़ा हुआ मैं पड़ा हूँ उम्र की दीवार से गिरा हुआ मैं अजीब सोच सी और उस पे सोचता हुआ मैं कि टूटता तिरी हैरत में आइना हुआ मैं कहीं मैं कोह पे फ़रहाद और दश्त में क़ैस वजूद-ए-इश्क़ में हूँ ख़ुद को ढूँढता हुआ मैं जिसे भी मिलना है मुझ से वो इंतिज़ार करे न जाने कब पलट आऊँ कहीं गया हुआ मैं न मिल सका कोई अफ़्सोस वक़्त पर मुझ को किसी को मिल न सका वक़्त से कटा हुआ मैं तमाम हम-नफ़साँ क़त्अ कर गए मंज़िल बस इक मुसाफ़िर-ए-रह, रह गया बचा हुआ मैं तमाम उम्र यूँही तर्ज़-ए-बूद-ओ-बाश रही कहीं चराग़ बना मैं कहीं हवा हुआ मैं समझ न सहल ज़माने की गर्दिशों के बअ'द हुआ मैं ख़ुद को फ़राहम मुझे अता हुआ मैं अजीब कैफ़ियत-ए-इंतिशार में हूँ रवाँ ग़ुबार सा हूँ किसी ख़ाक से उड़ा हुआ मैं

More by Iqbal Kausar
View all →"main dar pe tire dar-ba-dari se nikal aayaa chal kar ba-durusti ghalati se nikal aayaa ab masala ye hai tire mahvar mein kab utrun main apni hadon se to kabhi se nikal aayaa kab mujh ko nikalnaa thaa ye hairat hai falak ko maidaan-e-zamin mein main abhi se nikal aayaa is tira-shabi mein kisi jugnu ki chamak hai yaa jugnu khud is tira-shabi se nikal aayaa ai arsh-e-moallaa ke makin tujh ko khabar hai main teri taraf be-khabari se nikal aayaa dhyaan aayaa mujhe raat ki tanhaa-safari kaa yak-dam koi saaya saa gali se nikal aayaa sau pech-e-rah-e-raahbari thaa ki main jis se apne hunar-e-raahravi se nikal aayaa vo lamha-e-avval ki tu jab aankh mein utraa vo vaqt bhi kyaa thaa ki ghaDi se nikal aayaa"
"jo zakhm jama kiye aankh-bhar sunaataa huun sunoge band zabaan kyaa nazar sunaataa huun jo sun sako to sukut-e-pas-e-navaa bhi suno yahi to main tumhein shaam o sahar sunaataa huun nigaah laao jo rang-e-sadaa kashid kare ki main to khaamoshiyon ke hunar sunaataa huun yahi kamaal hai mere alag takallum kaa khabar bhi hoti nahin jo khabar sunaataa huun agarche ek hi dariyaa ki naghma-khvaani hai kinaara saut tiri main bhanvar sunaataa huun tumhaare vaaste shaayad miraa kalaam na ho jinhein khabar nahin main kyaa khabar sunaataa huun Thahar gayaa hai mire harf kaa yahi meaar dhuaan uDaataa nahin main sharar sunaataa huun"
"agarche mujh ko be-tauq-o-rasan-basta nahin chhoDaa kisi qaidi ko us ne is qadar sastaa nahin chhoDaa har ik se dusre kaa rabt us ne toD Daalaa hai kisi kaa dil kisi ke dil se vaabasta nahin chhoDaa khud apne khvaab chun aayaa huun kuchh rangin dhokon mein kisi titli ki khaatir main ne guldasta nahin chhoDaa sunein rudaad-e-gham kis se ki aashob-e-tabaahi ne koi ik bhi gharaanaa shahr mein bastaa nahin chhoDaa kahein kyaa haal qabron kaa ki ab ke us ne basti mein janaaze bhi guzarne kaa koi rasta nahin chhoDaa kahaan par us ne mujh par taaliyaan bajti nahin chaahein kahaan kis kis ko mere haal par hanstaa nahin chhoDaa"
"'iqbaal' yunhi kab tak ham qaid-e-anaa kaaTein mil baiTh ke logon mein aa apne khalaa kaaTein jo karnaa hai ab kar lein ham tum se na kahte the ab sang-sitam chaahein hone ki sazaa kaaTein ab baanjh zaminon se ummid bhi kyaa rakhnaa roein bhi to laa-haasil boein bhi to kyaa kaaTein par le ke kidhar jaaein kuchh duur tak uD aaein dam jitnaa mayassar hai ye Thahri havaa kaaTein is marhala-e-shab mein ab ek hi surat hai yaa dasht-e-talab paaTein yaa gardish-e-paa kaaTein"
"karein hijrat to khaak-e-shahr bhi juz-daan mein rakh lein chalein ghar se to ghar kyaa yaad bhi saamaan mein rakh lein hamaaraa kyaa ki gul ko noch kar takrim bhi de dein sahife mein sajaa dein yaa kisi gul-daan mein rakh lein ziyaan-e-dil hi is baazaar mein sud-e-mohabbat hai yahaan hai faaeda khud ko agar nuqsaan mein rakh lein bahut tarsi hai duniyaa tere hashr-e-ru-numaai ko bataa ab ye talab ham aur kis imkaan mein rakh lein hamaaraa kufr ye hai harf aataa ho jahaan tujh par hamin to hain jo teri aabru imaan mein rakh lein amaan ki ek hi surat hai ab is be-yaqini mein parind-e-ghaar! ham bhi jaan teri jaan mein rakh lein Dhale jab tak na shab ham kaaDh kar ik shama ki lau se tulu-e-subh kaa manzar na raushan-daan mein rakh lein?"
More on Khudi
View all →"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
"tire jamaal se ham runumaa nahin hue hain chamak rahe hain magar aaina nahin hue hain dhaDak rahaa hai tu ik ism ki hai ye barakat vagarna vaaqiye is dil mein kyaa nahin hue hain bataa na paaein to khud tum samajh hi jaao ki ham bilaa javaaz to be-maajraa nahin hue hain tiraa kamaal ki aankhon mein kuchh zabaan pe kuchh hamein to moajize aise ataa nahin hue hain ye mat samajh ki koi tujh se munharif hi nahin abhi ham ahl-e-junun lab-kushaa nahin hue hain ba-naam-e-zauq-e-sukhan khud-numaai aap karein ham is maraz mein abhi mubtalaa nahin hue hain hami vo jin kaa safar maavaraa-e-vaqt-o-vajud hami vo khud se kabhi jo rihaa nahin hue hain khud-aagahi bhi khaDi maangti hai apnaa hisaab junun ke qarz bhi ab tak adaa nahin hue hain kisi ne dil jo dukhaayaa kabhi to ham 'irfaan' udaas ho gae lekin khafaa nahin hue hain"