SHAWORDS

surur degaa khumaar degaa — Dr. Nadeem Akbar Nadeem

"surur degaa khumaar degaa vo lazzaton ki bahaar degaa kabhi na sochaa thaa qaid kar ke hamein vo raah-e-faraar degaa furaat jaisaa hai teraa joban tu ham ko pyaasaa hi maar degaa hai ibn-e-aadam mein koi aisaa jo chand lamhe udhaar degaa kahaan khabar thi ki ham ko aise khudaa zamin par utaar degaa"
Urdu

سرور دے گا خمار دے گا وہ لذتوں کی بہار دے گا کبھی نہ سوچا تھا قید کر کے ہمیں وہ راہ فرار دے گا فرات جیسا ہے تیرا جوبن تو ہم کو پیاسا ہی مار دے گا ہے ابن آدم میں کوئی ایسا جو چند لمحے ادھار دے گا کہاں خبر تھی کہ ہم کو ایسے خدا زمیں پر اتار دے گا

Hindi

सुरूर देगा ख़ुमार देगा वो लज़्ज़तों की बहार देगा कभी न सोचा था क़ैद कर के हमें वो राह-ए-फ़रार देगा फ़ुरात जैसा है तेरा जोबन तू हम को प्यासा ही मार देगा है इब्न-ए-आदम में कोई ऐसा जो चंद लम्हे उधार देगा कहाँ ख़बर थी कि हम को ऐसे ख़ुदा ज़मीं पर उतार देगा

surūr degā ḳhumār degā
Dr. Nadeem Akbar Nadeem
Dr. Nadeem Akbar Nadeem
Dr. Nadeem Akbar Nadeem
poet8 quotes

More by Dr. Nadeem Akbar Nadeem

View all →
Quote
"zamaane bhar mein kisi se milaa nahin karte tire suluk kaa ham to gila nahin karte mire khayaal ki basti mein chaar-su tum ho kabhi bhi khud se tujhe ham judaa nahin karte ye khuun ke ashk to dil mein utarte rahte hain barun-e-chashm ye hargiz giraa nahin karte dilon mein jin ke mohabbat ho jaaguzin teri namaaz-e-'ishq vo hargiz qazaa nahin karte tire baghair adhuri namaaz hoti hai tire baghair to sajda adaa nahin karte tujhi se maangte hain aur tujhi se maangaa hai tire sivaa to kisi ko khudaa nahin karte 'nadim' dekh sanbhal ke tu chal zamaane mein lahu ke rishte bhi ab to vafaa nahin karte"
Dr. Nadeem Akbar NadeemDr. Nadeem Akbar Nadeem

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri