SHAWORDS

tabiat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai — Jigar Moradabadi

"tabiat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai mire hisse ki goyaa har khushi kam hoti jaati hai sahar hone ko hai bedaar shabnam hoti jaati hai khushi minjumala-o-asbaab-e-maatam hoti jaati hai qayaamat kyaa ye ai husn-e-do-aalam hoti jaati hai ki mahfil to vahi hai dil-kashi kam hoti jaati hai vahi mai-khaana-o-sahbaa vahi saaghar vahi shisha magar aavaaz-e-noshaa-nosh maddham hoti jaati hai vahi hain shaahid-o-saaqi magar dil bujhtaa jaataa hai vahi hai shama lekin raushni kam hoti jaati hai vahi shorish hai lekin jaise mauj-e-tah-nashin koi vahi dil hai magar aavaaz maddham hoti jaati hai vahi hai zindagi lekin 'jigar' ye haal hai apnaa ki jaise zindagi se zindagi kam hoti jaati hai"
Urdu

طبیعت ان دنوں بیگانۂ غم ہوتی جاتی ہے مرے حصے کی گویا ہر خوشی کم ہوتی جاتی ہے سحر ہونے کو ہے بیدار شبنم ہوتی جاتی ہے خوشی منجملہ و اسباب ماتم ہوتی جاتی ہے قیامت کیا یہ اے حسن دو عالم ہوتی جاتی ہے کہ محفل تو وہی ہے دل کشی کم ہوتی جاتی ہے وہی مے خانہ و صہبا وہی ساغر وہی شیشہ مگر آواز نوشا نوش مدھم ہوتی جاتی ہے وہی ہیں شاہد و ساقی مگر دل بجھتا جاتا ہے وہی ہے شمع لیکن روشنی کم ہوتی جاتی ہے وہی شورش ہے لیکن جیسے موج تہ نشیں کوئی وہی دل ہے مگر آواز مدھم ہوتی جاتی ہے وہی ہے زندگی لیکن جگرؔ یہ حال ہے اپنا کہ جیسے زندگی سے زندگی کم ہوتی جاتی ہے

Hindi

तबीअत इन दिनों बेगाना-ए-ग़म होती जाती है मिरे हिस्से की गोया हर ख़ुशी कम होती जाती है सहर होने को है बेदार शबनम होती जाती है ख़ुशी मंजुमला-ओ-अस्बाब-ए-मातम होती जाती है क़यामत क्या ये ऐ हुस्न-ए-दो-आलम होती जाती है कि महफ़िल तो वही है दिल-कशी कम होती जाती है वही मय-ख़ाना-ओ-सहबा वही साग़र वही शीशा मगर आवाज़-ए-नोशा-नोश मद्धम होती जाती है वही हैं शाहिद-ओ-साक़ी मगर दिल बुझता जाता है वही है शम्अ' लेकिन रौशनी कम होती जाती है वही शोरिश है लेकिन जैसे मौज-ए-तह-नशीं कोई वही दिल है मगर आवाज़ मद्धम होती जाती है वही है ज़िंदगी लेकिन 'जिगर' ये हाल है अपना कि जैसे ज़िंदगी से ज़िंदगी कम होती जाती है

tabī.at in dinoñ begāna-e-ġham hotī jaatī hai
Jigar Moradabadi
Jigar Moradabadi
Jigar Moradabadi
poet256 quotes

More by Jigar Moradabadi

View all →
Quote
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi
Quote
"raaz jo sina-e-fitrat mein nihaan hotaa hai sab se pahle dil-e-shaair pe ayaan hotaa hai sakht khun-rez jab aashob-e-jahaan hotaa hai nahin maalum ye insaan kahaan hotaa hai jab koi haadsa-e-kaun-o-makaan hotaa hai zarra zarra meri jaanib nigaraan hotaa hai jo nazar-karda-e-saahab-nazraan hotaa hai usi divaane ke qadmon pe jahaan hotaa hai jab koi ishq mein barbaad-e-jahaan hotaa hai mujh ko mahsus khud apnaa hi ziyaan hotaa hai mutazalzal hai adab-gaah-e-mohabbat ki zamin koi dekhe to ye hangaama kahaan hotaa hai kahin aisaa to nahin vo bhi ho koi aazaar tujh ko jis chiiz pe raahat kaa gumaan hotaa hai dil ghani ho to har ik ranj bhi dil ki raahat zehn muflis ho to har suud ziyaan hotaa hai imtihaan-gaah-e-mohabbat mein na rakkhe vo qadam maut ke naam se jis ko khafaqaan hotaa hai yahi vo manzil-e-dushvaar hai jis manzil mein khatm har marhala-e-sud-o-ziyaan hotaa hai har qadam maarka-e-karb-o-balaa hai darpesh har nafas saaneha-e-marg-e-javaan hotaa hai naaz jis khaak-e-vatan par thaa mujhe aah 'jigar' usi jannat pe jahannam kaa gumaan hotaa hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi
Quote
"husn-e-kaafir-shabaab kaa aalam sar se paa tak sharaab kaa aalam araq-aalud chehra-e-taabaan shabnam-o-aaftaab kaa aalam vo miri arz-e-shauq-e-behad par kuchh hayaa kuchh itaab kaa aalam allaah allaah vo imtizaaj-e-latif shokhiyon mein hijaab kaa aalam hama nur-o-surur ki duniyaa hama husn-o-shabaab kaa aalam vo lab-e-juebaar o mausam-e-gul vo shab-e-maahtaab kaa aalam zaanu-e-shauq par vo pichhle pahar nargis-e-nim-khvaab kaa aalam der tak ikhtilaat-e-raaz-o-niyaaz yak-ba-yak ijtinaab kaa aalam laakh rangin-bayaaniyon pe miri ek saada javaab kaa aalam gham ki har mauj mauj-e-tufaan-khez dil kaa aalam habaab kaa aalam dil-e-mutrib samajh sake shaayad ik shikasta rubaab kaa aalam vo samaan aaj bhi hai yaad 'jigar' haan magar jaise khvaab kaa aalam"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi
Quote
"vo adaa-e-dilbari ho ki navaa-e-aashiqaana jo dilon ko fath kar le vahi faateh-e-zamaana kabhi husn ki tabiat na badal sakaa zamaana vahi naaz-e-be-niyaazi vahi shaan-e-khusravaana ye tiraa jamaal-e-kaamil ye shabaab kaa zamaana dil-e-dushmanaan salaamat dil-e-dostaan nishaana ye falak ye maah-o-anjum ye zamin ye zamaana tire husn ki hikaayat mire ishq kaa fasaana ye hai ishq ki karaamat ye kamaal-e-shaairaana abhi munh se baat nikli abhi ho gai fasaana ye miraa payaam kahnaa tu sabaa muaddabaana ki guzar gayaa hai pyaare tujhe dekhe ik zamaana mujhe chaak-e-jeb-o-daaman se nahin munaasibat kuchh ye junun hi ko mubaarak rah-o-rasm-e-aamiyaana tujhe haadsaat-e-paiham se bhi kyaa milegaa naadaan tiraa dil agar ho zinda to nafas bhi taaziyaana main huun us maqaam par ab ki firaaq o vasl kaise miraa ishq bhi kahaani tiraa husn bhi fasaana miri zindagi to guzri tire hijr ke sahaare miri maut ko bhi pyaare koi chaahiye bahaana tire ishq ki karaamat ye agar nahin to kyaa hai kabhi be-adab na guzraa mire paas se zamaana tiri duuri o huzuri kaa ye hai ajiib aalam abhi zindagi haqiqat abhi zindagi fasaana mire ham-safir bulbul miraa teraa saath hi kyaa main zamir-e-dasht-o-dariyaa tu asir-e-aashiyaana main vo saaf hi na kah duun jo hai farq mujh mein tujh mein tiraa dard dard-e-tanhaa miraa gham gham-e-zamaana tire dil ke TuTne par hai kisi ko naaz kyaa kyaa tujhe ai 'jigar' mubaarak ye shikast-e-faatehaana"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi